<>*Kyun mujhe har bar aajmaya*<>

by *KasaK*....Dil Ki on July 21, 2010, 01:48:01 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2132 times)
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
<>*Kyun mujhe har bar aajmaya*<>

Har lamha chaha jise usne hi bedardi se tukraya
Dil ke zakhmon ne pukara jise usne hi ek aur ghaaw lagaya

Har lamha simat ti rahi zindagi jiski aagosh me
Usne hi bejaaan samjhkar laash sa mujhko jalaya

Aankhon me talaashti rahi sapne jiski main
Usi ne mujhe andhe hone ka ehsaas dilaya

Kyun na samjh pai main iss dil ki chahat ka rang
Jis tasveer me bhi bhare usko kale rang me ranga paya

Mehfil sajai thi tere waste main apni panaah me
Tujhe usi mehfil se anjana awara tanha karke bhagaya

Har lamha tarasti rahi jiski bahon k sahare k liye
Wo samjha mujhe jab maine iss jahaan se apna pichha chudaya

Kabhi samne aaya mere to kahengi aankhen meri tasveer ki
Kya kami thi mere pyaar me kyun mujhe iss tarah har bar aajmaya…..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kyun Kehete Ho Mujhe by honeyrose in Shayri for Khumar -e- Ishq
Aey Zindagi Kyun Mujhe Aazmati Hai.!!! by majid in Shayri-E-Dard
Aey Zindagi Kyun Mujhe Aazmati Hai.!!! by majid in Shairi - E - Zindagi
Kyun Kiya Mujhe Khud Se Dur..By SK by Shayaries_King in Ghazals
KYUN MUJHE HAR BAR by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: July 21, 2010, 01:53:39 PM »
Bahut Bahut Khoob Anamika...

Har Baar Ki tarah Dil ki kalam Se likha Hai Aapne..

Bahut Ache.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #2 on: July 21, 2010, 02:02:24 PM »
thnx khwaish ji..kuch feelings hi aisi thi k bas likhti chali gai..
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #3 on: July 22, 2010, 07:22:14 AM »
wah Kasak ji wah...!!! dard me doobi hui aapki ye daastaan hamare dil ko chhoo gayi... bahut hi khoob likha hai aapne...!!!

  Applause Applause ApplauseClapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Applause Applause Applause

kuch panktiyaan humne bhi koshish ki likhne ki "Straight from the heart"...!!!


kyun palbhar ki apne khushi ke liye log dusron ka dil tod dete hain,
kyun mann bhar jaane se log apne saaye tak ka saath chhod dete hain,

kya mohabbat isi ka naam hai ki jab tak saath hon tab tak hi rahe,
kyun ek duje se dur hone pe log mohabbat kya hai bhool jaate hain,

khaate hain dheron kasme is tarha jaise koi swadisht vyanjan ho,
kyun kuch waqt ke saath ke baad log un kasmon ko bhool jaate hain,

saath ho to bas yahi kehte hain hum na mil paaye to tumhara kya hoga,
kyun saath chhoot jaane pe log bas apne hi zakham ko gehra kehte hain,

mohabbat ho jaane se kaise har kisi ke hothon pe geet sajne lagte hain,
kyun judai me koi ghazal na banke bas bikhre huye shabd reh jaate hain,

mohabbat me mehboob se bas yahi kehte hai ki tumse achcha koi nahi,
kyun saath chhoot jaane pe wahi mehboob sabse bure ban jaate hain...


Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #4 on: July 22, 2010, 07:31:53 AM »
aapke sawalon ne dil me shor macha diya Klaskar ji.......

Logged
Rahi2001
Maqbool Shayar
****

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
5 days, 19 hours and 8 minutes.

ミ★яαнι★彡¤ℓσνє¤ ●๋•кιηg σƒ ωαソ●๋•

Posts: 745
Member Since: Nov 2008


View Profile WWW
«Reply #5 on: July 22, 2010, 07:37:16 AM »
GAJAB KA DARD HAI AAP KI IS NAZM ME KASAK JI SACH ME AAP NE KAMAL KI PESHKASH DI HAI


DIL SE DAD KABUL KARIYEEEEEEEEEE
 notworthy notworthy notworthy icon_salut icon_salut

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #6 on: July 22, 2010, 07:38:01 AM »
hum to bas flow me likh gaye... humein bhi nahi pata humne kya likha ... !!!

aapke sawalon ne dil me shor macha diya Klaskar ji.......


Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #7 on: July 22, 2010, 07:41:49 AM »
ab hum kya likhen iske jawab me.........shabd hi kho gaye jaise sare....
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #8 on: July 22, 2010, 07:42:33 AM »
shukriya rahi ji...jo aapne ye dard mehsus kiya...
Logged
Rahi2001
Maqbool Shayar
****

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
5 days, 19 hours and 8 minutes.

ミ★яαнι★彡¤ℓσνє¤ ●๋•кιηg σƒ ωαソ●๋•

Posts: 745
Member Since: Nov 2008


View Profile WWW
«Reply #9 on: July 22, 2010, 08:37:16 AM »
ek koshish jawab ki


Pal bhar ki khushi ke liye dil tod ke hansty hai
Bhar jata hai jab dil unka dusron pe barasty hai

Nahi hai koi bhi sani husn-e-shabab me uska
Jab milti hai nayi kiran wo andhera chhod jaty hai

Kya haq hai kisi ko har pal hamen yun aajmane ka
Kabhi rehty the sath mere aaj munh mod jaty hai

Kabhi basaya tha jahan hamne ek hasin sa sapna
Us jagah ko bejaar kar khwab wo tod jaty hai

Nahi milti hai Mohhabbat kabhi kisi ko yahan “Rahi”
Ye raah aisi hai jahan musafir wafa ko bhul jaty hai

Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #10 on: July 22, 2010, 09:38:04 AM »
bht hi pyara reply diya hai aapne rahi ji...
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #11 on: July 22, 2010, 11:10:18 AM »
Wah! Anamika Ji bahut umda lekh hai
Lagta hai aap ne bahut chot khai hai 
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #12 on: July 22, 2010, 01:37:19 PM »
aap kuch bhi likhiye wo apne aap khoobsurat ban jaati hai...!!!

ab hum kya likhen iske jawab me.........shabd hi kho gaye jaise sare....
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: July 22, 2010, 02:07:45 PM »
<>*Kyun mujhe har bar aajmaya*<>

Har lamha chaha jise usne hi bedardi se tukraya
Dil ke zakhmon ne pukara jise usne hi ek aur ghaaw lagaya

Har lamha simat ti rahi zindagi jiski aagosh me
Usne hi bejaaan samjhkar laash sa mujhko jalaya

Aankhon me talaashti rahi sapne jiski main
Usi ne mujhe andhe hone ka ehsaas dilaya

Kyun na samjh pai main iss dil ki chahat ka rang
Jis tasveer me bhi bhare usko kale rang me ranga paya

Mehfil sajai thi tere waste main apni panaah me
Tujhe usi mehfil se anjana awara tanha karke bhagaya

Har lamha tarasti rahi jiski bahon k sahare k liye
Wo samjha mujhe jab maine iss jahaan se apna pichha chudaya

Kabhi samne aaya mere to kahengi aankhen meri tasveer ki
Kya kami thi mere pyaar me kyun mujhe iss tarah har bar aajmaya…..

Dil ki Baaton ko Ab Ek Naya Andaaz De,
Jo Tera Saath De sake Sirf usse Hi Awaaz De...

Beeti Baatein,Beeti yadeein dard Zaroor Deti hai!!!
Ab Zindagi Ke Kuch Geeto Ko Ek Naya Saaz De....

Jab Talak thi pyaas Tab Tak Har Dariya Door Tha,
Ab Gham ka Parinde Ko qaid Naa Kar,Isse Parwaaz De....

Dil jab Dukhta Hai To Kalam Dard Ki Dastaan Likh Deti Hai!!!
Kuch Aisa Ho Ke Dard Mein Bhi Ek mithaas De...

"Khwaish" Zindagi ke kayi Raaz Iss Dil mein Qaid Hai!!!!!
Jiske Saath Sukh-Dukh baant sake,har ek ko Aisa Humraaz De....
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #14 on: July 22, 2010, 02:10:19 PM »
Acha likha hai kasak ji n nice reply by raahi ji,khwaish ji n kapil ji...
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 04:26:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer