LUTF MILTA HAI...........................TANHA(SAURABH)

by Tanha(Saurabh) on October 15, 2008, 07:33:22 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2434 times)
Tanha(Saurabh)
Guest
LUTF MILTA HAI ISHQ KA ZARA ZARA,
KHUSHI HAASIL YE EKDUM NAHI HOTI.

LAGTA HAI DIL WO SAATH LE GAYA,
SEENE MEIN AB DHADKAN NAHI HOTI.

YE RAUNAK HAI BAS PAL BHAR KE LIYE,
SHAMA JO JALE HARDUM, NAHI HOTI.

SOORAT PE NAKAAB HOTA HAI MAGAR,
SEERAT PE KOI CHILMAN NAHI HOTI.

APNI APNI KASHTI KI BAAT HAI YE TO,
TUFAAN KI GAAZ KISI PE KAM NAHI HOTI.

KAM HO GAYI HAI UMMEED AANKHON KI,
UMRA MERE SAPNO KAM NAHI HOTI.

APNI IBAADAT KI BAAT HOTI HAI WARNA,
DUA JO KHUDA TAK NA PANHUCHE, NAHI HOTI.

APNA DIL TO BANJAR HO GAYA,
ZAMI AB ISKI BHI NAM NAHI HOTI.

HUME HAI PYAAR KI CHAHAT USSE,
JISKI NAFARAT KABHI KAM NAHI HOTI.

TANHA’ YAADON KA SAATH CHHOD DO,
RAAT AANKHO MEIN AB KAM NAHI HOTI.

-----TANHA(SAURABH)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
AAJ EK AUR DAFA.........................TANHA(SAURABH) by Tanha(Saurabh) in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
KAISE PAAYE KOI...........................TANHA(SAURABH) by Tanha(Saurabh) in Shayri-E-Dard
FIR GUZRE KHUCHH LAMHON...............TANHA(SAURABH) by Tanha(Saurabh) in Shayri-E-Dard
KUCHH TO KHEL KHELE............TANHA(SAURABH) by Tanha(Saurabh) in Shayri-E-Dard
DHOONDHTE HAIN WO.............TANHA(SAURABH) by Tanha(Saurabh) in Shayri-E-Dard
Talat
Guest
«Reply #1 on: October 15, 2008, 07:38:19 AM »

SOORAT PE NAKAAB HOTA HAI MAGAR,
SEERAT PE KOI CHILMAN NAHI HOTI.

TANHA’ YAADON KA SAATH CHHOD DO,
RAAT AANKHO MEIN AB KAM NAHI HOTI.

-----TANHA(SAURABH)


 Applause Applause Applause bohot khoob Saurabh
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #2 on: October 15, 2008, 07:41:47 AM »
LUTF MILTA HAI ISHQ KA ZARA ZARA,
KHUSHI HAASIL YE EKDUM NAHI HOTI.

LAGTA HAI DIL WO SAATH LE GAYA,
SEENE MEIN AB DHADKAN NAHI HOTI.

YE RAUNAK HAI BAS PAL BHAR KE LIYE,
SHAMA JO JALE HARDUM, NAHI HOTI.

SOORAT PE NAKAAB HOTA HAI MAGAR,
SEERAT PE KOI CHILMAN NAHI HOTI.

APNI APNI KASHTI KI BAAT HAI YE TO,
TUFAAN KI GAAZ KISI PE KAM NAHI HOTI.

KAM HO GAYI HAI UMMEED AANKHON KI,
UMRA MERE SAPNO KAM NAHI HOTI.

APNI IBAADAT KI BAAT HOTI HAI WARNA,
DUA JO KHUDA TAK NA PANHUCHE, NAHI HOTI.

APNA DIL TO BANJAR HO GAYA,
ZAMI AB ISKI BHI NAM NAHI HOTI.

HUME HAI PYAAR KI CHAHAT USSE,
JISKI NAFARAT KABHI KAM NAHI HOTI.

TANHA’ YAADON KA SAATH CHHOD DO,
RAAT AANKHO MEIN AB KAM NAHI HOTI.

-----TANHA(SAURABH)



 Clapping Smiley Clapping Smiley

Saurabh ji ek ek lafz dil ko chou jaati hai
kamaal ka likha hai aapne great lines.... Thumbs UP
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #3 on: October 15, 2008, 07:43:27 AM »
bohat bohat shukriya Celmira ji and Honey ji.. aap logo ne ise saraha.
 notworthy notworthy notworthy
Logged
k.shael
Guest
«Reply #4 on: October 15, 2008, 07:48:48 AM »
 Applause  Applause
BAHUT KHOOB HAMESHA KI TARAH UMDA
TANHA JI...
BY. K.SHAEL
 
MILNE LAGA HAI AAB TO LUTF GAMO KA,
KEH DENA UNSE JAAKAR WAPIS LOUT AANE
KI ZAROORAT NAHI...

YE CHAND YE SITARE KHOOB DETE HAI SAATH
MERA, UNHE SAHARA DENE KA TAQALUFF KARNE
KI ZAROORAT NAHI,

KUCH U RUKE HAI HAM BEECH RAAH ME "TANHA"
KI AAB AAGE BHADNE YA PICHE MUDNE KI JURRAT
NAHI...
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #5 on: October 15, 2008, 07:53:05 AM »
bohat bohat shukriya shael ji.....
 notworthy notworthy
Applause  Applause
BAHUT KHOOB HAMESHA KI TARAH UMDA
TANHA JI...
BY. K.SHAEL
 
MILNE LAGA HAI AAB TO LUTF GAMO KA,
KEH DENA UNSE JAAKAR WAPIS LOUT AANE
KI ZAROORAT NAHI...

YE CHAND YE SITARE KHOOB DETE HAI SAATH
MERA, UNHE SAHARA DENE KA TAQALUFF KARNE
KI ZAROORAT NAHI,

KUCH U RUKE HAI HAM BEECH RAAH ME "TANHA"
KI AAB AAGE BHADNE YA PICHE MUDNE KI JURRAT
NAHI...

bohat bohat khoobsoorat likha aapne........... Applause Applause Applause
Logged
k.shael
Guest
«Reply #6 on: October 15, 2008, 07:57:25 AM »
 notworthy  notworthy
SHUKRIYA TANHA JI,
BY. K.SHAEL
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #7 on: October 15, 2008, 09:08:16 AM »
TUMHE PAKER HAME ZAMANA HO GAYA
KAM DIL SE MAGAR TERI HASRAT NAHI HOTI

                          -SG-

AS ALWAYS BEAUTIFUL KALAM BY YOU TANHA
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #8 on: October 15, 2008, 02:08:31 PM »
BOHAT BOHAT DHANYAWAAD SAJID JI notworthy notworthy


"KHUSHI KE AANSUON SE AANKHEIN NAM NAHI HOTI,
 GAR YAARON KA SAATH NA HO TO ZINDAGI KAM NAHI HOTI" -TANHA


 notworthy notworthy
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #9 on: October 15, 2008, 05:32:37 PM »
atyant sundar rachna hein aapki. hur-ek sher- apne mein ek kahaani!waah...
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #10 on: October 15, 2008, 05:36:42 PM »
bahut bahut dhanyawaad Prateek ji aapne padha aur apne vichaar vyakt kiye.
 notworthy notworthy
Logged
mazas
Guest
«Reply #11 on: October 15, 2008, 10:46:55 PM »
THIS IS REALLY GUD
PYAR KA DARD WAQI MEIN NAHI JAATA WO PYAR BHALE LAUT KE AJAYE PAR YE DARD NAHI JAATA...
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #12 on: October 16, 2008, 06:14:37 AM »
nice creation saurabh ji  Applause Applause
Logged
Taasir siddiqui
Guest
«Reply #13 on: October 16, 2008, 06:54:18 AM »
bohot achha likha hai aapne "seerat par koi chilman nahin hoti" agar che aapne har jaga 'an' khafiya istemal kiya hota yeh ek classical ghazal hoti.
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #14 on: October 16, 2008, 08:00:16 AM »
bohat bohat shukriya mazas ji, bhawna ji, Taasir ji aur jinhone is padha aap sab
logon ka .
 notworthy notworthy notworthy
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 06:54:01 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer