kyun khela is dil se...

by punam on August 05, 2008, 08:45:25 AM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 3607 times)
punam
Guest
«Reply #15 on: August 05, 2008, 07:22:51 PM »
Bahut Khoob dard aur haale dil bayaan kia gaya hai. -

Zahir hai har ishq ki
intaha nahin hoti -

Jo chhod de tanha
Par zindagi fana nahin hoti -

Ishq kare aur nikle jaan
To muhabbat nahin hoti -

Zabt jab toot jaye to
Wafa ki umeed nahin hoti -

Rishta nahin hota jab tak
Bin rishte wafa nahin hoti. -


**Syed Naami**

bahut khoob... bas yeh padh ke mujhe kuch yaad aaya...


vo zabt abhi ham meN baaki hai ke marne tak
tum laakh sitam Dhaao,ham laakh duaa deNge..!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
AAKHAir KYun (KYUn)(KYun(KYUn) by muneeb in Shayri-E-Dard
kyun?? by amritflora in Shayri-E-Dard
Woh mujh se khela.....Kash by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri
Apne hi dil se ham khela kiye.......mann by mann.mann in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #16 on: August 05, 2008, 07:32:21 PM »
khilona samjhakar kisi ne is dil ko
kuch der khela aur fir chhor diya

aaj aansoo bhi nahi in aankhon me
toofan ke baad ka haal hai is dil ka

haath pakad saath chalne ka wada jo kiya
bich raah me tanha chod apna muh mod liya

khadi reh gayi wahi ke wahi main bebas ho ke
suni hogayi zindagi charo aur andhera dikha

bewafaa hoga woh kabhi aisa socha na tha
phir bhi uske khilaf dilse Kuch Bura na nikla

maine toh ki the mohabbat usse sache dil se
aey khuda phir woh mere sath aisa kyun kiya..

kyun khela is dil se kyun is qadar daga kiya
meri mohabbat me kya kami thi jo aisa sila diya...


Dil se jo aah nikalti he asar rakhti he.

bohot khoob punam bohot achha likha he.
Logged
syednaami
Guest
«Reply #17 on: August 05, 2008, 09:43:21 PM »
Applause Applause Applause Applause
Zabt jab toot jaye to
Wafa ki umeed nahin hoti -

Rishta nahin hota jab tak
Bin rishte wafa nahin hoti
. -


awesome lines..sami.....bahoot gahri baat .....itni asani se bhi kahi ja sakti hai........ye padhkar pata laga......bahoot umda likha hai bhai...



Bekarar bhaya,
   Aap ne saraha matlab yeh nazm sab ne pasand ki, bas optimist ki nazar se dekha jaaye to kabhi manfi soch nahin aayegi dil men. Bahut taazeem ke saath aap ka bahut Shukriya. -

Zaberdast ... very good work

Thankssss ssoooo much Roja jee, jab men zabardast use karta hun tab woh nazm meri nazar men bahut aala aur shandar hoti hai. -


bahut khoob... bas yeh padh ke mujhe kuch yaad aaya...


vo zabt abhi ham meN baaki hai ke marne tak
tum laakh sitam Dhaao,ham laakh duaa deNge..!


Shukriya Punam jee, aap ne pasand kia. aur javaaban kuchh farmaya, hamen bahut achha laga, thanks a lot. -
Logged
punam
Guest
«Reply #18 on: August 06, 2008, 05:58:31 AM »
Bahut accha likha hai punam. (magar kisne khela tere dilse?  Crying)

di thanx..khelne wale khel jate hain..par jab woh apne hote hain dard bahut hota hai..
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #19 on: August 06, 2008, 06:33:59 AM »
bohut khoob punam ji

hai kaisa ye dastur mohobbat ka dosto
jo tode dil usko bewafaa bhi kaha jaata nahi
bhul jaaon usko ye har pal dil dua karta hai
par yaad kiye bina usko saansein chalti nahi
Logged
punam
Guest
«Reply #20 on: August 06, 2008, 06:54:39 AM »
is topic ko padhkar ek bahoot purana sher yaad aa gaya

gum na kar aye dost koun kiska hota hai,
dhokha wahi dete hain jinpe bharosa hota hai


Nice sharing Bekarar ji

bharose main jab bewafai ka rang hota hai
pyar ka naam bhi waha, bahoot sharmsaar hota hai


bahut khoob kaha Sanjeev bhaiya ..pooja di...
Logged
punam
Guest
«Reply #21 on: August 06, 2008, 06:57:14 AM »
wah to nahi karunga punam ji
kyun ki kisi ke dard pe wah wah achhi baat nahi na
par itna jarur kahunga yaar bohat khoob bayaan kiya hai
saara haal.e.dil jaise isme rakh diya hai keep it up ji...

shukriya Majid ji... aap jaisa sochta koun hai..acha laga aap samjhe toh sahi..
Logged
punam
Guest
«Reply #22 on: August 06, 2008, 07:04:30 AM »
bohut khoob punam ji

hai kaisa ye dastur mohobbat ka dosto
jo tode dil usko bewafaa bhi kaha jaata nahi
bhul jaaon usko ye har pal dil dua karta hai
par yaad kiye bina usko saansein chalti nahi


Thanx kaushikbhawna ji..aur sach bayan kiye aap apna kalam me...
Logged
punam
Guest
«Reply #23 on: August 06, 2008, 07:09:16 AM »
Dil se jo aah nikalti he asar rakhti he.

bohot khoob punam bohot achha likha he.


sukriya bhaiya....
Logged
punam
Guest
«Reply #24 on: August 06, 2008, 07:10:40 AM »
pathar dil wale hi khelte hain dil se
nazuk se dil ko tod dete hai Bade shauk se

kuch pal apna dil behlane ke liye woh
baazi khelte hai Aksar doosron ke ehsaason se

aaj jaana aise bhi hote hain log is jahan me
meethi baatein karke khanjar chubha dete hai bade zor se

bol dete hain jhoot woh bahut aasani se
unka kya tadap rahe hain hum dard se..

kyun  dikhta nahi unhe kisi ka pyar bhara dil
kyun khelte hain log kisi ki zindagi se...

Logged
k.shael
Guest
«Reply #25 on: August 06, 2008, 07:31:33 AM »
 Applause  Applause
EXCELLENT WORK
PUNAM JI,
& NICE REPLY FROM ALL OF U
DEAR FRIENDS...
KEEP GOING....
BY. K.SHAEL
Logged
punam
Guest
«Reply #26 on: August 06, 2008, 09:31:39 AM »
Applause  Applause
EXCELLENT WORK
PUNAM JI,
& NICE REPLY FROM ALL OF U
DEAR FRIENDS...
KEEP GOING....
BY. K.SHAEL

Thanx a lot K.Shael ji....
Logged
baadal102
Guest
«Reply #27 on: August 06, 2008, 09:35:13 AM »
bahut khoob punam ji
bahut hi aacha likhti hai aap



Baadal
Logged
R-U-Sudha
Guest
«Reply #28 on: September 05, 2008, 12:12:58 PM »
khilona samjhakar kisi ne is dil ko
kuch der khela aur fir chhor diya

aaj aansoo bhi nahi in aankhon me
toofan ke baad ka haal hai is dil ka

haath pakad saath chalne ka wada jo kiya
bich raah me tanha chhod apna muh mod liya

khadi reh gayi wahi ke wahi main bebas ho ke
suni hogayi zindagi charo aur andhera dikha

bewafaa hoga woh kabhi aisa socha na tha
phir bhi uske khilaf dilse Kuch Bura na nikla

maine toh ki the mohabbat usse sache dil se
aey khuda phir woh mere sath aisa kyun kiya..

kyun khela is dil se kyun is qadar daga kiya
meri mohabbat me kya kami thi jo aisa sila diya...


"kyun khela is dil se kyun is qadar daga kiya
meri mohabbat me kya kami thi jo aisa sila diya..."

Punam ji, yun to aap ki har pankti se dil bhar sa aa gaya, par yeh jo antim pankti hai is mein kuch aisi peedha hai ki sharir dahal sa gaya.
Bas yun samajhiye ki meri kahani aap ki kavita se alag nahi.

Dil tod kar woh yun haste hain,
Kya dil humse kabhi lagaya tha,

Hum har pal jeete marte hain,
Kya ishq nahi bas dikhava tha,

Woh sach nahin to kya dhong tha,
Is baat ko tod ke dil samjhaya tha.
Logged
R-U-Sudha
Guest
«Reply #29 on: September 05, 2008, 12:31:50 PM »
pathar dil wale hi khelte hain dil se
nazuk se dil ko tod dete hai Bade shauk se

kuch pal apna dil behlane ke liye woh
baazi khelte hai Aksar doosron ke ehsaason se


aaj jaana aise bhi hote hain log is jahan me
meethi baatein karke khanjar chubha dete hai bade zor se

bol dete hain jhoot woh bahut aasani se
unka kya tadap rahe hain hum dard se..

kyun  dikhta nahi unhe kisi ka pyar bhara dil
kyun khelte hain log kisi ki zindagi se...



Yeh kavita bhi aansu ki mala se bharpur hai, ghamzada kar diya dil ko.
Lal rang wali pankti bhi kisi marg tak satya ko dikha rahi hai, aap ke ehsaason se jazbaaton se niyae nahi hua hai. Yun to yeh dard mit nahi sakta jab tak ki daga karne wala saamne aakar apne gunah ka swikaran nahi kare.

Bahot ashk nikle mere,
par woh hansta hi raha.
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 11:34:51 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.149 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer