phoenix
Guest
|
Chaha tha tera umr bhar sath nibhaunga Har ghadi har waqt tera sapna sajaunga
Par mujhe meri khamiyo.n ka ehsaas na tha Tujh par tha yakin par khud par aitbar na tha
Maine tumhara haath thamkar ek galti kar di thi Shayad ek thehre hue pani mein hulchul kar di thi
Shayad khata hui hai mujhse bahut badi Isliye ab na aaunga mein kabhi ab yaar ki gali
Janta hun tumhe bahut rulaya hai maine Par do pal k aanso agar jeeven tham le to kya bura hai
Hum chal to pade the is raah mein ek sath magar Sapno mein jeevan guzar nahi sakta
Tum to ji rahe the mere bina bhi akele hi Fir kyun mere jaane ka maatam maanate ho
Mein to hun ek dariya jo kabhi iss dagar kabhi uss dagar To fir kyun har dum tum gehrai me dubna chahte ho
Kaha tha maine ki ek sapna hi hun jo savere tut jaega Agar tum ne sapno mein jeena sikh liya to ab kya karta
Zindagi ki raahon mein mujh jaise bahut aaenge jaaenge Kuch jeena sikhaenge kuch marta chood jaenge
Magar jeena to wahi hai jo har dukh mein jiye Ek lamhe ki khushi k liye mar jaana insaniyat nahi
Aao chalo hum juda bhi ho kar dekh lete hain Agar hua naseeb mein to fir kahin mil jaenge
Magar umeed na rakhna zindagi se tum kuch bhi Wo jo raat ko dikhta hai wo sapna hi hoga
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #1 on: July 05, 2006, 05:41:03 PM » |
|
bahut khub Nitiesh ............
yahan koi bhi sach logo ko bardshat nahi hai yahan har dard ki jubaan saaf nahi hai
jis fizza mein pyaar na ho logo wahan per hame talash kar lena dosto
ab toh bas unki yaade hai mere pass ab kuch bhi nahi hai hamare darmiyaan dosto
ab kahi kuch nazar aata nahi hai mujhe har taraf ek dhuwa.n dhuwa.n sa hai dosto
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nikki
Guest
|
|
«Reply #2 on: July 05, 2006, 05:47:09 PM » |
|
amazing Phoenix n excellent reply Ranjana di....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
phoenix
Guest
|
|
«Reply #3 on: July 05, 2006, 05:57:32 PM » |
|
thnx nikki ji and nice reply ranjana ji
Aaj karwat si badli hai inn fizao ne Ek mayusi si chai hai hawao.n mein
Humne lakh jatan kar k dekh liye Par aadat pad gayi khelne ki ghaavo.n se
Maine bhi kuch dhoke diye hain zindagi mein Aur shayad yahi tha sila mere dil ki bewafai ka
Kyun mein kisi se shikayat karta apne zakhmon ki Aakhir dil bhi mera tha aur khanjar bhi mera tha
Aey dost gunaah to kar chuka hun mein teri mehfil mein Ab saza bhi ye dil haste haste she lega
Tu aaj mujhe meri maut se mila de ya rab Ya fir use zindagi jeena sikha de ya rab
Mera kya hai mein to ji lunga aaj bhi Jaise jiya hun ab tak
Bas marne se pehle ek guzarish karta hun tujhse Uski lakeeron se bewafo.n ka naam mita de ya rab
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #4 on: July 05, 2006, 06:10:45 PM » |
|
shukriya Nikki .and Nitiesh.........bahut khub ji.........
aaj itne logo ki bheed mein mera koi nahi meri aankho se jo puche aansu woh daman koi nahi
meri jholi mein sirf kaante hai pathar hai mere pass phoolo ka aangan koi nahi
har kisi ko dekha hai thokar lagate hue hamne jahan mile sakun hame asi jagaha koi nahi
saaja lete hai hamare dil na jaane khawab kya kya yahan per ujala daaman dilkhta koi nahi
kis kis ke dard ko samate ab apni aankho mein hum yahan har taraf jalta sawan hai sukh ka sawan koi nahi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Meena is back
Guest
|
|
«Reply #5 on: July 07, 2006, 09:31:43 AM » |
|
wow phoenix ji aur ranjana ji... keep it up dosto
:D
|
|
|
Logged
|
|
|
|
phoenix
Guest
|
|
«Reply #6 on: July 07, 2006, 07:42:07 PM » |
|
thanx meena ji
zindagi se tallukat kuch aise hue hain ki aaj dosti k matlab hazar hue hain
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #7 on: July 08, 2006, 03:19:52 AM » |
|
dosto ne hi aaj har baat per hamko rusva kiya hamari wafa ka inaam unhone hame aansu de kar diya
bad gayi hai duraiyan ab is qader se dosti mein jab bhi hua mehfil mein charcha hamaare naam ka kahi yeh kaun hai ?keh ke ek ajanabi pan se sabse puch liya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
Rau: 14
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.
Posts: 19903 Member Since: Feb 2006
|
|
«Reply #8 on: July 08, 2006, 07:48:07 AM » |
|
Bahoot Khoob Doston,..
Shayad Takdeer Ko Manzoor Na Tha Ke Main Uska Saath Nibhaaon,.. Is Liye Usne Mera Saath Na Diya,..
____________________-Jaanasheen-
|
|
|
Logged
|
|
|
|
phoenix
Guest
|
|
«Reply #9 on: July 10, 2006, 06:17:28 PM » |
|
bahut khoob azeem ji
haya k pardo.n k darmiyan ek yaar purana rehta hai din guzre hain kuch is tarah ki dard se yarana rehta hai
kabhi kush hote the hum dekh kar surat jinki aaj usi chehre me mujhko ek veerana lagta hai
lamha lamha dur hote gaye zindagi se kuch iss kadar ki jab dekhta hun aaena to ek insaan purana lagta hai
tu dosh na de meri barbadi ka khud ko jab leta hai tera naam koi to ab ye ilzaam purana lagta hai
har sham aati hai lekar wahi sawaal purane ab to inn sawaalo se mujhko saqibb maikhana lagta hai
zindagi aa gayi hai chand lamho mein ab toh bas thoda aur ji lun inhe fir ye jism to rukhsat karta hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #10 on: July 10, 2006, 06:34:00 PM » |
|
bahut khoob nitiesh ..........
agar apne apni mohabbat se hamko yun alag na kiya hota yakeenan zamaane ne hamko yun ruswa na kiya hota
hui thee jara si taqarar ki unse saath chhut gaya kaun kehta hai ab dono ko iska pachtaava nahi hota
log kahte hain mohabbat mein badnseeb hamko is liye mehfil mein hamaare naam ka charcha nahi hota
dur se hi dikhta hai chand ka salona rup sunder sa pass jaao toh mitti ke ehasas mein usko dekhna accha nahi hota
apne sapno ko mat paalo koi palko mein inko dil mein utar jaane do kinaare per rakhi cheege kab baahar nikal jaaye bhorsa nahi hota
|
|
|
Logged
|
|
|
|
phoenix
Guest
|
|
«Reply #11 on: July 10, 2006, 06:39:15 PM » |
|
gud one
nahi hai paachtava mujhe meri barbadi ka yahan par bas ilm hai zara sa ki abhi tak zinda hun
nahi tha mein bewafa par waqt ne magroor bana diya jo hota aaj ek insaan toh jeekar dikha deta
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #12 on: July 10, 2006, 06:53:03 PM » |
|
bahut khoob nitiesh ........
badal jab chhaa jaate hain aksar bin barse bhi uadd jaate hain woh inko sawan ki ghata ka naam na do kitna bhi gehra ho zakham waqt ke saath bhar jaata hai andhare mein lagi hai yeh thokar keh ke isko galati ka naam na do!!!!!!!!!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
phoenix
Guest
|
|
«Reply #13 on: July 10, 2006, 07:03:31 PM » |
|
nice reply
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #14 on: July 11, 2006, 04:16:43 AM » |
|
shukriya nitiesh ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|