<>*Kyun mujhe maaf karte nahin*<>

by *KasaK*....Dil Ki on July 29, 2010, 06:56:09 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1355 times)
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
<>*Kyun mujhe maaf karte nahin*<>

Aankhon se rimjhim baraste hain aansu
Roke se na jane ye kyun rukte nahin
Hum bezaar hoke khade hain sir jhukaye
Aap kyun baahon me humko lete nahin

Tapti dhhupp si zindagi ki raah hai meri
Kyun pyar ki thandi chhanw karte nahin
Main to padi hun kadmon me tumhare
Kyun aake  seene se apne lagate nahin

Bas ek nazar pyaar ki daal do mujhpe
Aapse aur kuch chahat main karti nahin
Apni har galti ki saza de dungi main khudko
Fir aap kyun mujhe maaf karte nahinn….!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kuch na kaho mujhe maaf karo by Delicate_Doll in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 ... 10 11 »
MUJHE MAAF KARNA by sweet suh in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Mujhe maaf karna by jannatjahan in Shayri-E-Dard
jaam-- mujhe maaf karna~~~ Saahil by salil2002 in Kaifiyaat-ae-maye « 1 2 3  All »
MUJHE MAAF KER by fakhar sheikh in Share:Poetry of Separation
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #1 on: July 29, 2010, 07:25:54 AM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

............ bahut dard hai aapke shabdon me... bahut gehra likhti hain aap.... bahut bahut umda likha hai aapne... sach hi hai shabdon ki to ap jaadugarni hain.... aapki ye kavita hamare dil ki gehraayion ko chhoo gayi... dard ka sajeev chitran kiya hai aapne apne shabdon me... mujhe taarif ke liye shabd nahi mil rahe hain... bahut sundar kavita hai...!!!

Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

aap hain ki apne ghum me bas aansoo bahaate hain,
aur hum aapke dard ke geeton pe taali bajaate hain....


Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #2 on: July 29, 2010, 07:31:16 AM »
shukriya klaskar ji....aapki tareef k liye aur ...feel samjhne k liye...

hum hamare gum par kabhi aansu nahin bahate
sajakar unko hothon par har pal hai gungunate

inn aansuon ko banakar apne chehre ki chamak
hum har mehfil me muskurake sabke dil pe hain chhate

yehi hamari hain taakat yehi hamara wajood hai
ye gum hi to mere kanha ki mujheme maujudgi hai...!!!
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #3 on: July 29, 2010, 07:42:28 AM »
dard ko apne kaanha ki chhaaya bataana,
aapka to ye hai bahut khoobsurat fasaana,

dard ko chhipaake mehfilon me muskuraana,
aapki is baat pe chaahe hum sar jhukaana...


 Hats off to you!
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #4 on: July 29, 2010, 08:00:48 AM »
shukriya ji shukriya....bas kijiye bar bar topi utarenge pehnenge to thak jayenge...hath dukhega to hamare replies type nahin kar payenge tongue3
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #5 on: July 29, 2010, 08:10:22 AM »
 Welcome Smiley
nahi hamaara hath nahi dukhega ... don't worry...!!! Usual Smile
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #6 on: July 30, 2010, 08:35:29 AM »
dard ko chupaker wo mehfil mein muskurate hai,
khamosiyon mein bhi unke lab badbadate hai,
mehfil ki chakachund mein chup jaate hai ashq,
tanhayon mein dard ka farman suna jaate hai.

kis se chupa raha hu aapne dil ka haal,
aaine bhi aksar ye sawaal keh jaate hai.
phir bhi mukhuta laga ke zinda hu muskurata hu,
aur.. her armaan ashqo se beh jaate hai...
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 01:25:58 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer