Lately...... But I Have !*! Barsaat Ke Baadal - 2 !*!

by Just_Hate_Love on August 12, 2006, 06:05:04 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1507 times)
Just_Hate_Love
Guest
Aasmaan pe kaale baadal chhaye hue hai,
Paani ko apne seene se bahaye hue hai,

Kab zameen ki pyaas bujhegi kab wo barsega,
Is aas mein dharti apne gumo ko bhulaye hue hai,

Kab uthegi dariya mein phir se leher pata nahi,
Kaanto ka maaloom nahi par phool murjhaye hue hai,

Hawa bikher na de baadalo ko aasmaan se isliye,
Hawa ko hum in haathon mein dabaye hue hai,

Indra-dhanush bhi tayyar hai nikalne ko,
Apne jism pe rango ko wo lagaye hue hai,

Ro de aaj tu bhi aye baadal baha de un ashqo ko,
Jo tune meri aankhon se churaye hue hai,

Aayenge bujhane barsaat ke baadal meri aag ko 'Naazmi'
Paani barse is bahane hum apne aap ko jalaye hue hai ...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ek Tanha Baadal... by Amanush... in Shayri-E-Dard
baadal ki berookhi........................ by akela in Shairi - E - Zindagi
Ek Baadal Hoon Main... by Aryaan in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
***baadal*** by kaushikbhawna008 in Miscellaneous Shayri
Baadal hain aankh ke... by diya786 in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
ranjana
Guest
«Reply #1 on: August 13, 2006, 09:39:57 AM »
bahut khoob JHL ji ..........
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #2 on: August 13, 2006, 10:39:30 AM »
Quote from: "Just_Hate_Love"
Aasmaan pe kaale baadal chhaye hue hai,
Paani ko apne seene se bahaye hue hai,

Kab zameen ki pyaas bujhegi kab wo barsega,
Is aas mein dharti apne gumo ko bhulaye hue hai,

Kab uthegi dariya mein phir se leher pata nahi,
Kaanto ka maaloom nahi par phool murjhaye hue hai,

Hawa bikher na de baadalo ko aasmaan se isliye,
Hawa ko hum in haathon mein dabaye hue hai,

Indra-dhanush bhi tayyar hai nikalne ko,
Apne jism pe rango ko wo lagaye hue hai,

Ro de aaj tu bhi aye baadal baha de un ashqo ko,
Jo tune meri aankhon se churaye hue hai,

Aayenge bujhane barsaat ke baadal meri aag ko 'Naazmi'
Paani barse is bahane hum apne aap ko jalaye hue hai ...


Wah Mashalaaah JHL ji
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #3 on: August 20, 2006, 03:56:29 AM »
Very Nice JHL...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: August 20, 2006, 05:50:36 AM »
wah bahoot khoob JHL JI!!!
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #5 on: August 20, 2006, 03:08:58 PM »
Thanks a lot everyone here for appreciation ...
But its very strange that no-one has written any post here ...
Anyways ...

Pal hi aisa tha ki hum inkaar na kar paaye,
Zamane ke darr se ikraar na kar paaye,
Na thi jinke bina ye zindagi munasib,
Chhod diya saath unhone aur hum sawaal na kar paaye ...
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #6 on: August 20, 2006, 06:00:54 PM »
Quote from: "Just_Hate_Love"
Aasmaan pe kaale baadal chhaye hue hai,
Paani ko apne seene se bahaye hue hai,

Kab zameen ki pyaas bujhegi kab wo barsega,
Is aas mein dharti apne gumo ko bhulaye hue hai,

Kab uthegi dariya mein phir se leher pata nahi,
Kaanto ka maaloom nahi par phool murjhaye hue hai,

Hawa bikher na de baadalo ko aasmaan se isliye,
Hawa ko hum in haathon mein dabaye hue hai,

Indra-dhanush bhi tayyar hai nikalne ko,
Apne jism pe rango ko wo lagaye hue hai,

Ro de aaj tu bhi aye baadal baha de un ashqo ko,
Jo tune meri aankhon se churaye hue hai,

Aayenge bujhane barsaat ke baadal meri aag ko 'Naazmi'
Paani barse is bahane hum apne aap ko jalaye hue hai ...


bahot  khoob  JHL...............   wonderful
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #7 on: August 22, 2006, 05:46:01 PM »
Sukriya Waheedbhai for appreciation ...

Aapne kuchh nahi likha Huh?
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: August 23, 2006, 06:07:54 AM »
bahoot hi acha likhahai JHL JI!!

Bin sawal ke juda ho gaye
wo chal diye, hum ro gaye
wo khushi se kisi aor ke ho gaye
hum tanhaio ke sath ho gaye
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #9 on: August 26, 2006, 05:49:57 PM »
Uski judaai se zindagi jaise aanjaan ho gayi hai,
Mayusiyon se ghir ke hairaan ho gayi hai,
Mohabbat to kar li usne par wo nibha na saki,
Aaj uski bewafaai hi uski pehchaan ho gayi hai ...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: August 27, 2006, 07:06:32 AM »
wah kay abaat hai, last line bahoot hi achi likhi hai apne....

apni is pahhaan per hairaan hai wo
kahta hai ki nahi bewafa k anaam do
waqat ke sath khayal badal jaaya karte hai
insaan to kaya bhagwaan badal jaaya karte hai
Logged
nikki
Guest
«Reply #11 on: August 27, 2006, 01:08:40 PM »
very very nice JHL..bahut hi pyara likha hai aap sabne...keep writing friends..
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #12 on: August 28, 2006, 04:59:32 PM »
Thanks a lot Pooja and Nikki for appreciation ...
Good one Pooja ...
Keep it up ...
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #13 on: August 28, 2006, 05:02:29 PM »
Mohabbat ne har kisiko yaha badla hai,
Insaan aur khuda kya mohabbat sab karte hai,
Dil toot jaata hai jab wo bewafa nikalta hai,
Par use phir paane ke liye naye naye kartab karte hai ...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: September 01, 2006, 07:57:25 AM »
SAHI KAHA JHL JI...

mana uske dil mai koi armaan nahi
magar is dil ko kahin karaar nahi
her pal paane ka khayal karta hai
din-raat na jaane kaya jaal bunta hai

shayad kisi roj usko bhi khayal aa jaaye
na jaane kab kon sa jaal kaam aa jaaye
phir dil kahta hai, payaar jabardasi karwaya nahi jaata
kisi bhi jaal se behka kar, sucha payaar paya nahi jaata
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:28:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.093 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer