kyun khela is dil se...

by punam on August 05, 2008, 08:45:25 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 3592 times)
punam
Guest
khilona samjhakar kisi ne is dil ko
kuch der khela aur fir chhor diya

aaj aansoo bhi nahi in aankhon me
toofan ke baad ka haal hai is dil ka

haath pakad saath chalne ka wada jo kiya
bich raah me tanha chhod apna muh mod liya

khadi reh gayi wahi ke wahi main bebas ho ke
suni hogayi zindagi charo aur andhera dikha

bewafaa hoga woh kabhi aisa socha na tha
phir bhi uske khilaf dilse Kuch Bura na nikla

maine toh ki the mohabbat usse sache dil se
aey khuda phir woh mere sath aisa kyun kiya..

kyun khela is dil se kyun is qadar daga kiya
meri mohabbat me kya kami thi jo aisa sila diya...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
AAKHAir KYun (KYUn)(KYun(KYUn) by muneeb in Shayri-E-Dard
kyun?? by amritflora in Shayri-E-Dard
Woh mujh se khela.....Kash by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri
Apne hi dil se ham khela kiye.......mann by mann.mann in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #1 on: August 05, 2008, 08:54:10 AM »

 Applause
dil se likhi hui..har line....apne aap me beintaha dard samete hue hai....
a nice and touching creation punam Clapping Smiley
Logged
punam
Guest
«Reply #2 on: August 05, 2008, 09:03:03 AM »
sukriya sanjeev bhaiya...
Logged
baadal102
Guest
«Reply #3 on: August 05, 2008, 09:07:01 AM »
bahut hi umda likha hai punam ji wah





Baadal
Logged
punam
Guest
«Reply #4 on: August 05, 2008, 09:09:22 AM »
sukriya baadal ji....
Logged
diya786
Guest
«Reply #5 on: August 05, 2008, 11:12:04 AM »
khilona samjhakar kisi ne is dil ko
kuch der khela aur fir chhor diya

aaj aansoo bhi nahi in aankhon me
toofan ke baad ka haal hai is dil ka

haath pakad saath chalne ka wada jo kiya
bich raah me tanha chod apna muh mod liya

khadi reh gayi wahi ke wahi main bebas ho ke
suni hogayi zindagi charo aur andhera dikha

bewafaa hoga woh kabhi aisa socha na tha
phir bhi uske khilaf dilse Kuch Bura na nikla

maine toh ki the mohabbat usse sache dil se
aey khuda phir woh mere sath aisa kyun kiya..

kyun khela is dil se kyun is qadar daga kiya
meri mohabbat me kya kami thi jo aisa sila diya...


bahut hi accha likha hai punam di
har ek line mein dard hai bahut khoob...
Applause Applause
Logged
ANKIT RAO
Guest
«Reply #6 on: August 05, 2008, 02:59:40 PM »
BAHUT KHOOB BAIYAN KIYA HAIN AAPNE APNE DARD KO.

VERY GOOD SACHMUCH ADBOOT. Clapping Smiley icon_thumleft
Logged
syednaami
Guest
«Reply #7 on: August 05, 2008, 03:08:01 PM »
Bahut Khoob dard aur haale dil bayaan kia gaya hai. -

Zahir hai har ishq ki
intaha nahin hoti -

Jo chhod de tanha
Par zindagi fana nahin hoti -

Ishq kare aur nikle jaan
To muhabbat nahin hoti -

Zabt jab toot jaye to
Wafa ki umeed nahin hoti -

Rishta nahin hota jab tak
Bin rishte wafa nahin hoti. -


**Syed Naami**
Logged
Roja
Guest
«Reply #8 on: August 05, 2008, 03:13:25 PM »
Quote
khilona samjhakar kisi ne is dil ko
kuch der khela aur fir chhor diya

aaj aansoo bhi nahi in aankhon me
toofan ke baad ka haal hai is dil ka

haath pakad saath chalne ka wada jo kiya
bich raah me tanha chod apna muh mod liya

Bahut accha likha hai punam. (magar kisne khela tere dilse?  Crying)
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #9 on: August 05, 2008, 03:16:12 PM »
 Applause Applause Applause Applause
Zabt jab toot jaye to
Wafa ki umeed nahin hoti -

Rishta nahin hota jab tak
Bin rishte wafa nahin hoti
. -


awesome lines..sami.....bahoot gahri baat .....itni asani se bhi kahi ja sakti hai........ye padhkar pata laga......bahoot umda likha hai bhai...

Logged
punam
Guest
«Reply #10 on: August 05, 2008, 05:32:25 PM »
bahut hi accha likha hai punam di
har ek line mein dard hai bahut khoob...
Applause Applause

Sukriya diya sis....
Logged
punam
Guest
«Reply #11 on: August 05, 2008, 05:33:14 PM »
BAHUT KHOOB BAIYAN KIYA HAIN AAPNE APNE DARD KO.

VERY GOOD SACHMUCH ADBOOT. Clapping Smiley icon_thumleft

Sukriya Ankit ji...
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #12 on: August 05, 2008, 05:58:54 PM »
is topic ko padhkar ek bahoot purana sher yaad aa gaya

gum na kar aye dost koun kiska hota hai,
dhokha wahi dete hain jinpe bharosa hota hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: August 05, 2008, 06:04:05 PM »
Nice sharing Bekarar ji

bharose main jab bewafai ka rang hota hai
pyar ka naam bhi waha, bahoot sharmsaar hota hai
Logged
Roja
Guest
«Reply #14 on: August 05, 2008, 06:41:31 PM »
Bahut Khoob dard aur haale dil bayaan kia gaya hai. -

Zahir hai har ishq ki
intaha nahin hoti -

Jo chhod de tanha
Par zindagi fana nahin hoti -

Ishq kare aur nikle jaan
To muhabbat nahin hoti -

Zabt jab toot jaye to
Wafa ki umeed nahin hoti -

Rishta nahin hota jab tak
Bin rishte wafa nahin hoti. -


**Syed Naami**

Zaberdast ... very good work
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 03:16:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer