Mai jaanta hoon meri hamnakhas...............!!!

by nirbhay on December 22, 2005, 06:39:03 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 11
Print
Author  (Read 9094 times)
nirbhay
Guest
«Reply #30 on: December 24, 2005, 04:38:54 AM »
Quote from: "roshni246"
NAJANE kounsa jhonka tuje itna bekha gaya...
yeh kaise mohabbat thi....
keh bas tinka bhar aiethbar rehgaya....
dil ki galiyon mein jo phool khilte hain
unse mehek nahi sirf kahnte hi chupte hain....
jane se pehle muh mud kar to dekh lete ek baar ...
mujhe meri mohabbat pe marta chod gaye...
ek bar apna mukhra to dikha dete
pyar kiya tha uska ek sila to det jate
zindagi keh kar mujhe.....
mujhse meri zindagi le gaye......


Teri Roshni teri khizaein ye jeene ki aadaein
Ye phool ye kantein hamein to bass ek janaza sa rizjhaein

Hum to Jeene aaye the zindagi tere sath e meri Humkalam.....
Tu jo na jeena chahe to kiiu hum tujhse takaza rizjhaein

Ehsaas to tujhko bhi hai meri humnakhs meri humkalam
Ke ye dil to aakhir tera bhi dil hi hai.................
Na pukarna hamein fhir tu iss daga-e-muhabaat ki darindgi se
Teri shok gujarish pe, moula mujhe na tere hawale chod jayein!!

Nirbhay..................!!!!
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #31 on: December 24, 2005, 04:45:13 AM »
Quote from: "Sonu"
bahut khoob neer... very nice

teyrey beygar koi bhi arju nahi,
koi bhi khushi nahi jub tu nahi to jindgi bhi jindgi nahi,
ratey hai doordoor tak tanhaayeo bhari ahkhu mey koi khab nahi neend bhi nahi,
sejda keya tha pathro ko yea khaber na thi,
pather to pather hai pegaltey vo kabhi nahi,
duniya key dardeygum ki deva dhundney valo yea laaeelaj dardeydil hai dillagi nahi,
beyentha ahnsoo hai jindgi mey meyri cahro traf sirf andeyra hia kahye roshni nahi,
 teyrey beygar ajkal yea haal hai dariya hai, samendar hia, heva hai, roshni hai mager jeney ki chaa nahi.


Ye Khata bahot bahot Aachi laagi....................bahot khoob!

Ek baar fhir se aap sabhie doston ka shukriya aada karna chahunga ke aap logon ne meri koshish ko saraha aaur aapni kalam ka ehsaas mere sath banta...................Shukriya[/i]

Ehsaan Mand .................... Nirbhay.....................!!!
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #32 on: December 24, 2005, 08:18:31 AM »
Teri Chah nahi aaur manzilon ko ye dil aaab rukhsar hua jaata hai
Nahi hota hai abb ye aalam mulayam jabb suraj dhalta jaata hai

Lamha har ek Deda-e-lahoo bahata hai, Muqaadar par to kabhie
Faati kafan ki Chadar par, aab to zakhm bhi lahoo bahata hai

Aab to humkalam bhi nahi aatey, dard-e-shyahi aaur gum bantne kabhie
Par buland hai ye rang gum ke shyahi ka, jo dard ko farz ki tarah nibhata hai

Kaash ke main teri khusboo hota, Reh gaya banke tera saaya kaash ke na hota
Kaash ke mai tera saaya na hota................
To ye tera Hijer meri khusboo na hota aaur mai teri khusboo banke tujhmein kahi kho gaaya hota!!!

Nirbhay.............!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #33 on: December 24, 2005, 10:37:06 AM »
dil ke darya main uthar ke dekho...
mohabbat mujhse kare ke to dekho...

phir tumhe meri talab ho shayad...
khabi humse bichar ke to dekho...

ishq ka sagar hai gehra kitna...
dhoob ke ek bar ubhar ke bhi dekho...

duniya phir lagegi dilkhash...
ise tum meri nazar se to dekho...

merae ghum ko mehsoon karna ho
to meri rahoon se guzar ke dekho...

kya asar hota hai judai ka ?
khabhi mujhse dur ja kar to dekho...

pyar mein jo dard hai sajan ke chale jane ke baad...
dekhna ho to mohabbat mein kisi ki khusboo mein samah kar dekho...
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #34 on: December 24, 2005, 11:01:34 AM »
thoDa hi sahi mai aapna aasar chod jayunga........

tu mile na mile mujhe magar tere khayalo me aayunga.......

mana tha tujhe khuda is tanha zindgi me aapna.........

is duniya se jaker bhi na mai kabhi tujhe bhul payunga..........
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #35 on: December 24, 2005, 02:03:51 PM »
Quote from: "roshni246"
dil ke darya main uthar ke dekho...
mohabbat mujhse kare ke to dekho...

phir tumhe meri talab ho shayad...
khabi humse bichar ke to dekho...

ishq ka sagar hai gehra kitna...
dhoob ke ek bar ubhar ke bhi dekho...

duniya phir lagegi dilkhash...
ise tum meri nazar se to dekho...

merae ghum ko mehsoon karna ho
to meri rahoon se guzar ke dekho...

kya asar hota hai judai ka ?
khabhi mujhse dur ja kar to dekho...

pyar mein jo dard hai sajan ke chale jane ke baad...
dekhna ho to mohabbat mein kisi ki khusboo mein samah kar dekho...


Haan tere Isq ke Khumar main kho kar dekha hai
Har rahon mein teri bahoon mein kho kar dekha hai

Tere Gard-e-dil ke dariya mein
Muhabaat ka moti dekha hai

Teri Hijer-o-talab mein kho kar dekha hai
Na Chah kar bhi tujhse bichar ke dekha hai

Aab nazar to nahi hai kisi Dilbaar-o-dilnashi ki
Aapni nazar se Dilkash duniya ka janaza bhi dekha hai

Na paya koi afsos na koi gum, har jageh naya gulistaan dekha hai
Haan teri dil ki rahoon se gujar ke dekha hai

Mere gham ko to chu nahi sakti ey meri humnakhs
Par bata mujhe kia tune Iss Gum ki shyahi ko chu kar dekha hai

Gum Gil hoon main ke teri khusboo na bann paya
Par haan teri Baahon ki khusboo mein Isq piro kar dekha hai.

Nirbhay...........................!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #36 on: December 24, 2005, 02:06:52 PM »
wah nirbhay kamaal kiya tumne kya reply kiya hai....
mashallah.........!!!!!!
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #37 on: December 24, 2005, 02:15:52 PM »
Meri kia haisiyat ki aacha likhun aap ki Shyari itni aachi thi ke Jugal Band Khud-b-khud shabdon mein saj gaya.
Logged
roshni246
Guest
«Reply #38 on: December 24, 2005, 03:30:54 PM »
Quote from: "nirbhay"
Haan tere Isq ke Khumar main kho kar dekha hai
Har rahon mein teri bahoon mein kho kar dekha hai

Tere Gard-e-dil ke dariya mein
Muhabaat ka moti dekha hai

Teri Hijer-o-talab mein kho kar dekha hai
Na Chah kar bhi tujhse bichar ke dekha hai

Aab nazar to nahi hai kisi Dilbaar-o-dilnashi ki
Aapni nazar se Dilkash duniya ka janaza bhi dekha hai

Na paya koi afsos na koi gum, har jageh naya gulistaan dekha hai
Haan teri dil ki rahoon se gujar ke dekha hai

Mere gham ko to chu nahi sakti ey meri humnakhs
Par bata mujhe kia tune Iss Gum ki shyahi ko chu kar dekha hai

Gum Gil hoon main ke teri khusboo na bann paya
Par haan teri Baahon ki khusboo mein Isq piro kar dekha hai.

Nirbhay...........................!!


---------------------------------------------------------------------------------------------------------


hamesha hamesha mohabbat karenge ......
teri ashiqi ki hum ibadat karenge.........

tujhe chahenge hum jism o jaan se....
teri rooh main nabz banke rahenge.....
tere jism mein khoonbanke bahenge...........
rahenge saath tere parchai ban ke......
tere bad na kisi ki hasrat karenge.....
teri ashiqi ki hum ibadat karenge....

tere ankhon mein hum aise rahenge....
tu jidhar bhi dekha sirf hum hi hum milenge....
teri arzoo ki tarah dil mein rahenge...
sirf tere liye hi hum ahen barenge......
tere dil o dimaag mein jun samah jayenge.......
aisi sanam hum tumse ulfat kerenge ....

ROSHNI.....................!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #39 on: December 24, 2005, 04:05:00 PM »
WoW very nice roshni and neer bhai.......................... tongue3
Logged
roshni246
Guest
«Reply #40 on: December 24, 2005, 04:14:54 PM »
thx badnaam shayar ji................................
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #41 on: December 24, 2005, 08:23:53 PM »
Quote from: "roshni246"
Quote from: "nirbhay"
Haan tere Isq ke Khumar main kho kar dekha hai
Har rahon mein teri bahoon mein kho kar dekha hai

Tere Gard-e-dil ke dariya mein
Muhabaat ka moti dekha hai

Teri Hijer-o-talab mein kho kar dekha hai
Na Chah kar bhi tujhse bichar ke dekha hai

Aab nazar to nahi hai kisi Dilbaar-o-dilnashi ki
Aapni nazar se Dilkash duniya ka janaza bhi dekha hai

Na paya koi afsos na koi gum, har jageh naya gulistaan dekha hai
Haan teri dil ki rahoon se gujar ke dekha hai

Mere gham ko to chu nahi sakti ey meri humnakhs
Par bata mujhe kia tune Iss Gum ki shyahi ko chu kar dekha hai

Gum Gil hoon main ke teri khusboo na bann paya
Par haan teri Baahon ki khusboo mein Isq piro kar dekha hai.

Nirbhay...........................!!


---------------------------------------------------------------------------------------------------------


hamesha hamesha mohabbat karenge ......
teri ashiqi ki hum ibadat karenge.........

tujhe chahenge hum jism o jaan se....
teri rooh main nabz banke rahenge.....
tere jism mein khoonbanke bahenge...........
rahenge saath tere parchai ban ke......
tere bad na kisi ki hasrat karenge.....
teri ashiqi ki hum ibadat karenge....

tere ankhon mein hum aise rahenge....
tu jidhar bhi dekha sirf hum hi hum milenge....
teri arzoo ki tarah dil mein rahenge...
sirf tere liye hi hum ahen barenge......
tere dil o dimaag mein jun samah jayenge.......
aisi sanam hum tumse ulfat kerenge ....

ROSHNI.....................!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!



Teri Nazron se gir chuke hai aab jeekar hum kia kerenga
Tere dil ne Jabb chaha hi nahi, to jeena chah kar bhi kia karenge

Aab fhir se haraa ho gaya hai zakhm mera
Marham se parhej aab hum kia karenge

Jaag jaati hai muhabaat har ek baar nayi tarah
Na ilaj abb iss phuti kismat ka kia karenge

Mubarakh hai hamein kanto ka damaan hamara
Ke na fhir se tere sahare ki aarzu kia karenge

Lout chuka hoon aapne muqadar ke mukaam par
Aab Dedon ko sapney Oukat se diya karenge

Kabhie zakhm ka lahoo, to kabhie gum ki shyahi
hijer lout aaya hai aab marr marr ke phir jiya karenge

Jo mil jayega tera sath kahin Khwabon mein
haan sapney ki hi sahi par teri bahoon mein jiya karenge

Na Umeed ki koi roshni hai tuhjse meri humkalam
Par phir bhi teri haan ki umeed mein jiya karenge

Jiya karenge aaur gum ke aansu piya karenge
ye gum bhi lailaj hai, par na kisi se ilaaj ki minat kiya karenge

Dekh na payeinge chehra aapna aaine mein
Kia they hum bhi ek kafir, ye sawaal khud se kiya karenge

Mehsus kar iss zakhm ko kabhie ask to kabhie lahoo piya karenge
Baas yaadein hai mere paas, abb unse muhabaat karke jiya karenge

Nirbhay..........................!!!
Logged
Sonu
Guest
«Reply #42 on: December 24, 2005, 09:14:09 PM »
neer thanks... arey padney valey to katha khey gaye, dil jisko deya vo dega dey gaye,
mahubatt ki thi justzo jissey vo bhari mehphil mey badnam ker gaye,
maut mangi khuda sey to vo bhi jeney ki sejha dey gaye.

bahoot khoob neer, roshni... or tushar ji sabney bahoot he acha likha hia...
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #43 on: December 25, 2005, 04:53:20 AM »
oh very well neer and sonu ji aapne bhi accha likha........... :wink:
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #44 on: December 25, 2005, 05:07:50 AM »
Ho ker Zameen Ki, Aasmaan Ki Chaah Kyun Karoon
Main Tujh ko Paanay Ki Tamanna Kyun Karoon
Mujh ko Khabar Hai Judai Tarpayegi Tujhe Har Pal
Is hi liye Bata de Main Tujh se Wafa Kyun Karoon
Aman Ko Mere Chot Lagay gi Gar Tu Na Mili Mujhe
Tujhe Apna Bana ne Ki Phir Dua Kyun Karoon
Teri Masoomiyat Ko Rab Ne Banaaya Hai Mohabbat Ke liye
Tujhe Na Chahne Ki Phir Main Khata Kyun Karoon
Farishtay Bhi Tadap Jaatay Hain Jab Teree Aankh Se Ashk Chalaktay Hain
Yeh Dard Tujhe De ker Main Koi Gunnah Kyun Karoon
Teri Meri Qismat Ki Raahain Hain Judaa Judaa
Main Phir Tera Banjanay Ki Aarzoo Kyun Karoon
Meri Hathoon Ki Lakiroon Mein Nahi Hai Naam Tera
Main Tera Naam Apne Naam Se Milanay Ki Justajoo Kyun Karoon
Meri Baatain Tere Dil Mein Hamesha Bass Jaati Hain
Is Baat Ki Khabar Rakh Kar Main Koi Guftagoo Kyun Karoon
Batoon Batoon Main Benaam Fasaanay Banjaate Hain
Aur Aisi Adhuri Kahaani Ko Main Shuroo Kyun Karoon J
oo Bhi Jazbaat Hai Dil Mein Dil Tak Mehfooz Hain
Yeh Bataoo Ke Main Unka Zikar Dubara Kyun Karoon
Mana Ke Mohabbat Bhari Nazar Dil Par Gehra Asar Karti Hai
Usay Pyaar Se Dekh Ker Us Par Koi Jaadoo Kyun Karoon
Mere Liye Yeh Mumkin Nahi Ke Main Tera Banjaoun Kabhi
Lekin Main Tujhse Mohabbat Ka Izhaar Kyun Karoon
Itna Dukhaaya Dil Ko Tunay Mere, Itna Rulaaya Hai Mujhe
Sub Kuch Sahoon Phir Bhi Tujhse Bay intiha Pyaar Kyun Karoo...
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 11
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 01:51:17 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer