kyun hum-tum nahi milte

by Pooja on February 04, 2008, 06:13:51 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7
Print
Author  (Read 7865 times)
Roja
Guest
«Reply #60 on: February 28, 2008, 02:25:51 AM »
Woh Shaks aur kahin nahi tere dil mein rehta tha
teri har khushi mein hasta,tere har Gham par rota tha...

Shayad uss shaks ki baatein ab kuch yaad na ho,
jab ki tujhse woh kal hi to bichda tha....

Mashroof hai har insaan yaha,
kaun rakh paata hai hisaab aate jaate pal ka,
kya hua agar woh pal tere nazron ke saamne se guzra tha...

Darta hoon shikayat karne se kho na doon uss shaks ko,
phir sochta hoon usse kya khona jo kabhi mila hi na tha....

usse kabhi kisi aur ke saath ki  talab  na thi,
tere waqt ko apne hi waqt ka hissa samajtha tha...

CHALO, AUR KUCH NAHI TO EK CHOTI SI UMEED TO HAI DIL MEIN,
MUJHE YAAD KAR WOH KABHI TO KAHENGE....
"CHAAHE KUCH BHI HO,"KHWAISH" INSAAN TO ACHA THA..."


One more nice stuff from you Khwaish ji. keep up.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Manzil Milte Milte Reh Gai by Devdas_online in Shayeri for Dard -e- Bewafai
lekin lafz nahi milte by only aks in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Kharidaar nahi milte by bekarar in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
vo log nahi milte by EK LAMHA HOON MAIN in Share:Love Poetry
Hum Jaise Aashiq Nahi Milte...........Touhid by Mohammad Touhid in Shayri for Khumar -e- Ishq
Roja
Guest
«Reply #61 on: February 28, 2008, 02:32:52 AM »
Rahta hai wo dil main kab inkaar hai
Magar nahi uske dil mai payar, yahi takraar hai

Uski baaton mai dekhna chahu khud ko jab bhi main
Her ek baat main uske na jaane kitne sawal hai

Ate hai pal.. aa aa kar jaate hi jayage
Jee rahe hai zindagi aise, jaise do dhari talwaar hai

Saath hai kaya yah to samjhaye koi mujhko
Mere khayalo mai to her dum wo sath hai

Milta nahi hai wo job hi chaha usse
Shayad yahi shikayat use bhi mujhse baar baar hai

Rahta hai wo dil main kab inkaar hai
Magar nahi uske dil mai payar, yahi takraar hai


dard bara yeh kalam padkar accha laga Pooja di.

Quote
Saath hai kaya yah to samjhaye koi mujhko
Mere khayalo mai to her dum wo sath hai

Touchy lines.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #62 on: March 06, 2008, 11:15:48 PM »
Thanks Roja!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #63 on: March 14, 2008, 05:19:53 PM »
Tere dil se mere khaylaat nahi milte
Mere dil se tere diye zakham nahi mit.te
Dil kisi tarah kahin sakoon paata nahi
Jab is nigah ko tere nigaah-e-karm nahi milte

Dhadkate hai dil ek dooje ke dil main, magar
Kyun phir yah sawalaat nahi mit.te
Jawabo mai kitna bhi dhunda kiya
Jhooth main, pyar ke phool nahi khilte

Tadapa kar sirf tadap hi hath ayegi
Dil se kyun wo meharbaan nahi nikalte
Milte hai her roj un to hum dekho
Kyun mil kar bhi, hum nahi milte………….

Tere dil se mere khaylaat nahi milate
Mere dil se tere diye zakham nahi mit.te...................
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #64 on: March 15, 2008, 02:41:11 AM »
Bohat khoob Pooja...
Logged
sarthika
Guest
«Reply #65 on: March 15, 2008, 03:20:32 AM »
pass hokar pass nahi atte
door hokar door nahi jaate
kis kash-m-kash mai ayya hai yah rishta
shabdo ki jagah ab sirf hai ansoo atte
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #66 on: March 15, 2008, 07:43:29 AM »
waah saarthika ji ...

In ansuuoN ko yuiNhi tum koi iljaam na do
Ye dard-e-gum hai ise our koi  naam na do
dil se nikle haiN lafz kisi kash-m-kash maiN jo
iltaza hai usey nafrat-e-ahsaas ka koi pyaam na do


harash
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #67 on: March 15, 2008, 12:18:03 PM »
Tere dil se mere khaylaat nahi milte
Mere dil se tere diye zakham nahi mit.te
Dil kisi tarah kahin sakoon paata nahi
Jab is nigah ko tere nigaah-e-karm nahi milte

Dhadkate hai dil ek dooje ke dil main, magar
Kyun phir yah sawalaat nahi mit.te
Jawabo mai kitna bhi dhunda kiya
Jhooth main, pyar ke phool nahi khilte

Tadapa kar sirf tadap hi hath ayegi
Dil se kyun wo meharbaan nahi nikalte
Milte hai her roj un to hum dekho
Kyun mil kar bhi, hum nahi milte………….

Tere dil se mere khaylaat nahi milate
Mere dil se tere diye zakham nahi mit.te...................


BAHUT KHOOOOB POOJAJI...SACH MEIN BAHUT ACHA LIKHA HAI AAPNE..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #68 on: March 17, 2008, 05:56:05 PM »
Aaj koi kisi ke liye bhi  waqt nahi nikaal paate
aisa to nahi ke sirf mere liye hi
woh mashroof hai ho jaate

jis ke intezaar mein har lamha yuhi guzaar diya humne
woh ek pal bhi apna hume nahi de paate...

shikayat karte to kisse karte yahan
"KHWAISH" apne is dard ka koi ilaaj nahi hai,
jab samajne wale samaj kar bhi nahi hai  samaj paate....

unse mulaakat ho hi jaati apni,
par kabhi kabhi nazdeekiyan dooriyon mein
 kyon hai badal jaate??

chalo shukar hai khwaab tootne par aankh to khul jaati hai,
varna hum khwaabo ki duniya mein guum se hai ho jaate....






Logged
Pooja
Guest
«Reply #69 on: March 17, 2008, 08:14:12 PM »
 Shikayat kisi ki sun kar na jaane kaya yaad ayya
Pyar tha yah unka, magar dil ko rona hai ayya

Itani shaiddat se shayad, kisi ne ajtak na sawal uthaya
Intzaar main humari, apni rooh ko shayd tha unhone bichaya

Apni hi ek dunia hai, jahan humne hai apna dil lagaya
Band kahin kisi kamre main, khud ko hai chupaya

Dekh dunia ka tamahsa bas yahi Pooja ko samjh main ayya
Issi liye hai khud ko, sare jahan se door basaya
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #70 on: March 17, 2008, 08:16:16 PM »
Bohat khoob Pooja, Sarthika, Harash & Khwaish...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #71 on: April 30, 2008, 10:33:59 PM »
Shukaria Aryaan ji!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #72 on: May 05, 2008, 02:49:16 PM »
pass hokar pass nahi atte
door hokar door nahi jaate
kis kash-m-kash mai ayya hai yah rishta
shabdo ki jagah ab sirf hai ansoo atte

very true!! Jalad hi kuch likhugi!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #73 on: August 18, 2008, 02:41:41 PM »

waah pooja ji very nice !!! bahut badhiya likha hai aapne!!!

Mera dard
ab Mujh se hi
Hord lene laga hai!
Par kate pakshi ki bhaanti,
Bilakhta to hoon,
kintu ander hi ander,Jaanboojhkar,
Sab kuchh piye jaa raha hoon!
Kam se kam yeh ahsaas to hai
ki Jiye Jaa Raha hoon!!


wah kayA baat hai AKS JI!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #74 on: August 18, 2008, 03:09:19 PM »
sawalo main sawal, aor phir sawalo main he attak jaate hai
apne he sawalo main uljhein, jawabo ke liye bhatak jaate hai

door tak kahin, milan ki koi disha najar nahi atti
dishao ko dekh-dekh kar, dishao ki socho main bhatak jaate hai

Bahoot muddat baad ajj ansuoo ne phir se samjhaya Pooja ko
Itani thokaro ke baad to pathar bhi sambhal jaate hai

sawalo main sawal, aor phir sawalo main he attak jaate hai.....
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:59:11 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer