*****LUTERA*****

by baadal102 on August 09, 2008, 07:42:42 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2015 times)
baadal102
Guest
mujhe ye samaj nahi aaya ki ye
post main kanha post karu,
issiliye main isse yanha post
ker raha hu,agar iss post ki jageh
kanhi or hai to plz isse moove
ker dena.
thanx a lot
Baadal


umeed hai ye aap ko pasand aayege


Jise dekho wahi ruh se tuta hua hai,
Kanhi dil se to kanhi doulat se loota hua hai,

Koi haar ke dil apna khoya hua hai,
To kisi ne apni ashmat ko lutaya hai,

Lootne wale bhi na jaane kaise kaise hote hai,
Kabhi wado se to kabhi pyar se loota hai,

Kisi ko insaan ki surat ne loota hai,
To kisi ko meethae sabdo ne loota hai,

Iss berahem dunia main har koi lootera hai,
Kisi na kisi roop main wo humse juda hai,

Aaj kisi bhi riste ka yakeen nahi hai,
Har koi jaise sirf lootne ko tayaar hai,

Dunia se BAADAL ki ye dil se iltaza hai,
Na looto or na khelo kisi ke jajbaat se,

KHUDA ne mehnat se humme insaan banaya hai,
Hume sab ko pyar deke sirf pyar paana hai,

Hume sab ko pyar deke sirf pyar paana hai......




Baadal
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
* Lutera Gaon Ka Mukya* by Roja in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
Jisko dekho....... wahi lutera hai by Syed Mohd Mahzar in Ghazals
Raahber hi rahzan hai...Humsafar lutera hai by Syed Mohd Mahzar in Miscellaneous Shayri
k.shael
Guest
«Reply #1 on: August 09, 2008, 08:21:52 AM »
 Applause  Applause
EXCELLENT WORK BAADAL JI,
KEEP GOING....
BY. K.SHAEL
Logged
natural
Guest
«Reply #2 on: August 09, 2008, 08:34:11 AM »
Nice Thoughts Badal.. Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3 on: August 11, 2008, 04:23:37 PM »
Bahut hi khoobsurat alag andaz likhneka...
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #4 on: August 12, 2008, 04:49:06 AM »
mujhe ye samaj nahi aaya ki ye
post main kanha post karu,
issiliye main isse yanha post
ker raha hu,agar iss post ki jageh
kanhi or hai to plz isse moove
ker dena.
thanx a lot
Baadal

umeed hai ye aap ko pasand aayege

Jise dekho wahi ruh se tuta hua hai,
Kanhi dil se to kanhi doulat se loota hua hai,

Koi haar ke dil apna khoya hua hai,
To kisi ne apni ashmat ko lutaya hai,

Lootne wale bhi na jaane kaise kaise hote hai,
Kabhi wado se to kabhi pyar se loota hai,

Kisi ko insaan ki surat ne loota hai,
To kisi ko meethae sabdo ne loota hai,

Iss berahem dunia main har koi lootera hai,
Kisi na kisi roop main wo humse juda hai,

Aaj kisi bhi riste ka yakeen nahi hai,
Har koi jaise sirf lootne ko tayaar hai,

Dunia se BAADAL ki ye dil se iltaza hai,
Na looto or na khelo kisi ke jajbaat se,

Baadal
Ji Baadal...
Dost aapka Kalaam Web Page Pe Display ho gaya aur sub ne dekh liya aur bilkool sahih jagaah post kiya hai janaab aub is ko Move Karne Ki Jaroorat Nahin. ( is liye to move nahi hua hai abhi tak )
Dost aapne oonwaan va Mauzu bar karar rakha hai har sher me " Lootera "
Jo Misaale di Hai wo bhi bahot khoob hai..

 
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #5 on: August 12, 2008, 06:12:47 AM »
bohut khoob baadal ji
bohut hi achi soch lekar aapne ye kavita likhi hai
good job............


har shaqs wafaadar nahi
har shaqs gunehgaar bhi nahi
kis par karein ham yakeen yaaron
koi ab apna raazdaar nahi
marham lagane wale jab
ban jaate hain kaatil
tab rehta is dil mei kisi k liye
zara bhi pyaar nahi
sach kaha hai baadal tumne
har koi ban raha yahan ab lutera hai
koi lute sapno k shishmahal ko
to koi dilon ka lutera hai
khatm jaise ho gaya hai
rishta yahan jazbaaton se
na jaane kaise saare apne
ban gaye hain ab begaane se
ban gaye hain ab begaane se........
ban gaye hain ab begaane se
..........
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #6 on: August 12, 2008, 06:18:53 AM »
Bohat khoob Baadal ji aapne bohat hi gehera likha hai aapne Applause

Khoob likha hai aapne kaushikbhawna ... Applause
Logged
baadal102
Guest
«Reply #7 on: August 13, 2008, 07:59:37 AM »
thanx a loy

SHAEL JI
N
NATURAL JI
N
ANGEL JI
N
MUHAMMAD JI
N
BHAWANA JI
N
HONEY JI

thanx a lot


Baadal
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 04:07:47 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer