Kyun Pyar.....!!!!!!

by anu_love91 on January 29, 2007, 12:34:35 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2316 times)
anu_love91
Guest
Kyun pyaar us par hi aata hai,
Jo mil kar bhi naa mil pata hai.
Kaise yeh usse batayein hum,
Tujh bin rah na paayein hum.

Kyun baar baar woh satata hai -
Kuwaabon main aakar rulata hai?
Bhulanaa us ko chahein hum,
Par kis tarah bhulaayein hum?

Woh mann main har dum rahta hai,
Dharkan ki tarah dharkta hai.
Hain issi ehsaas se zindaa hum,
Hain ek-duje ke dil o jaan hum

Ek duje ke dil main rahte hain -
Kya pyaar issi ko kahte hain?
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
TUJHSE PYAR KYUN KAROON by adesh_goyal in Shayri for Khumar -e- Ishq
BEWAFAI KA DAR THA TO PYAR KYUN KIYA by chetanmamtora in SMS , mobile & JOKES
Kyun is dil main pyar rahta hai by Pooja in Shairi - E - Zindagi « 1 2 3  All »
Is Dil Me Tere Pyar Ka Aarman Kyun Hai by Shayaries_King in Share:Love Poetry
Pyar Ke Badle Pyar Kyun Nahi Milta....VS by Versatile Shayar in Shayri-E-Dard
badnaam_shayar
Guest
«Reply #1 on: January 29, 2007, 04:24:28 PM »
Superb...One...!!!!
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #2 on: January 29, 2007, 04:32:04 PM »
SHukriya shyar ji ....!!!!!!!!!!!!!!!!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3 on: January 29, 2007, 06:32:22 PM »
bahut khoob anu ji..
Logged
Pushkar_singh
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
47 minutes.
Posts: 87
Member Since: Jan 2007


View Profile
«Reply #4 on: January 31, 2007, 04:12:34 AM »
great anu ji............bhaut badiya........!!!!!!!!!!!
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #5 on: January 31, 2007, 01:07:07 PM »
Shukriya Angel and Pushkar ji........!
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #6 on: December 02, 2008, 05:49:18 AM »
Kyun pyaar us par hi aata hai,
Jo mil kar bhi naa mil pata hai.
Kaise yeh usse batayein hum,
Tujh bin rah na paayein hum.

Kyun baar baar woh satata hai -
Kuwaabon main aakar rulata hai?
Bhulanaa us ko chahein hum,
Par kis tarah bhulaayein hum?

Woh mann main har dum rahta hai,
Dharkan ki tarah dharkta hai.
Hain issi ehsaas se zindaa hum,
Hain ek-duje ke dil o jaan hum

Ek duje ke dil main rahte hain -
Kya pyaar issi ko kahte hain?



wah, issey acchaa shayed koi bayaan kar nahi paata ANU
aap ki starting line hi itni dil koh chu gayi
wah, wah,
ek dujey key dil meh rehtey hai
kya pyar isi koh kehtey hai...

bahut hi khoob, bahut badiya




MIL JAYE ASAANI SEY , WOH PYAR NAHI REHTA
NA APNAO DARD KI KAHANI, WOH PYAR NAHI REHTA
PATEY KI BAAT KEH GAYA HU, JARA APNA LENA
MUKADDAR SEY MILA NA JOH, WOH PYAR NAHI REHTA


JASBIR SINGH
hira_company@yahoo.com


Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: December 02, 2008, 05:53:17 AM »
bahoot khoob anu... nice reply Jas ji
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #8 on: December 02, 2008, 06:40:39 AM »
Thanks Ji

Jasbir Singh
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: December 02, 2008, 09:37:20 AM »
Bohat Badhiya Anu Ji,.
And Nice One Jasbir JI,.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #10 on: December 02, 2008, 09:41:28 AM »
Nice one Anu Ji
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #11 on: December 02, 2008, 10:24:31 AM »
Thanks Jahanasheen

Jasbir Singh
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: December 02, 2008, 10:30:38 AM »
Thanks Jahanasheen

Jasbir Singh


U Are Welcome Bhai,.

Kyun Pyaar Us Se Hogaya Maaloom Nahi,.
Dil Pe Kahaan Apna Ikhtiyaar Hota Hai,.

Tanhaai Kya, Gham Kya, Dard Kya Maloom Na Tha,.
Jaan Jaata Hai Har Koi, Jab Kisi Se Pyaar Hota Hai,.

_____________________________-Jaanasheen
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #13 on: December 02, 2008, 10:43:43 AM »
U Are Welcome Bhai,.

Kyun Pyaar Us Se Hogaya Maaloom Nahi,.
Dil Pe Kahaan Apna Ikhtiyaar Hota Hai,.

Tanhaai Kya, Gham Kya, Dard Kya Maloom Na Tha,.
Jaan Jaata Hai Har Koi, Jab Kisi Se Pyaar Hota Hai,.

_____________________________-Jaanasheen


badiya badiya


PYAR KAB KAHA HO JAYE, KAHA PATA HOTA HAI
JOH DIL KOH LAGA ACCHA, PYAR USI KA HOTA HAI

NAZROH SEY NAZREY KAB TAKRAYE, KAHA PATA HOTA HAI
AAKHOH MEH KAB WOH BAS JAYE, KAHA PATA HOTA HAI

PEHLI NAZAR KA PYAR, KAHA PATA HOTA HAI
KAB NAZAR AAYE DILDAAR, KAHA PATA HOTA HAI

SAKOON KAB MIL JAYE, KAHA PATA HOTA HAI
DIL MEH KAB KOI BAS JAYE, KAHA PATA HOTA HAI

SAPNEY KAB RANGEEN BAN JAYE, KAHA PATA HOTA HAI
DIL MEH TASVIR KAB CHAP JAYE, KAHA PATA HOTA HAI

ACCHEY BUREY KA HOSH, KAHA PATA HOTA HAI
PYAR KAB CHAIN CHURAYE, KAHA PATA HOTA HAI

PYAR KAB KAHA HO JAYE, KAHA PATA HOTA HAI
JOH DIL KOH LAGA ACCHA, PYAR USI KA HOTA HAI


JASBIR SINGH
hira_company@yahoo.com


Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: December 02, 2008, 10:46:39 AM »

badiya badiya


PYAR KAB KAHA HO JAYE, KAHA PATA HOTA HAI
JOH DIL KOH LAGA ACCHA, PYAR USI KA HOTA HAI

NAZROH SEY NAZREY KAB TAKRAYE, KAHA PATA HOTA HAI
AAKHOH MEH KAB WOH BAS JAYE, KAHA PATA HOTA HAI

PEHLI NAZAR KA PYAR, KAHA PATA HOTA HAI
KAB NAZAR AAYE DILDAAR, KAHA PATA HOTA HAI

SAKOON KAB MIL JAYE, KAHA PATA HOTA HAI
DIL MEH KAB KOI BAS JAYE, KAHA PATA HOTA HAI

SAPNEY KAB RANGEEN BAN JAYE, KAHA PATA HOTA HAI
DIL MEH TASVIR KAB CHAP JAYE, KAHA PATA HOTA HAI

ACCHEY BUREY KA HOSH, KAHA PATA HOTA HAI
PYAR KAB CHAIN CHURAYE, KAHA PATA HOTA HAI

PYAR KAB KAHA HO JAYE, KAHA PATA HOTA HAI
JOH DIL KOH LAGA ACCHA, PYAR USI KA HOTA HAI


JASBIR SINGH
hira_company@yahoo.com



Shukriya Jasbir Bhai,.
Waise Aapne To Hume Kuch Kehne Ka Maukha Hi Nahi Diya,.
Bohat Badhiya Kalaam Hai,.
yunhi LIkhte rahiye,.
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:13:13 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer