Lakhoon tofaan

by Nino on November 15, 2004, 08:11:19 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 2058 times)
Nino
Guest
Samander mein lakhoon toofan hai aye
meri zindagi mein kayi aandhere hai chaye
tumse roshani ki ek umeed ki thi maine
tumne to apne gham bhi humse hai chupaye

Na karte humse ye bagana pan to aaj ye haal na hota
tum rehti hamesha khush aur main tere gham mein roota
manzoor na tha kismat ko shayed mera ye khwaab
tabhi to neend se jagaya hai muhjko isne bewaqt
taki khwaab mein bhi tera mera kabhi milan na hota
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jine ho tofaan se tukrane ka hosla yaroon .....un ki koshish by muneeb in Shayri-E-Dard
Nino
Guest
«Reply #1 on: November 15, 2004, 08:18:40 PM »
Ager ho sake to na dena waast hume shayeri ka
aaj to hade wafaa hogayi hai phir sata raha hai gham kisi ka
tum jo chaho wo pila do aaj hume saki ki hosh na rahe bekhudi ka
aaj to sham bhi dhall chuki hai aab aur bhi mazza ayega mehkashi ka
Logged
Nedura!
Guest
«Reply #2 on: November 16, 2004, 06:53:34 AM »
wow nino very nice ones !
Logged
Nino
Guest
«Reply #3 on: November 16, 2004, 09:23:54 AM »
shukrai
Logged
Nino
Guest
«Reply #4 on: November 16, 2004, 09:28:01 AM »
Sawal

Bechainiya badne lagi to laga ki hume unse mohabat hai
yehi sooch kar chal pada us rah pe jiska naam ibaadet hai
Khudai mein nahi wo taqat jo mita sake meri mohabat
mager tumne dil is kader tooda ki aaj bhi yaad teri surat hai
Logged
Nino
Guest
«Reply #5 on: November 16, 2004, 09:33:12 AM »
Jawaab

Gumnaamiyoon mein khoo jaon mein wo surat nahi
tere deedar ko tarasoon main wo murat nahi
hume na do darja khuda ka ye meri kismat nahi
bewafaai ki main wo majboori thi meri warana
tere bina is jahan mein meri koi zaroorat nahi
Logged
Nino
Guest
«Reply #6 on: November 16, 2004, 03:05:35 PM »
Tum ager yuhin nazereen milate rahe
mehkashi mere daar se kahan jayegi
aur ye silsila mustakil ho to phir
bekhudi mere ghar se kahan jayegi

ek zamane ke baad aayi hai shamye gham
sham e gham mere ghar se kahan jayegi
meri kismat mein hai jo tumhari kami
wo kami mere ghar se kahan jayegi

shama ki aab muhje kuch zarorat nahi
naam ko bhi shabe gham mein zulamat nahi
mera har dagh ye dil kam nahi chand se
chandni mere ghar se kahan jayegi

tune jo gham diye wo khushi se liye
tuhjko dekha nahi phir bhi sajde kiye
itna mazboot hai jab yakida mera
bandagi mere ghar se kahan jayegi
Logged
Nino
Guest
«Reply #7 on: November 18, 2004, 09:14:34 AM »
Lamhoo ko tanhai mein guzar jane do
hume apni aankhoo mein sawer jane do
ashq ban ker na bahenge hum kabhi
hume in ankhoo ki nami mein bikhar jane do
Logged
Nino
Guest
«Reply #8 on: November 18, 2004, 09:17:15 AM »
Wade bhi kiya aur kasme bhi khayin
pyaar bhi kiya aur rasme bhi nibhai
ab shikwa tuhjhe kis baat hai sanam
tum ne to zinda reh ke ki bewaafai
humne maar ke bhi wafaa hai nibhai
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #9 on: November 19, 2004, 03:07:06 PM »
excellent   Nino.............
Logged
Nino
Guest
«Reply #10 on: November 19, 2004, 04:45:13 PM »
Waheed Shukria aap ki zara nawazi ka
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: November 19, 2004, 05:16:37 PM »
wah!!!! bahoot khoob!!!!
Logged
yasir_sensitive
Guest
«Reply #12 on: November 19, 2004, 05:19:16 PM »
good nino!!
Logged
yasir_sensitive
Guest
«Reply #13 on: November 19, 2004, 05:19:58 PM »
hazaro gam sahe na aaya ankh main ansoo
ham ehale zarf hai pite hai chalkaya nahi karte


ye duniya to wo hai jo hame maar hi dale
zinda hai ham to jine ka hunar rakhte hain

aayega kadam bosi ko chand bhi ek din
aap angushte inayi se ishara to kijye
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: November 19, 2004, 05:20:58 PM »
wah!!!! bahoot khoob!!!! YASIR JI!!!!
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:37:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer