Main Ab Us Shaks Ko Dhundta Hun!!!

by mohdabrar on May 11, 2013, 08:10:26 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1003 times)
mohdabrar
Guest
Main ab us shaks ko dhundta hun,
Jise main kabhi jaanta tha...
Jo hunar rakhta tha,
Apne buraiyon ko sudhar ne ka,
Apni zaroorton aur chahaton ko,
Apne aap tak rakhta tha…

Woh bohot khush rehta tha,
Dusron ko khush karke,
Apne dard ko muskurakar uda deta tha,
Apni aankhon ki nami apni muskurahaton mein,
Kuch yun chupa leta ke koi,
Jaan na pata ke uska aalam kya hai…

Magar ab usne yeh riwaaj badal diya hai,
Ab woh ghum dil ka sunata hai,
Dil ka haal aankhon se batata hai,
Muskurata nahi hai…

Kisi ka dard dekh bas paas se guzar jata hai,

Kisi kamre ko tanha dekh usme,
Apni tanhayi ke saath baith jata hai,
Koshish karta hai ke waqt badal de,
Par haar jata hai…

Hausla deta tha kabhi jo koi raaye pucch le,
Khud haar raha hai ab kaise,
Kisi ko jeetne ka Hausla de?
Andheron se aaj kal,
Ek naya sa rishta ban gaya hai uska,
Unhi mein doob ab,
Yeh Zindagi guzar de sochta hai…

Lekin,

Woh hausle jo the kabhi,
Is dil ko aage badhate the,
Aaj bhi kahin is dil mein dafn to hai,
Sochta hai ab fir kurede dil ko,
Gehraiyon mein jaaker unhe dhund laye...

Dard hoga, takleef bhi hogi,
Uski zindagi jo yahan baithe,
Dekh rahi hai use,
Uske bhi zakhm ubhar aayenge,
Yaadein taza hongi, ankhen fir nam hogi,
Par in sab se yeh darr kaisa?
Usne ne to barson se,
Inhe ke saath apni umr guzari hai...

Ab sochta hai fir band karle,
Un darwazo ko Jo khol diye hain usne,
Woh himmat dhund ta hai,
Jo ye riwaaj fir badal de...

Main ab us shaks ko dhundta hun,
Jo kabhi mujhme hua karta tha...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
main tujh dhundta hoo by FArah in Shayri for Khumar -e- Ishq
ek kavita dhundta hun by AbhiTamrakar in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Dhundta Hoo..n Mein...Kash by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri
Taish- bachi-khuchi TAMEEZ dhundta hooN maiN...!! by ghayal_shayar in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Dhundta hai kya... by mixie in Shairi - E - Zindagi
laaiba
Guest
«Reply #1 on: May 14, 2013, 03:45:58 PM »
bohat khoob,............daad,...........
Logged
mohdabrar
Guest
«Reply #2 on: May 26, 2013, 04:14:58 PM »
bohat khoob,............daad,...........

Bohot bohot shukriyah laaiba ji. Aapki daad sar aankhon par.

Duaon ki darkhwast,

Abrar.
Logged
love4u
Guest
«Reply #3 on: May 26, 2013, 04:23:38 PM »

dhero daad.... !!! Usual Smile bahut khoob..

Main ab us shaks ko dhundta hun,
Jise main kabhi jaanta tha...
Jo hunar rakhta tha,
Apne buraiyon ko sudhar ne ka,
Apni zaroorton aur chahaton ko,
Apne aap tak rakhta tha…

Woh bohot khush rehta tha,
Dusron ko khush karke,
Apne dard ko muskurakar uda deta tha,
Apni aankhon ki nami apni muskurahaton mein,
Kuch yun chupa leta ke koi,
Jaan na pata ke uska aalam kya hai…

Magar ab usne yeh riwaaj badal diya hai,
Ab woh ghum dil ka sunata hai,
Dil ka haal aankhon se batata hai,
Muskurata nahi hai…

Kisi ka dard dekh bas paas se guzar jata hai,

Kisi kamre ko tanha dekh usme,
Apni tanhayi ke saath baith jata hai,
Koshish karta hai ke waqt badal de,
Par haar jata hai…

Hausla deta tha kabhi jo koi raaye pucch le,
Khud haar raha hai ab kaise,
Kisi ko jeetne ka Hausla de?
Andheron se aaj kal,
Ek naya sa rishta ban gaya hai uska,
Unhi mein doob ab,
Yeh Zindagi guzar de sochta hai…

Lekin,

Woh hausle jo the kabhi,
Is dil ko aage badhate the,
Aaj bhi kahin is dil mein dafn to hai,
Sochta hai ab fir kurede dil ko,
Gehraiyon mein jaaker unhe dhund laye...

Dard hoga, takleef bhi hogi,
Uski zindagi jo yahan baithe,
Dekh rahi hai use,
Uske bhi zakhm ubhar aayenge,
Yaadein taza hongi, ankhen fir nam hogi,
Par in sab se yeh darr kaisa?
Usne ne to barson se,
Inhe ke saath apni umr guzari hai...

Ab sochta hai fir band karle,
Un darwazo ko Jo khol diye hain usne,
Woh himmat dhund ta hai,
Jo ye riwaaj fir badal de...

Main ab us shaks ko dhundta hun,
Jo kabhi mujhme hua karta tha...
Logged
mohdabrar
Guest
«Reply #4 on: November 17, 2013, 08:56:19 PM »
dhero daad.... !!! Usual Smile bahut khoob..


Bohot Bohot Shukriyah,

Abrar.
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #5 on: November 17, 2013, 09:05:49 PM »
bohut hi khoob likha hai ehsaas ke saath
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 11:25:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.741 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer