(Kyun Main na sahe kaha na) shairi ka bara main plz. read

by muneeb on September 03, 2004, 03:58:37 PM
Pages: 1 2 [3] 4
Print
Author  (Read 7899 times)
muneeb
Guest
«Reply #30 on: September 08, 2004, 11:15:57 AM »
Thank you To ALL


Is shart pe khelongi piya piar ki baazi
jeeton to tujhe paaon haron to pia teri
Logged
Pooja
Guest
«Reply #31 on: September 08, 2004, 03:02:05 PM »
wah!!!>jeeton to tujhe paaon haron to pia teri
Logged
yasir_sensitive
Guest
«Reply #32 on: September 09, 2004, 12:39:59 AM »
Dard k phool khiltaY hein bikher jataY hein
Zakham kesaY b hon kuch roz mein bher jataY hein

us dareechaY mein b ab koi nahi aor hum b
Ser jhukaY chup chaap guzer jataY hein

Raasta rokaY khari hai Yehi uljhan kab se
Koi poochaY to kahin kia k kidher jataY hein

Naram awaz bhali batein muhazab lehjaY
pehlY barish mein he Ye rang uter jataY hein

Zakham kesaY b hon kuch roz mein bher jataY hein
Dard k phool khiltaY hein bikher jataY hein
Logged
muneeb
Guest
«Reply #33 on: September 10, 2004, 09:53:58 AM »
Yasir Aap ke shairi bohat achi hai

KOI HUM SEY POCHEY"
Tanhaiyon Ka Zehar Peena Kesa Lagta Hai
Koi Hum Sey pochey
Kisi Ki Yadoon Main Khoyey Rehna Kesa Lagta Hai
Koi Hum sey Pochey
Kabhi Akelay Main Apnay Aap Hi Hans Dena Kesa Lagta Hai
Koi Hum sey pochey
Kabhi Tanha Bethay Bethay Khud Hi RoLena Kesa Lagta Hai
Koi Hum Sey Pochey
Kissi K Intizar Ki Bechaini Main Taraptey Rehna Kesa Lagta Hai
Koi Hum Sey Pochey
Yeh Jaan Kar Bhi k Aanay Wala Aye Ga Nahin
Us Ki Rahoon Main Palken Bichaey Baithna Kesa Lagta Hai
Koi Hum sey pochey
Neend To Ankhon Se Koson Meel Door Hai
Yeh Soch Ker Raton Ko Tarey Ginna Kesa Lagta Hai
Koi Hum Sey pochey
Kiya Pata Agli Subha "UN" Ka Deedar Naseeb Ho
Yeh Sooch Ker Khuda Sey Dua Mangtey Rehna
K Abhi Din Ka Ujala Ho Jaey Kesa Lagta Hai
Koi Hum Sey Pochey....!!!!!!!!!
Dard ki main Inteha daikhna chata hooon
main apna hosla daikhna chaata hoon
apnay liye maut ki sazza daikhna chata hoon
A mere mehboob daikh main kia daikhna chata hoon
hain nishan baki jo tu nai zakham diye hain
main unn zakhmon ko rasta hoa daikhna chata hoon
bewafa sai wafa ki umeed kion kar ho iss liye
main khud ko bhi abb bewafa daikhna chata hoon
teri judai main jis tarah tarap raha hoon main
tujh ko bhi issi tarah tarapta hoa daikhna chata hoon
hai mere ki yahi aakhri arzoo abb tau
Dulhan k Roop main saja hoa daikhna chata hoon
Logged
nishita
Guest
«Reply #34 on: September 10, 2004, 09:58:57 AM »
not mine...

Kabhi iss bewafa duniya ko bhool ke
Zindagi ke do char lamhon main
Fursat ke do pal hi sahi
Mujhe soochna

Yeh sochna ke tumhare dil main
Bhaagti hui dharkano ke dermian
Koi ahsaas mera bhi hai

Yeh dekhna keh tumhari ankhoon main
Reshmi palkoon ke peeche
Koi khawab mera bhi hai

Yeh dekhna keh tumhare haath ki
Hina main doobi lakeeron main kahin
Koi naam mera bhi hai

Mujhe sochna
Yeh sochna ke kya tumhe
Koi Itna chahe ga

Yunhi soocho ke sahil pe chaltay chaltay
Koi mast si leher agar
Tumhare qadmoon ko choom le
To jan lena
Keh tum ne mujh ko pa liya hai

Kabhi sochna...
Haan sochna...
Logged
muneeb
Guest
«Reply #35 on: September 10, 2004, 10:01:25 AM »
o0o0o0o NIce shairi nishita


KABHI TO KHUL KAY BARAS
Kabhi to khul kay baras, Abr-e-mehrbaan ki tarah,
Mera vajood hai jaltay huey makan ki tarah !

Main ek khawab sahi, aap ki amaanat hoon,
Mujhay sambhal kay rakhiyega jism-o-jaan ki tarah !

Kabhi to soch ki woh shakhs kis kadar tha buland,
Jo juk gaya teray kadmon ,mein aasmaan ki tarah !

Bula raha hai mujhay phir kisi bahar ka basant,
Guzar na jayey yeh rut bhi kahin khizan ki tarah !

Kabhi to khul kay baras, Abr-e-mehrbaan ki tarah,
Mera vajood hai jaltay huey makan ki tarah !
Logged
Pooja
Guest
«Reply #36 on: September 10, 2004, 02:08:31 PM »
bahoot khoob yasir, nishita  and MUNEEB JI.

BAHOOT HI ACHI WORDING HAI >>>
Kabhi to soch ki woh shakhs kis kadar tha buland,
Jo juk gaya teray kadmon ,mein aasmaan ki tarah !

MUNEEB JI APKI YAH SHAYRI "KOI HUM SEY POCHEY"  is really very touching. Thanks for sharing with us.
Logged
muneeb
Guest
«Reply #37 on: September 11, 2004, 03:25:54 PM »
Thank you Pooja

aiy jazbay dil!
kaheen aisa na ho,
k mara janoon tujhay bhatka day,
tari nas nas main ik aag,
bay yaqeeni ki barhka day,
kaheen aisa na ho,
k mara janoon tari puryaqeen aankho ko,
narasai ki soogaat day,
mayoosi k shikanjay main wo,
ghabra kar wo taira haath day,
isi dar say main kahti hoon,
k to auorh kar bayrukhi ki chaadar,
maray shaoor main gum ho ja,
ya dil ki ghahrai may soo ja,
aiy jazbay dil!to mari lagan say aaj,
mary maan kar bayparwa ho ja, aaj maray dill main soo ja.
Logged
muneeb
Guest
«Reply #38 on: September 12, 2004, 07:51:47 AM »
ae zindagi tujhe se sirf itna shikwa hai
jo tujhe se manga
to ne dene se pehle hi cheen liya
zindagi viran kiyoon hai
tere her faisle ko dil se lagaya
tere her irman apna banaya
jab tujhe se koi apna manga
to too ne apna daman kheench leye
zingi itni viran kiyoon hai
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #39 on: September 12, 2004, 05:16:06 PM »
Ye Ratain Ye Mausam Ye Hansna Hansaana
Hamain Bhool Jana Inhain Na Bhulana...........
Logged
muneeb
Guest
«Reply #40 on: September 13, 2004, 10:23:17 AM »
wah wah wah waheed

tum itna jo muskurarahai hoo....
kiya gam hai jiss ko chupa rahay ho....
ankhoo mai nami hansi hontoo per......
kiya hall hai kiya dikha rahi ho..
Logged
muneeb
Guest
«Reply #41 on: September 14, 2004, 12:25:51 PM »
Thank you To all
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #42 on: September 14, 2004, 01:00:00 PM »
thanx muneeb.............
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 44 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #43 on: September 14, 2004, 02:08:49 PM »
sach me aap logo ne bahut achi shayri likhi hai

koi gum he mujhe, jo jine nahi deta
koi gum hai tujhe, jo mujhse milne nahi deta

koi dil hai mera, jo teri yaad me tadapta hai
koi dil hai tera,  jo mere dil ko tadpata hai

koi aansu hai mera, jo rukne ka naam nahi leta
koi aansu hai tera, jo palko se bahar nahi aata

koi jaan hai meri, jo tujh pe marne ko tyaar rahti hai
koi jaan hai teri, jo meri jaan se bhi zyada aziz hai mujhko

koi zakhm hai mera, jo kabhi tune diya tha mujhe
koi zakhm hai tera,  jo kabhi main ne dekha hi nahi tha

koi pyaar hai mera, bus tu hi pyaar hai mera
koi pyaar hai tera, bus main hi tera pyaar nahi hu

koi kami hai mujhme, jo tu pyaar nahi karti
koi kami hai tujh me, ke hum tujh se beinteha pyaar karte hai

koi gum hai mujhe, na koi gum nahi mujhe
Logged
Pooja
Guest
«Reply #44 on: September 14, 2004, 04:18:02 PM »
nice samnoj.
Logged
Pages: 1 2 [3] 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:36:46 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer