Un aankhoN meiN mae ka nashaa payaa
maekashi meiN behakane ka mazaa payaa
Un ke aane se ahsaas-e-zist laut aaya
Faza-e-dil ka rang-o-roop bhi sazaa payaa
Tassavur meiN didar-e-yaar kiya jab jab
Dil ki har teh meiN unka hi aks banaa payaa
Vo Nazar jab bhi uthi paimana ban kar
Maeqade meiN hi jannat ka pataa payaa
'HumTum' nashe meiN har ghum bhula baithe
Hosh aayee tou har ghum phir naya payaa
AankhoN meiN siva khaaboN ke kuch bhi nahi hai
phir bhi na jaane kyoN is fareb se dil laga paaya
aankhoN mei khwaab ho phir aur kya chahiye
dil lagane ko bhi humne bus khwaab sa paaya
Ye dhaage khaabon ke aankh khulte hi toot gaye
toote hue khaboN mein meiN sach na dabaa paaya
Zindagi khwaab hai suhana ya hai bharam koi
isii kashmkash mein kaarwaaN-e-zist badhta paaya
kaarwaaN zindgi ka badhata rahega hanso ya rovo
zindgi mei na kuchh khoya hai aur na kuchh payaa
umr ke saath saath badhta gaya kaarwaan-e-zist
jab ruka kahiN tou daaman ghumon se hi bhara paaya
kaarwaan-e-zist chalta hi rehta toh accha tha
ruk gayi agar nadiya toh paani ko sada paaya
saansoN ki rawaangi se hi qaayam hai zindagi
ruk gayeeN dhadkane tou zindagi ko ruka paaya
dhadkane to kai baar ruki jub jub bhi tumhe dekha
zindgi ne shayed teri saansoN mei mukaam paaya
khaaN hai muqaam-e-zindagi hai kis ko pata
humne tou ye safar kabhi bhadta kabhi ruka paaya
zindgi ke is safar mei koi ho jo haath thaame “HumTum”
kanto se bhari raah ko phir phooloN sa hunsi paaya
khwaashon ne zindagi meiN kya kya na rang dikhaye
jisko bhi dil ne chaha use dushman hi apna paaya
chahat jub kabhi bhi janjeer ban jaaye
dosti ko tub hii dushmani bante paaya
khwaaishen nahi toh zindgi bhi nahi hai
khwaaishon se humne zindgi ko sanwarte paaya
khwaaishen hai jaise daali pe khilte phool
murjha gaye hai phir bhi khushboo lutate paaya
khwaahiseiN haiN jaise jail ki salakheIn
qaid se jin ki kabhi koi na riha paaya
khwaahisein agar sahi ho to jail bhi jail kahan
galat khwaahisein se ghur ko bhi jail paaya
jin ki kahtir chod di humney duniya tamaam
kal unko humney kissi aur ki bahoon mein paaya
be-inthaa chaha jisey, samjha jisey dilbhar apna
ussi kafir ke hathoon peeth pe kangar khaya
gazal hai, nazam hai, ja kuch is se bhi behter “HumTum”
hamne har kalam terii aakho.n mei.n likha paya
HumTum
bahut acha likha hai humtum ji ..... ik ik shabd bahut acha hai