(Kyun Main na sahe kaha na) shairi ka bara main plz. read

by muneeb on September 03, 2004, 03:58:37 PM
Pages: [1] 2 3 4
Print
Author  (Read 7815 times)
muneeb
Guest
"Shairi"
 

shairi tu ussa passand hote hai jessa pyar howa ho
shairi woh he samaj sakta hai  jessa ek baar howa ho

jo baat woh khud nahi khata woh shairi khadate hai
kuch bhi hoon yaroo pyar tu woh hai jo aakho sa baayaa howa ho

kyun ka shairi ussa he passand hote hai   jesse pyar howa hoon


(kyun Mara dosttu main na sahe kaha na)
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1 on: September 03, 2004, 04:11:39 PM »
shayari usse pasand hoti hai
jiske seene mai dil dharkta ho
jiska dil khud ke liye nahi
kisi aor ke liye tarptta ho
jo pane aor khone ki had se nikal chuka ho
jiske liye uska payar hi khuda ho
Logged
Deepak Dixit
Guest
«Reply #2 on: September 03, 2004, 04:14:36 PM »
nice pooja
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #3 on: September 03, 2004, 04:45:19 PM »
nice one pooja......
Logged
muneeb
Guest
«Reply #4 on: September 03, 2004, 06:30:11 PM »
********Thank you Pooja aap na bhi sahe kaha laken jo mara dil na kaha main na woh likha tha any way good **********
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: September 03, 2004, 06:33:05 PM »
shayari aor lafz shayar ki juabn hoty hai
dekhaty hai wo ek hi cheez, magar alfaaz alag hoty hai
apki hi baat ne yaad muje kuch dila diya
apki shayri ne hi mera wo shair bana diya
Logged
Deepak Dixit
Guest
«Reply #6 on: September 03, 2004, 06:37:24 PM »
kagaaj ke phoolo main khushboo nahin hoti ,
agar hoti hai to woh sthir nahin hoti,
mera phool to gulab ka hai,
jisse kissi itr(scent) ki jaroorat nahin hoti
(shayar ki kalaam se)
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: September 03, 2004, 06:42:20 PM »
wah nice Deepak.....shayar ki kalam se...good
Logged
Deepak Dixit
Guest
«Reply #8 on: September 03, 2004, 06:46:03 PM »
thanks pooja ji
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: September 03, 2004, 09:15:37 PM »
kagaj ke phoolo mai khushbu nahi hoti
har insaan mai wafa ki boo nahi hoti
kuch dil pathardil bhi hoty hai
jahan koi fariyaad nahi hoti
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #10 on: September 04, 2004, 06:09:05 AM »
nice pooja........deepak....
Logged
muneeb
Guest
«Reply #11 on: September 04, 2004, 11:13:42 AM »
******Thanx to all******


ajab see khahish, ajab hai yeh khamoshi zubaan par,
jahaan dharkanain pukaarteen aur rooh sehmi khadi sunti,

ik kashmakash see zehen main ik sawaal jo dil par dastak daita hai,
gardish main hai woh chehra, woh lamha aur mulakaat ik ajnabi say,

nigaahon main har dam usee ki talaash, jo nazar aaya toh sakoon paya hum nay,
ojhal hua toh din o raat us ka khayaal,intazaar main baday ashk bahaye hum nay,

aahat say jo dhachka laga is dil ko keh dharkan bardh jatee,
khud hee sun kar dil thaam lia, sun na saka bass woh hee,

jo ruswa hotay zamanay main toh shaayad gham na hota is kadar,
gar yeh raaz woh sunta toh kabhi mila na paatay us say hum phir nazar.
Logged
nishita
Guest
«Reply #12 on: September 04, 2004, 12:48:23 PM »
shayari woh karte hai
jo roz dard se marte hai..
Logged
nishita
Guest
«Reply #13 on: September 04, 2004, 12:53:07 PM »
ae shayari tera jawaab nahi
tujhse badiya is duniya koi kitaab nahi
khul kar apne dil ka haal likh deti hu tujh mein
utna hi kam hota hai dard jitna bhara hai mujh mein

hum dard ke maaro ka sachha yaar hai tu
jinhe pyaar na mila un badnaseebo ka pyaar hai tu
dard bate humara ..sukoon hume deta hai
badle mein tu humse sirf kagaz kalam leta hai..
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #14 on: September 04, 2004, 04:21:00 PM »
wah ...nishita..............sahi kaha aap ne...............
Logged
Pages: [1] 2 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 07:27:34 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer