Mai likhna toh chahti hu................nikhaar

by Nikhaar on November 12, 2014, 07:21:11 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1764 times)
Nikhaar
Guest
Mai likhna toh chahti hu, par alfaaz na bante hai
Jaane kyu syaahi sukhi h, kalam par haath na chalte hai

Chale the jis mod se raah-e-manzil ki taraf apne kadam
Waqt guzar gya chalte chalte, aaj bhi uss mod se hi nikalte hai
  
Mohabbat ne loota jo toh yaad dushmano ki hamein aayi
K dosti ka bhi saath chhuta, zakhmon par marham na lagte hai

Zakhmon ki karein baatein toh naam uska toh aana hi tha
K bewafa kahu ya meri khata, taarif ko lafj na milte hai

Mai likhna toh chahti hu bahut khuch,par alfaaz na bante hai
Tham gyi raftaar zindagi ki , kaagaz haathon mein na sambhalte hai
[/color][/size]
Logged
Áɑѕӈίգ
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 10
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 54 minutes.

Az Mast Ke Bar Mast, Chon Digari Neest..!!

Posts: 290
Member Since: Apr 2014


View Profile WWW
«Reply #1 on: November 12, 2014, 07:31:55 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause
बहेतरीन
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #2 on: November 12, 2014, 08:04:18 PM »
Mai likhna toh chahti hu, par alfaaz na bante hai
Jaane kyu syaahi sukhi h, kalam par haath na chalte hai

Chale the jis mod se raah-e-manzil ki taraf apne kadam
Waqt guzar gya chalte chalte, aaj bhi uss mod se hi nikalte hai
 
Mohabbat ne loota jo toh yaad dushmano ki hamein aayi
K dosti ka bhi saath chhuta, zakhmon par marham na lagte hai

Zakhmon ki karein baatein toh naam uska toh aana hi tha
K bewafa kahu ya meri khata, taarif ko lafj na milte hai

Mai likhna toh chahti hu bahut khuch,par alfaaz na bante hai
Tham gyi raftaar zindagi ki , kaagaz haathon mein na sambhalte hai
[/color][/size]
Bahut khoob.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: November 13, 2014, 12:58:25 AM »
Bohat Khoob Nikhaar Ji,.

Dard Jab Haddse Bardh Jaata Hai,.
Lafzon Mein Kashish Paida Hoti Hai,.
Aur Shayari Bann Jaati Hai,.
I Can Feel The Debt Of Your Words,.
Too Good
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #4 on: November 13, 2014, 05:56:56 AM »
waaaaah waaaaaah likhte rahiye
Logged
jeet jainam
Khaas Shayar
**

Rau: 237
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
60 days, 12 hours and 13 minutes.

my rule no type no life and ,i m happy single

Posts: 10150
Member Since: Dec 2012


View Profile WWW
«Reply #5 on: November 13, 2014, 09:40:30 AM »
Behad umda peshkash waaaahhhh daaaaddd
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #6 on: November 14, 2014, 06:01:17 PM »
Bohat Khoob Nikhaar Ji,.
Dard Jab Haddse Bardh Jaata Hai,.
Lafzon Mein Kashish Paida Hoti Hai,.
Aur Shayari Bann Jaati Hai,.
I Can Feel The Debt Of Your Words,.
Too Good
hausla afjaai k liye shukriya azeem ji....kisi.k.dard ko samajhna bahut badi baat hai...dil se shukriya aapka
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #7 on: November 14, 2014, 06:02:00 PM »
Applause Applause Applause Applause Applause
बहेतरीन
shukriya aashiq ji
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: November 15, 2014, 11:46:29 PM »
hausla afjaai k liye shukriya azeem ji....kisi.k.dard ko samajhna bahut badi baat hai...dil se shukriya aapka
Yunhi Likhte Rahiye, May Allah Bless you,.
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #9 on: November 19, 2014, 06:21:25 PM »
Bahut khoob.
shukriya
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #10 on: May 08, 2015, 11:20:29 AM »
waaaaah waaaaaah likhte rahiye
Behad umda peshkash waaaahhhh daaaaddd
bahut bahu shukriya
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #11 on: May 08, 2015, 02:54:12 PM »
Nikhaar Jee bahut sundar qalaam hai, pataa nahin main isse kaise miss kar gayaa, dheron daad.
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
vinery
Khususi Shayar
*****

Rau: 17
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
3 days, 17 hours and 17 minutes.
Posts: 1157
Member Since: May 2015


View Profile
«Reply #12 on: May 17, 2015, 12:02:19 AM »
Nice.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: May 19, 2015, 10:04:41 PM »
Mai likhna toh chahti hu, par alfaaz na bante hai
Jaane kyu syaahi sukhi h, kalam par haath na chalte hai

Chale the jis mod se raah-e-manzil ki taraf apne kadam
Waqt guzar gya chalte chalte, aaj bhi uss mod se hi nikalte hai
 
Mohabbat ne loota jo toh yaad dushmano ki hamein aayi
K dosti ka bhi saath chhuta, zakhmon par marham na lagte hai

Zakhmon ki karein baatein toh naam uska toh aana hi tha
K bewafa kahu ya meri khata, taarif ko lafj na milte hai

Mai likhna toh chahti hu bahut khuch,par alfaaz na bante hai
Tham gyi raftaar zindagi ki , kaagaz haathon mein na sambhalte hai
[/color][/size]


Bohat Khoob Nikhaar Ji
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #14 on: May 21, 2015, 08:03:16 PM »
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
dard ko lafzon mein pironaa to koi aap se sikhe, jitni taarif ki jaaye kam hai, aapki yeh kavitaa dil ko chhhooo gayi, zindagi mein chalte chalte hum aise mod par pahuch jaate hain jahaan se naa aage badh paate hain naa hi peeche mudke dekh paate hain, magar fir bhi zindagi hai.. humein aage hi badhnaa hai......



aaj fir arse baad kalam ko haathon mein leke
kuch likhne baithaa main unko yaad karke
kore kaagaz par mujhe unki muskaan ko utaarnaa thaa
magar jaane kahaan se tap se ek boond paani kaa
shaayad meri aankhon se niklaa hogaa
mere likhe us kaagaz par aa giraa....

abhi to likhaa bhi nahi thaa kuch maine
bas unke ek naam ke siwaa
aur woh bereham boond paani kaa
mitaa gayaa unke naam ko us kaagaz se
haan thik usi tarhaa se jaise woh mitaa gaye the
hamaaraa naam kuch waqt pehle apni zindagi se...

naa, main yaad nahi kartaa unhe kabhi, magar
kabhi kabhi jab baaarish hoti hai mere shahar mein
jaane kahaan se yaad unki, aa hi jaati hai
aur kuch boond paani ke meri aankhon se
jaane kyun beh jaate hain...

kyaa rishtaa hai ab unse meraa, kisse poochhun
jo har rishtaa mujhse todke duur bahut duur chale gaye
itne duur ki main pahunch hi naa paaun wahaan tak
magar samjhaaun kaise mere is pagal dil ko main
jo ab bhi baatein kartaa rehtaa hai unki tasveer se....

baatein karte karte yunhi akele muskuraa detaa hoon
fir us tasveer ko kitaab ke panno mein chhipaa detaa hoon
kab tak, aakhir kab tak jude rahenge hum us se is tarhaa
kab tootegaa yeh bandhan unse meraa, koi bataa de humein...

koi to ho... jo yeh baat bata de humein...


Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 06:36:20 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.142 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer