Mai jaanta hoon meri hamnakhas...............!!!

by nirbhay on December 22, 2005, 06:39:03 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 11
Print
Author  (Read 9082 times)
nirbhay
Guest
Armano ki kabar ko kuredtey kuredtey mere dil mein ek farmann aata hai
Gar zindagi teri zulfon ke narm choun mein gujar jaati, to muhabaat meri ho sakti thi

Ye rang jo gum ki shayhi meri kalam par chai hai, ye muhabaat mein tabdeel ho sakti thi
Aapni muhabaat ki taswir jo dhundhlai hai, teri nazron ki shuaon mein kho bhi sakti hi

Magar mai kamyaab ho na saka, tere sath ho kar muhabaat mein kho na saka
Magar esa kuch ho na saka aaur abb ye aalam hai ke………………
Tu nahi, tera gum nahi, tere yaadein aaur teri zuftzu bhi nahi
Basar kar loonga zindagi kahin……. aab kisi ke sahare ki aarzu bhi nahi

Na koi raah muhabaat ki na manzil ki tamana , jeeta hoon kiuki hai ek roshni ka suraag kahi
Na bhatakunga aab ke aab bhatakne se ye roshni ka suraag bhi bhatak jayega kahi

Ke mai jaanta hoon meri hamnakhas, mujhemein muhabaat ke roshni nahi base.gi kahi
Par yun hi armano ki kabar ko kuredtey kuretey mere dil mein ek farmann aata hai…!!!


Nirbhay..............!!!!
Logged
Sonu
Guest
«Reply #1 on: December 22, 2005, 06:58:30 AM »
bahoot khub nirbhay ji...

Mere muh par kafan na dalo
mujhe aadat hai muskurane ki
meri laash ko na dafnana
mujhe umeed hai unke aane ki.
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #2 on: December 22, 2005, 07:01:21 AM »
jabardast neer.................its really fantastic.............very well man..................na jaane kyun aisa lag raha ki ye tadap pehle bhi kahin dekhi hai maine.............shayad kahin sahi maine bhi................very gud............. tongue3
Logged
Sonu
Guest
«Reply #3 on: December 22, 2005, 07:07:03 AM »
Gum hi gum hain duniya mein,
kushi humko raas nahin,
yeh dil jinpe marta hai,
unke milne ki aas nahin.
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #4 on: December 22, 2005, 07:14:15 AM »
Janaza nikle jo mera,
Toh gali gali use ghuma dena,
jab ghar aaye mere yaar  ka saamne,
toh mere chehre se kafan uthaa dena.................. :cry:
Logged
Sonu
Guest
«Reply #5 on: December 22, 2005, 07:30:28 AM »
bahoot khoob badnam shyar ji...

DhuaaN bana ke fiza mein uda diya mujhko
main jal raha thha kisi ne bujha diya mujhko
main ek jarra bulandi ko chhune nikala thha
hawa ne thham kar jami per gira diya mujhko
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #6 on: December 22, 2005, 08:02:39 AM »
hmmmmmm    wonderfull  Nirbhay..........keep  it  up  dost.........  very  touching......  too  good  reply  Sonu...Badnam shayar..  bahot accha  laga aap dono ki sher padhkar......

fiza mein uda diya dhuan banake usne soncha bhi nahi
main ro raha tha  usne  ek  baar  poocha bhi nahi
udaas ho  gayee dekh  kar aasman mujhko
kaisa yeh shaks hai dariya mein doobkar bhi bujhta nahi.......
Logged
Sonu
Guest
«Reply #7 on: December 22, 2005, 08:13:37 AM »
thanz waheed (m) nice muna waheed,

Aansoon ko aankhon ki dehleez par laya na karo
Apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo
Log muthi bhar namak liye ghooma karte hain
Apne Zakham kisi ko dikhaaya na karo
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #8 on: December 22, 2005, 09:55:42 AM »
bahut ache nirchay, sonu n all

mere marne ke baad ehsaas hoga tumhe
ki ye dunya itni haseen nahi
dosti, chahat, kadam kadam per mile chahe
lekin muhabbat are sehan-e-naseeb nahi
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #9 on: December 22, 2005, 11:47:23 AM »
wah wah bahut accha likha samnoj ji bahut badia......................

Roz subha khud say aik waada kartay hain
Tujhay iss dil say bhulanay ka irada kartay hain
Apni he baat say mukkarr jatay hain maloom nahi kyoun
Bheegti ankhon ko khuwab tornay keliye amaadah kartay hain ............
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #10 on: December 22, 2005, 02:09:46 PM »
Aap sabhie doston ka mai Tah-e-dil se shukra guzar hoon.................ki aaap logon ko meri khata pasand hui........................!!!

Nirbhay.................!!!
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #11 on: December 22, 2005, 02:12:17 PM »
Quote from: "Sonu"
Gum hi gum hain duniya mein,
kushi humko raas nahin,
yeh dil jinpe marta hai,
unke milne ki aas nahin.



Hum hi hum akele hai wadiyon mein
Tere loutaane ki aas nahi
Aab to doob chuka hoon barbadiyon mein
Mujhe Jeene ki pyaas nahi

Nirbhay...............!!!
Logged
pyarikudi1983
Guest
«Reply #12 on: December 22, 2005, 02:13:22 PM »
Wah! sad5
Logged
roshni246
Guest
«Reply #13 on: December 22, 2005, 02:15:25 PM »
tari muskhurahat ne hume dard sehna sikha diya.....
marti hui ruh ko jina sikha diya........
ek pal ka saath  bohot tha tumhara hamare liye.....
in chand lamhon ne hume zindagi bhar ansoun peena sikha diya...
ab chod bhi jao to koi ghum na hoga....
tumare is pyar ki chaoun ne hume tumare bigair jina sikha diya.......


wow guys yaar ap log itne ache sher kaise likh letein hai.......
nirbhay .badnam shayar, samnoj...sonu ji and waheed .....gr8........
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #14 on: December 22, 2005, 02:21:26 PM »
Quote from: "roshni246"
tari muskhurahat ne hume dard sehna sikha diya.....
marti hui ruh ko jina sikha diya........
ek pal ka saath  bohot tha tumhara hamare liye.....
in chand lamhon ne hume zindagi bhar ansoun peena sikha diya...
ab chod bhi jao to koi ghum na hoga....
tumare is pyar ki chaoun ne hume tumare bigair jina sikha diya.......


wow guys yaar ap log itne ache sher kaise likh letein hai.......
nirbhay .badnam shayar, samnoj...sonu ji and waheed .....gr8........


Roshni tumhara sirf naam hi roshni nahi...............aaur tumhein bhi nahi paata ke ye tumne mujhse bhi kitna aacha likh diya.............thats really awesome...hats off..........!!
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 11
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:44:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.089 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer