~Kyun Nahi Hai~

by khushi4pari on November 24, 2008, 09:16:30 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1288 times)
khushi4pari
Guest
            Kyun Nahi Hai...

Sab kuch hai phir bhi lagta hai jaise kuch bhi nahi hai
jiski kami thi wo mil gaya mohabbat ka ehsaas mil gaya
ab ye udaasi ka aalam jaata kyun nahi hai

Unki mohabbat ne di hai mujhe ek nayi zindagi
lekin unhe khone ka darr ab satane laga hai
ye darr dil se nikal jaye aisa koi zariya kyun nahi hai

ye darr ab jeene nahi deta iska ilaaj kuch nahi hai
ab lagta hai jaise jaaaan se guzar kar hi chen milega
unke bina zindagi se mujhe mohabbat kyun nahi hai

Dua karti hu din raat ke wo mere ho jaye
ho jaaye kabool meri ye dua...
aisi umeed to hai magar ye yakeen kyun nahi hai

is zindagi ki khuwaish hai srif unka sath
wo mil jaye to maut se darr hoga
unke bina  maut se darr mujhe kyun nahi hai......


                ~PaRi~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Pata nahi kyun... by Amit Janglan in Shayri for Khumar -e- Ishq
------------- KYUN AATA NAHI ----------------- by sshama in Shayri for Khumar -e- Ishq
kyun hum-tum nahi milte by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 6 7 »
KYUN TUM GHAR LOT KAR NAHI AATAY by SUMBUL QAISER in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Khushiyon Ki Zyada Mohallat Kyun Nahi,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
Pooja
Guest
«Reply #1 on: November 24, 2008, 09:24:11 PM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

wah Pari kaya baat hai.. bahoot khoob likha hai apne!!!
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #2 on: November 24, 2008, 09:27:01 PM »
Thx alotttttttttt dear  happy3
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #3 on: November 25, 2008, 08:07:32 AM »
khushi4pari ji! Shaayarah kaa dil khaasee gahraayi tak 'us' mein doobaa huaa mahsoos hotaa hai! Bhayi waah! 
Yaar hai roo-b-roo, to baag-baag hai yah dil!
Ab, bichhurhney ki baat sochnaa huaa mushkil!
Khizaan guzar rahi hai, gunchah-e-gulaab dikhey;
Bahaar sir pai hai, to, wo bhi kyoun na jaayen khil?

                           - abd bundeli
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #4 on: November 25, 2008, 10:00:30 AM »
Very Nice One..  Pari Ji..
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #5 on: November 25, 2008, 10:40:34 AM »
hmm to mohtarma behtreen shayra bhi hain,,,,bahoot khoob

Logged
Rajbir
Guest
«Reply #6 on: November 25, 2008, 11:31:45 AM »
Khushuuuu

Kya baat hai ! Bahut khoob Applause Applause Applause

@Sanjeev

Bhai mujhe bhi aaj he pata chala ki mohtarma behtareen shayara bhi hain Winking
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #7 on: November 25, 2008, 07:52:43 PM »
Lots of thxxxx to all of u happy3 well mujhe bhi nahi pata tha ke main kuch likh sakti hu tongue3 bas pehli baar koshish ki hai Usual Smile
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: November 26, 2008, 09:12:48 AM »
Bahota Achche Khushi Ji,.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 02:12:00 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer