Maikhana is back

by niraj_191 on July 02, 2006, 06:29:00 PM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 2444 times)
ranjana
Guest
«Reply #15 on: July 12, 2006, 02:22:09 AM »
shukriya Niraj.....bahut khub.... Usual Smile

jab bhi mili tujse nazar meri
meri aankhe lagi sharmaane
fir se dil mein ek payaas jagi
khul gaye jab teri nazaro ke paimaane
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Maikhana 1 by paro_ka_deva_devdas in Shayri-E-Dard
DARD NAHI MAIKHANA DO READ IT by harshit101 in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4  All »
Maikhana by harinderbhasin in Kaifiyaat-ae-maye
badnaam_shayar
Guest
«Reply #16 on: July 12, 2006, 03:13:20 AM »
Kya baat hai Neeraj bhai ka Maikhana phir se.......aur Jaan bhai...Roshini...and Ranju jaise Yodha bhi......thats Brilliant

Jab Jab khoja humne tujhe.....
Toh Dard hee Dil se hai nikla.......

Maikhane ki seedi chada main phir.......
Aur Bejubaan se harr lafz katra khoon ban nikla......

Ab bol aye Dil teri Saja kya hai......
Tune Chaha hai na jaane kisko......
Pooch jaa ke usse ki ab uski Raja kya hai.....

Bebas AshiQuon ki tarah hum phirte ab darbadar......
Kabhi Chori uski gali toh kabhi apna Nagar......!!!!!!!!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #17 on: July 12, 2006, 12:18:50 PM »
Bahoot Khoob Gaurav Niraj And Ranjana Sis,..

Aaj Phir Baagh Mein Khila Hai Gulaab,..
Aye Saakhi Peela De Mujhe Kuch Aur Sharaab.,..
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #18 on: July 13, 2006, 05:42:44 PM »
Quote from: "ranjana"
shukriya Niraj.....bahut khub.... Usual Smile

jab bhi mili tujse nazar meri
meri aankhe lagi sharmaane
fir se dil mein ek payaas jagi
khul gaye jab teri nazaro ke paimaane


aankhe nam hai aaj tere deewane ki
ras aa chuki hai use hawa maikhane ki
zarurat nahi use teri aankho ke paimane ki
nasha kho diya usne kya ada thi nazar zukane ki
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #19 on: July 13, 2006, 05:46:01 PM »
nice words b-s and thx for joining.....
janseen short and sweet!!!

dard me jo sahara de vo sharab hai
quota jis cheez ka mera behishab hai
mere yar se jo lajawab hai
yahi meri zindgi ki khuli kitab hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #20 on: July 13, 2006, 06:44:32 PM »
Quote from: "niraj_191"
Quote from: "ranjana"
shukriya Niraj.....bahut khub.... Usual Smile

jab bhi mili tujse nazar meri
meri aankhe lagi sharmaane
fir se dil mein ek payaas jagi
khul gaye jab teri nazaro ke paimaane


aankhe nam hai aaj tere deewane ki
ras aa chuki hai use hawa maikhane ki
zarurat nahi use teri aankho ke paimane ki
nasha kho diya usne kya ada thi nazar zukane ki


bahut khoob......

aaj fir se kuch udas raat hai
labo per thahri si koi pyaas hai
aaj peela de apni nazaro se fir se ek jaam
mere dil mein sulag rahi fir se koi aag hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #21 on: July 13, 2006, 06:46:43 PM »
bahot khoob azeem bhai and gaurav...... Usual Smile
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #22 on: July 14, 2006, 04:07:49 AM »
Na Dekh SaaQi iss Kadar hume.....
Hamari ankhon me Khoon ka Jaam bhar jayega......

Nafrat hai hume Husn ki Mehfilon se.....
Woh toh Socha hume Kadardaano ke saath thoda WaQt guzar jayega......

Bhala kya rokegi Mahobbat ko Darr-O-Diwaar.......
Yeh Badnaam Shayar jo haske harr Ruswa mehfil se Parwana bann Guzar jayega........!!!!!!!!!!!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #23 on: July 14, 2006, 03:58:00 PM »
Quote from: "ranjana"
bahot khoob azeem bhai and gaurav...... Usual Smile


Shukriya Ranjana Sis,..
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #24 on: July 14, 2006, 05:14:47 PM »
Quote from: "badnaam_shayar"
Na Dekh SaaQi iss Kadar hume.....
Hamari ankhon me Khoon ka Jaam bhar jayega......

Nafrat hai hume Husn ki Mehfilon se.....
Woh toh Socha hume Kadardaano ke saath thoda WaQt guzar jayega......

Bhala kya rokegi Mahobbat ko Darr-O-Diwaar.......
Yeh Badnaam Shayar jo haske harr Ruswa mehfil se Parwana bann Guzar jayega........!!!!!!!!!!!!


wah kya bat hai b_s !!! lage raho..

tere kadardano ki mehfil me harkoi tha paraya
phir pata chala ek hamne hi hosh tha gawaya
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #25 on: July 14, 2006, 05:31:01 PM »
Quote from: "ranjana"
Quote from: "niraj_191"
Quote from: "ranjana"
shukriya Niraj.....bahut khub.... Usual Smile

jab bhi mili tujse nazar meri
meri aankhe lagi sharmaane
fir se dil mein ek payaas jagi
khul gaye jab teri nazaro ke paimaane


aankhe nam hai aaj tere deewane ki
ras aa chuki hai use hawa maikhane ki
zarurat nahi use teri aankho ke paimane ki
nasha kho diya usne kya ada thi nazar zukane ki


bahut khoob......

aaj fir se kuch udas raat hai
labo per thahri si koi pyaas hai
aaj peela de apni nazaro se fir se ek jaam
mere dil mein sulag rahi fir se koi aag hai


khuda ne aaj quamat kuch is kadar thayi hai
mehboob ko mere in aanko me madira nazar aayi hai
saqi ne mujhe saqi banakar kya aarzoo jatayi hai
dil me lagi is aag ko jaise hawa lagayi hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #26 on: July 14, 2006, 06:53:06 PM »
niraj bahut khoob....

dil ki baat jubaan per aayi ,baat hai kuch maykhane mein
badal gayi duniya ek pal mein asie kuch meri is  maykhane mein
yahan per koi bhed nahi hai yeh mastaano ki duniya hai
hosh hawas ki baat na karo ab tum mere is maykahne mein
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #27 on: July 15, 2006, 07:18:13 AM »
nice...

shama ko kabse phikar hone lagi parwane ki
halat dekhi nahi gayi unse apne deewane ki
ras aa chuki hai duniya mujhe paimane ki
zarurat hai mujhe ab aapke maikhane ki
Logged
ranjana
Guest
«Reply #28 on: July 15, 2006, 11:38:29 AM »
aankho mein ashqe hai
haatho mein jaam  hai
hotho per naam unka
yeh kaisa intkaam hai.............
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #29 on: July 15, 2006, 04:44:21 PM »
Quote from: "ranjana"
aankho mein ashqe hai
haatho mein jaam  hai
hotho per naam unka
yeh kaisa intkaam hai.............


Yeh nahi koi Intkaam ise.....
Ise Sanam Imtihaan kaha karte hai......

Jisme tadapte hai AshiQue mom ke pighalte jaise.......
Aur Zindagi bebak na jeete hai na marte hai....!!!!!!!!!!
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:34:13 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer