Mai jaanta hoon meri hamnakhas...............!!!

by nirbhay on December 22, 2005, 06:39:03 AM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 11
Print
Author  (Read 9265 times)
Sonu
Guest
«Reply #45 on: December 25, 2005, 05:34:31 AM »
shukriyaa badnaam shayar ji...

bahoot khoob badnaam shayar ji... wonderful...

safar hai toh.. par nazar kyon nahi aata
zigar hai bhi.. par samajh kyon nahi aata
fikar toh rahti har pal hai
samajh hai agar.. yeh yakeen kyon nahi aata

har taraf sey aatey hain poochney humsey
duur sey.. khyaal hi aatey hain humaarey apney
saath apney koi paigaam key saath
gumm hi.. par zahar kyon nahi laata
kuch samajh.. kyon nahi aata

jee chuki huin.. abb baahar kaisey nikloon
dal-dali mahfil main ghiri rah gayee
koi toh aaye.. kyon na khwaab hi ban kar
ek naam hi huin.. bas kar abb saha nahi jaata
maqaam kya hai.. kuch nazar kyon nahi aata

do aansoon.. do aankhon sey
chaar baatey.. dil aur saanso sey
aisa hi karte hai har koi apna
begaangi hi rahti hai jamee seeney main
hum hain.. yeh unko yakeen kyon nahi aata

baat-baat pey "yakeen kar"
shuruaat pe phool sa chehra
na chaahtey huye bhi dikhaani padti hai hansee
par kyon.. humara hona unko yakeen kyon nahi aata

.. samajh kyon nahi aata

kahne ki aadat toh har waqt humaari hai nahi
sunn kar.. dil se unko kahna kyon nahi aata
rishta dil se aakhir nibhana kyon nahi aata
hum hain.. unko nazar kyon nahi aata
... samajh kyon nahi aata
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #46 on: December 25, 2005, 05:43:41 AM »
bahut khoob suno ji............very touching really.............. :wink:
Logged
Sonu
Guest
«Reply #47 on: December 25, 2005, 06:09:11 AM »
shukriya badnam shayar ji...
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #48 on: December 25, 2005, 07:32:17 AM »
Bahut bahut Khoob Badnaam Bhai aaur Sonu aapne bhi khoob likha, Mai aapnelafzon ko Juta nahi paa raha hoon isliye unhein saaja nahipa raaha hoon, warna kuch jaror likhta.

Par Bahut bahut khob Badnaam bhai
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #49 on: December 25, 2005, 07:54:01 AM »
wow    superrrrrrrrrrrrbbbbbssssss   Nirbhay....Roshni........ Sonu  .........Badnaam  Shayar........aap  sabhi  logon  ne  mehfil saza  diya.....:lol:  

Talash-e-yar main nikle andheri raton main
bas ik charagh tha roshan hamare haton main

wo lafz lafz na thaey thera hoya samander theay
najane bhaid theay kitne tumhari baton main

theen be khaber nigahain janoon ke raste per
chupe hoye theay khanjer nashaib ghaton main

bisat-e-jan pe masoomiat nahin chalti
khin thi jeet orrehe libada maton main

ke jis ki khatir tae kiya safar itna
na hath aya wo lamha samey ki saaton main

falak pe raste kaise talash karte hum
ulajh gaye theay kahin zehn ki bisaton main...nm
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #50 on: December 25, 2005, 08:51:26 AM »
wow waheed bhai aap toh hamesha se hee superb ho or rahoge................................ tongue3
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #51 on: December 25, 2005, 09:36:37 AM »
Masha Allaah. Jis Kissi ne bhi likhi hai Gum Chum ke Likhi hai, aur shukriya waheed bhai Gum gilon ke sath gum bantney ka

Arz hai.........

Muhabaat ek haqiqaat hai
Ye koi Fasana nahi hota

Loot liya kisi ne chain-o-humkalam
Warna mai yun Dewana nahi hota

Kabhie Kured ke Dekho Ithaas ko bhi
Isq-o-gum ki rahoon se koi begana nahi hota


Original Creation of Souvanik bhai (Bhambra) a bit Modified by me!!

Nirbhay....................~~!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #52 on: December 25, 2005, 02:16:19 PM »
chaha to bohot  lekin wo mila hi nahi.....
lakh khoshish ki lekin yeh fasla mita hi nahi.........
khuda se johli pehla kar manga tha use.......
khuda ne meri dua shayad suni hi nahi ......
main apni tamam khoshishon ke bad bhi tujhe har gayi......
aur tu use mil gaya jisne tujhe kabhi manga hi nahi....
itni shidad se chaha tuje lekin tu kisi aur ka hogaya.....
shayad is duniya mein wafa ka koi sila hi nahi.............
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #53 on: December 25, 2005, 03:36:54 PM »
Quote from: "roshni246"
chaha to bohot  lekin wo mila hi nahi.....
lakh khoshish ki lekin yeh fasla mita hi nahi.........
khuda se johli pehla kar manga tha use.......
khuda ne meri dua shayad suni hi nahi ......
main apni tamam khoshishon ke bad bhi tujhe har gayi......
aur tu use mil gaya jisne tujhe kabhi manga hi nahi....
itni shidad se chaha tuje lekin tu kisi aur ka hogaya.....
shayad is duniya mein wafa ka koi sila hi nahi.............



mit jate hai fasle pass aaker to dekho .......

hume tum aapna bana ker to dekho.............

khuda se bhi manga to haq se manga hota......

hume tumne kisi k nasib se churaya to hota........

dete tera sath hum 7 janam tak........

tune humare dil se dil kabhi lagaya to hota........
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #54 on: December 26, 2005, 05:29:39 AM »
Quote from: "roshni246"
chaha to bohot  lekin wo mila hi nahi.....
lakh khoshish ki lekin yeh fasla mita hi nahi.........
khuda se johli pehla kar manga tha use.......
khuda ne meri dua shayad suni hi nahi ......
main apni tamam khoshishon ke bad bhi tujhe har gayi......
aur tu use mil gaya jisne tujhe kabhi manga hi nahi....
itni shidad se chaha tuje lekin tu kisi aur ka hogaya.....
shayad is duniya mein wafa ka koi sila hi nahi.............


Kya Hota milkar kar Jabb Kisi ne hamien chaha hi nahi
Kya karun Jabb Hamien kisi ne Faslon se jyada chaha hi nahi
Minatein mai Pathron se nahi karrta
Kiuki pather ne khud kabhie kisi ko chaha hi nahi
Mukaam se mujhe loutati rahi, orr hum lout lout ke gaye uskey paas
Ek baar jo gum ki panah ko hue gum ne hamien loutaya hi nahi
Muhabaat ki Charam se ki tujhe chahne ki shuruaat......
Par teri khamoshiyon se bhi koi Gila hi nahi.....

Nirbhay....................................!!!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #55 on: December 26, 2005, 05:32:51 AM »
veri nice neer....."mahobbat ki charam..................per teri khusion se bhi koi gila hee nahi...." tongue3  very nice line
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #56 on: December 26, 2005, 06:06:36 AM »
Thanks Gourav bhai and all, aap doston ke sath se mai bhi likh leta hoon.
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #57 on: December 26, 2005, 07:26:23 AM »
bahut khoob nirbhay ji!!!!!!!

hum to samajhtey thhey ke zindagi ko jaante hain hum,
per yeh na pata tha ke har pal lavz ismien judtey jaatey hain,
kaise padenge in lavzon ko hum ke kuch bhi na dekh paate hain hum,
ashq palkon pe ruk ke dhundli kar deti hai nazar,
yahaan kaun hai apna dekh na paate hain hum....

gesu here...
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #58 on: December 26, 2005, 08:17:22 AM »
wow very nice gesu.....sahi kaha aapne"yahan kon hai apna dekh bhi nahi paate hum"....very nice....... tongue3
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #59 on: December 26, 2005, 09:13:30 AM »
THANKS SHAYAR JI!!!!
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 11
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:01:24 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer