lakeeren...!!!

by ranjana on September 03, 2006, 04:00:06 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2263 times)
ranjana
Guest
jinhe chahata hai yeh dil unka in haatho ki lakeero mein dedaar kyu nahi hota
jo basate hain hamare dil mein unhe hamse pyaar kyu nahi hota

dekha toh thaa unki nazaro mein bhi pyaar hamane
fir kyu kabhi kisi bhi mulaqaat ka un per asar nahi hota

khud ko kho kar bhi hum kahan paa sake un ko
unki tabiyat mein ranjish ka asar kam kyu nahi hota

hamne maana yeh ishq ek khubsuart dhokha hai
fir bhi is dil ko kyu unke nazare hamse fer lene ka asar kyu nahi hota

ek muddat se hum dube hain bas unki hi yaado mein
hamaari kisi bhi raha se unka gujar kyu nahi hota

kash ki unko bana sakate hum taqdeer apani
per jab se ruhte hain woh ab hame apne naseeb per bhi etebaar kyu nahi hota !!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
HATHON KI LAKEEREN by siddiqa in Shayri-E-Dard
tere hathon ki lakeeren!!! by Talat in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
=* KISMAT KI LAKEEREN *= by punam in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
~*~*~Lakeeren~*~*~ by pankshivam in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
LAKEEREN HAATHON KI by BANSI DHAMEJA in Share:Miscellaneous Shayari
phoenix
Guest
«Reply #1 on: September 03, 2006, 04:04:55 PM »
lakeeron mein basti agar dunia toh baat  hi kya thi
khushiyan milti itni aasani se toh baat kya thi
hum toh chale aaye hain baazar mein baichne khud ko
jo hoti sang lakeeren toh hamari aukaat kya thi
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #2 on: September 03, 2006, 04:05:21 PM »
Superb Ranju kuch lines toh dil ko choo gayi.....

Dasht-e-Sehra ke woh Veeran Safar......
Jinpar Talaash ki humne khushi aur bhatke Darbadar......

Choo lete jo tum uss WaQt Ehsaas-e-Dil hamare......
Phir na poochte kahan gaya woh mera Humsafar.......!!!!!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #3 on: September 03, 2006, 04:12:50 PM »
Quote
lakeeron mein basti agar dunia toh baat  hi kya thi
khushiyan milti itni aasani se toh baat kya thi
hum toh chale aaye hain baazar mein baichne khud ko
jo hoti sang lakeeren toh hamari aukaat kya thi



in lakeero mein kabhi hamne apna naseeb dekha thaa
unke saath saath apni zindagi ko rangeen dekha thaa
kar diya thaa dil ka soda hamne ek bharose per
kabhi teri aankho mein bhi hamne dosti ka nur dekha thaa!!
Logged
phoenix
Guest
«Reply #4 on: September 03, 2006, 04:20:56 PM »
Quote from: "ranjana"
Quote
lakeeron mein basti agar dunia toh baat  hi kya thi
khushiyan milti itni aasani se toh baat kya thi
hum toh chale aaye hain baazar mein baichne khud ko
jo hoti sang lakeeren toh hamari aukaat kya thi



in lakeero mein kabhi hamne apna naseeb dekha thaa
unke saath saath apni zindagi ko rangeen dekha thaa
kar diya thaa dil ka soda hamne ek bharose per
kabhi teri aankho mein bhi hamne dosti ka nur dekha thaa!!
shayad dil mein pyaar ki umeed kam thi
hunar kam tha ya mujhme mohaabat ki aag kam thi
aaj bhi dekhta hun in haatho ko badnaseebi se mein
inme kuch noor kam tha ya lakeeron ki pehchaan kam thi
Logged
ranjana
Guest
«Reply #5 on: September 03, 2006, 04:21:22 PM »
Quote from: "badnaam_shayar"
Superb Ranju kuch lines toh dil ko choo gayi.....

Dasht-e-Sehra ke woh Veeran Safar......
Jinpar Talaash ki humne khushi aur bhatke Darbadar......

Choo lete jo tum uss WaQt Ehsaas-e-Dil hamare......
Phir na poochte kahan gaya woh mera Humsafar.......!!!!!!!!!!!!


shukriya gaurav......very nice .......

ek muddat se unki yaado ke ghere mein hain hum
is duniya ki bheed mein ab bhi akele hain hum

ruka hai kab se ek hi raha per meri zindagi ka carvaan
in veraan si aankho se ab unko kyu pukaarate hain hum !!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #6 on: September 03, 2006, 04:30:03 PM »
Quote from: "ranjana"
Quote from: "badnaam_shayar"
Superb Ranju kuch lines toh dil ko choo gayi.....

Dasht-e-Sehra ke woh Veeran Safar......
Jinpar Talaash ki humne khushi aur bhatke Darbadar......

Choo lete jo tum uss WaQt Ehsaas-e-Dil hamare......
Phir na poochte kahan gaya woh mera Humsafar.......!!!!!!!!!!!!


shukriya gaurav......very nice .......

ek muddat se unki yaado ke ghere mein hain hum
is duniya ki bheed mein ab bhi akele hain hum

ruka hai kab se ek hi raha per meri zindagi ka carvaan
in veraan si aankho se ab unko kyu pukaarate hain hum !!



Yeh Lakeeren Kabhi Zindagi nahi badla karti......
Chahe laga lo Zor jitna par Badnaam Hasti asaani se nahi mitti......

Rukh badal de hawa itna Zor hum apni Mahobbat me rakhte hai.......
Chalak jo pyale mere Naam se toh Khuda ke bhi Takhat hilte hai......

Jaan hai jab talak mujhme......
Armaan Dafan ho nahi payenge.......

Chahe mitt jaye yeh Dunia.......
Par hum harr Raah saath tera nibhayenge.......

Laga le Kashti or Kinare mujhe bana de......
Nahi Lakeer haath me toh Dil me bana de.........!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #7 on: September 03, 2006, 04:33:03 PM »
Quote from: "phoenix"
Quote from: "ranjana"
Quote
lakeeron mein basti agar dunia toh baat  hi kya thi
khushiyan milti itni aasani se toh baat kya thi
hum toh chale aaye hain baazar mein baichne khud ko
jo hoti sang lakeeren toh hamari aukaat kya thi



in lakeero mein kabhi hamne apna naseeb dekha thaa
unke saath saath apni zindagi ko rangeen dekha thaa
kar diya thaa dil ka soda hamne ek bharose per
kabhi teri aankho mein bhi hamne dosti ka nur dekha thaa!!
shayad dil mein pyaar ki umeed kam thi
hunar kam tha ya mujhme mohaabat ki aag kam thi
aaj bhi dekhta hun in haatho ko badnaseebi se mein
inme kuch noor kam tha ya lakeeron ki pehchaan kam thi


ishq ajeeb hai per is se bachane ki surat bhi kya hai
dekhte hain hum apni zindagi ko yun rang badalte hue
kabhi mere dil ko aa ke tum samajhao
ki kabhi kabhi kyu ajab khel khel jaati hai yeh lakeeren!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #8 on: September 03, 2006, 04:49:20 PM »
bahut hi sunder gauarv ........

dil mein jo ban jaati hain lakeere
woh ta umar fir mitta nahi karti

kabhi kabhi dub jaati hai kishati bhi kinaaro per
kyu usko shail ki panhaa mila nahi karti

hamne maana thaa jinko apna naseeb zindgai ka
kyu inke haatho mein hamaare ishq ki lakeere likhi nahi hoti

kyu mil jaate hain woh  hi raahi hame raha mein
jinki raha kabhi hamari manzil hua  nahi karti !!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #9 on: September 03, 2006, 05:15:15 PM »
very  nice sharing  Ranajana,.......  Gaurav  Bhai.....  Phoenixxxxxxxxx.........  good going....

kya  bhala mujhe parakhne ka  nateeja nikla
jakham dil aap ki  nazar se gahra nikla
tishnagi jam gayee pather  ki tarah honthon per
doobkar bhi main tere  dariya se  pyasa nikla......
Logged
phoenix
Guest
«Reply #10 on: September 03, 2006, 05:27:17 PM »
Quote from: "waheed_rose2004"
very  nice sharing  Ranajana,.......  Gaurav  Bhai.....  Phoenixxxxxxxxx.........  good going....

kya  bhala mujhe parakhne ka  nateeja nikla
jakham dil aap ki  nazar se gahra nikla
tishnagi jam gayee pather  ki tarah honthon per
doobkar bhi main tere  dariya se  pyasa nikla......
bahut khoob waheed bhai
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #11 on: September 03, 2006, 09:00:53 PM »
Quote from: "badnaam_shayar"
Superb Ranju kuch lines toh dil ko choo gayi.....

Dasht-e-Sehra ke woh Veeran Safar......
Jinpar Talaash ki humne khushi aur bhatke Darbadar......

Choo lete jo tum uss WaQt Ehsaas-e-Dil hamare......
Phir na poochte kahan gaya woh mera Humsafar.......!!!!!!!!!!!!


cho khe nikle te hum teri ghali se
yaadoin ke sahare chal pare te kisi talash mein

guzarein hain hum usse ishq ki badnaam ghali se
dupatte mein sammath karh tujhe hum le aye apne saath mein :D:D
Logged
ranjana
Guest
«Reply #12 on: September 04, 2006, 05:36:51 AM »
Quote from: "waheed_rose2004"
very  nice sharing  Ranajana,.......  Gaurav  Bhai.....  Phoenixxxxxxxxx.........  good going....

kya  bhala mujhe parakhne ka  nateeja nikla
jakham dil aap ki  nazar se gahra nikla
tishnagi jam gayee pather  ki tarah honthon per
doobkar bhi main tere  dariya se  pyasa nikla......


shukriya waheed .....bahut khoob likha hai aapne....

bujh na saki meri payaas samander ke kinaare reh kar bhi
rait si is payaas mein trishna ke siva kuch bhi nahi
zindagi bhatak rahi hai yun hi sehera mein meri
yahan tanhaai ke siva koi saathi bhi nahi !!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #13 on: September 04, 2006, 06:32:43 AM »
Quote from: "waheed_rose2004"
very  nice sharing  Ranajana,.......  Gaurav  Bhai.....  Phoenixxxxxxxxx.........  good going....

kya  bhala mujhe parakhne ka  nateeja nikla
jakham dil aap ki  nazar se gahra nikla
tishnagi jam gayee pather  ki tarah honthon per
doobkar bhi main tere  dariya se  pyasa nikla......


kya baat hai!.... WAHEED BHAI.. bahut khoob likha hai aapne...
bahut khoob.......................

and u too good RANJANA, ANJANI JI................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #14 on: September 04, 2006, 05:59:20 PM »
bahut dur tak chala mere saath unki yaado ka silsila
fir kahi koi nishaan mujhe unka baaki na mila
mili mujhe zamaane bhar ki khushiya.n  yahan
magar pyaar sirf kyu mujhe tumhara na mila!!
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 05:54:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer