(Kyun Main na sahe kaha na) shairi ka bara main plz. read

by muneeb on September 03, 2004, 03:58:37 PM
Pages: 1 2 3 [4]
Print
Author  (Read 7900 times)
waheed_rose2004
Guest
«Reply #45 on: September 15, 2004, 08:30:42 AM »
wah samnoj.....!!!!!!!!!

Rang Par Naz Na Kar Rang Badal Jata Hain
Yay Wo Mehman Hay Jo Aaj Aa Kay Kal Jata Hain
Ishq Pay Naz Karay Bhi To Koi Baat Hai
Rang Pay Naz Kiya Rang To Dhul Jata Hai....

Naz = Ghamand (Gumaan)
Logged
nishita
Guest
«Reply #46 on: September 15, 2004, 08:32:12 AM »
wonderful saMNoj
Logged
muneeb
Guest
«Reply #47 on: September 15, 2004, 07:23:22 PM »
wah wah........

 "Chori chori tumhain dekha
Chori chori tumse pyar huwa
Chori chori nazren mili
Chori chori iqrar huwa
Chori chori hal-e-dil sunaya
Chori chori chain hum ne khoya
Aur kya kya batayen, kya kya beeti hai is deewane pe
Bus itna keh sakte hain ke
Chori chori zindagi main tum aye
Chori chori dil pe pehra tumhara hu
Logged
muneeb
Guest
«Reply #48 on: September 16, 2004, 10:31:51 AM »
Thank you to ALl





Yaad Karta Hoon Tumhe Yaad Aati Hi Nai
Kaise Aayae Woh Cheez Jo Jaati Hi Nahi
 
 
 
Tum mujhe bhool bhi jaao to ye haq hai tumko
Meri baat aur hai maine to mohabbat ki hai
 
 
Judai ka pata hota agar pyaar se pehle,
To maut ki duva mangte hum deedar se pehle.
 
 
Peete hain sharaab hum jinhe bhulane ke liye
wo hi aa jaate hain yaad hamen rulane ke liye
 
 
 
manzilon pe aake lut-te hain dilon ke karvaan
kashtiyan saahil pe aake dobti hain pyar ki
 
 
Abkey bichdey phir shayad khuabon mein milein..
sookhey huey phool jaisey kitaabon mein milein.
 
 
Daulat E Dard ko duniya se chupa kar rakho
Aankh mein aansu nah ho aur dil mein samandar rakho
 
 
 
Mohabbat Ke Liye Kuch Khaas Dil Maqsoos Hote Hai
Yeh Woh Nagma Hai Jo Har Saaz Pe Bajaya Nahi Jaata
 
 
 
aaj teri yaad aayi to aansu nikal aye
dil aaj bhi yeh sochta hai
tum kyon na humein mil paye
 
 
Wafa ka naam na lo yaron,
Wafa dil ko dukahati hai.
Wafa ka naam lete hi,
hume ek bewafa ki yaad Aati hai
 
 
Aap Gairon ki baat karte hain,
humne Apno ko Aajmaya hai!
log Katoan se bachkar chalte hain,
humne Fooloan se Jakhm khaya hai!!
 
 
Usko chaha bhi to iqraar karna na aaya,
Kat gayi umr, hamein pyar karna na aaya,
Usney maanga bhi agar kuch to maangi judaai,
Aur ek hum thay ke inkaar karna na aaya
 
 
Raat ki tanhai mein unko awaaz diya karte hain
Raat mein sitaaron se unka zikre kiya karte hain
Woh ayen ya na ayen humare khwabon mein
Hum toh bus unhi ka intezaar kiya karte hain
 
 
 
Ho chuki mulakaat abhi salaam baaki hai
Tumhare naam ki do ghoont sharaab baki hai
Tumko mubarak ho khushiyoon ka shamyaana
Mere naseeb me abhi do gaz zameen baki hai
 
 
Har Inkaar Tere Ikraar Se Aacha Hoga
Mera Har Din Teri Us Raat Se Aacha Hoga
Na Ho Yakin To Jhaak Lena Apni Doli Se
Mera Janaza Teri Baarat Se Aacha Hoga
 
 
Bahot Koshish Ki Magar Na Bhula Paaya Main Tujhko,
Yaad Tumhari Satati Rahi, Chaen Bhi Na Aaya Mujhko,
Sote Waqt Bhi Chehra Saamne Nazar Aaye,
Kya Mil-Jayega Mujhko Pyar Mera,
Bas Yahee Sochte Sochte Raat Guzar Jaye.
 
 
 
Pher lete hain nazar, dil se bhula dete hain
Kya yun hi log wafaon ka sila dete hain
Wada kiya tha phir bhi na aaye mazar par
Humne to jaan di thi isi aitbaar par
Kyon bhula diya humein, kyon dil se gira diya
Hum to yun hi mare huye the, aap ke inkaar par
 
 
Socha na thaa teri ulfat mey aisee thokar khaayenge
Pyar kee duniya mey saans lene sey pahle hi mar jaayenge
Ab pataa chala ke Ishq ek Khel hai koi jasbaat nahi
Aur kitney dil yaha jeete aur haarey jaayenge
Chahta tau hu magar aasaan nahi tuje bhoolna
teri yaadon ke sahare yuhi din kat tey jaayenge
Logged
muneeb
Guest
«Reply #49 on: September 22, 2004, 04:12:05 PM »
Tum Kiya Jaano Main Khuda Se Kiya Maangta Hoon ?
Tumhari Salam-ti Ki Hamesha Duaa Mangta Hoon
~*~*~*~*~*~
Agar Anjaane Main Ho Jaaye Koi Tumse khata
Tou Do Mujhe Uski Saza Ye Maangta Hoon
~*~*~*~*~*~
Agar Lag Jaaye Koi Chot Tumko Ya Ho Jaaow Tum Pareshaan
Tou Meray Haq Main Wo Saari Takleefein Maangta hoon
~*~*~*~*~*~
AiY KHUDA Meray Mehboob Ko Gham Se Door Rakhna
Din Raat Tumhaaray Saaray Gham Maangta Hoon
~*~*~*~*~*~
Tum Ho Hamesha Kaamyaab Tumhaari Her Khwaahish Ho Poori
Buss Ye Chaahta Hoon Aur Tumhari Khushi Maangta Hoon
~*~*~*~*~*~
Main Jaanta Hoon Ke Tum Mayri Nahin Ho Lekin
Main Hamesha Khuda Se Tumhaara Saath Maangta Hoon
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #50 on: September 23, 2004, 08:04:57 AM »
NICE ,,,,,................MUNEEB..................
Logged
muneeb
Guest
«Reply #51 on: September 23, 2004, 10:23:08 AM »
Thank you sir

Jhan Tak Bhi Jaen Nighaen
Barstey Hain Jase Nazarey
Zameen Derhi Hai Sadaen
Kyon Tarsa Rhi Hain Nighaen
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #52 on: September 23, 2004, 04:37:40 PM »
Wah!!! Muneeb................nice one......

sir mat kahiye.....mujhe waheed kahiye...........muneeb bhai....

yun to ansu ki har ek boond zuban hoti hai
hum ko taufeeq samajhne ki kahan hoti hai............
Logged
muneeb
Guest
«Reply #53 on: September 23, 2004, 07:56:17 PM »
theek hai waheed haam aap ko sir nahi kha ha ga laken waheed kiya haam aap ko apna dost kha sakta hai kiya hamara dost bana ga aap waheed ..........

Mujhe aziz hai tu apni zindagi ki tarah
Meri hayat main shamil hai tazgi ki tarah
Tu butt nahi main pujaari nahi magur phir bhi
Hai mere dil main tera pyar bandagi ki tarah
Tu anjuman main jo aaye to roshni phailay
Tera jamal hai ai dost chandni ki tarah
Iss teri zulf ke saaye ghataayein sawan ki
Mera wajood hai rouhi ki tishnagi ki tarah
Ussi ka pyar meri zindagi meri daulat
Jo dil ki baat karay sirf dil lagi ki tarah
Mujhe jo kehtay hain ai dost naghma gar sub loug
Wo bus gaya hai mere dil main naghma geen ki tarah
Logged
yasir_sensitive
Guest
«Reply #54 on: September 23, 2004, 10:14:05 PM »
Har bar socha ke tumse acha kaun hai,
Har bar yeh jana ke tumse acha koi nahin,
Har manga ki koi mile to bichade nahin,
Har bar log bichad gaye milne se pehle hi!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #55 on: September 26, 2004, 04:39:09 AM »
nice muneeb ....yasir...............
Logged
muneeb
Guest
«Reply #56 on: September 27, 2004, 07:32:38 AM »
Thank you  waheed

Chalo Bant Lete Hain Apni Sazayen
Na Tum Yaad Aao Na Hum Yaad Aayen

Sabhi Ne Lagaya Hey chehre Pe Chehra
Kisey Yaad Rakhen Kise Bhool Jayen

Unhen Kia Khabar Aane Wala Na Aaya
Barasti Rahi Raat Bhar Ye Ghatayen

Chalo bant Lete hain Apni Sazayen
Na tum Yaad Aao Na Hum Yaad Aayen
Logged
nishita
Guest
«Reply #57 on: November 20, 2004, 12:59:49 PM »
wah wah muneeb
Logged
muneeb
Guest
«Reply #58 on: November 20, 2004, 03:53:58 PM »
thank you nishita



Ao karien chand sy wo sab batien....
Izhar bhi karien issi sy....
Banalien ab ussi ko apna raazdaan....
Wagarna kuon suny ga hammari yahan daastan.....
Chelo BIYA phir is ko bataien......
Apni tammam uljhanien....
Aur na laien kissi ko apny darmiyan.......................!!!
Logged
sushilbansal
Guest
«Reply #59 on: September 16, 2012, 04:06:54 PM »
"Shairi"
 

shairi tu ussa passand hote hai jessa pyar howa ho
shairi woh he samaj sakta hai  jessa ek baar howa ho

jo baat woh khud nahi khata woh shairi khadate hai
kuch bhi hoon yaroo pyar tu woh hai jo aakho sa baayaa howa ho

kyun ka shairi ussa he passand hote hai   jesse pyar howa hoon


(kyun Mara dosttu main na sahe kaha na)
dunia may jo shaks mila gamgeen mila
shayar hon sab kay gam shabdo may keh daley
Logged
Pages: 1 2 3 [4]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:43:42 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer