main bhi dariya hu..........

by gumnam on June 09, 2006, 04:53:04 AM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 12
Print
Author  (Read 14576 times)
ranjana
Guest
«Reply #45 on: June 19, 2006, 06:17:12 AM »
nice one.........

qaid rahe  hum   unki yaado mein umar bhar
woh  har pal mujhe apne pyaar se azad karta raha

woh karte rahe khata hamse ruth -ruth kar
mera dil unki is nadaani  ko bhul kar unko maaf karta raha
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Koi Dariya jaise by paro_ka_deva_devdas in Shayri-E-Dard
<Dariya ko raasta kaise dikhaaye koi> (Shikha) by Shikha12 in Shayri-E-Dard
Dil Dariya hai by rajashmi in Miscellaneous Shayri
Ashk aa.nkho.n se rawaa.n hote hai.n dariya ki tarah ! by seraj325 in Shayri for Dard -e- Judai
Dariya ka paani(CSET) by MANOJ6568 in Shayri for Khumar -e- Ishq
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #46 on: June 19, 2006, 05:03:43 PM »
very nice...........

 uski har baat aur ada ko hum dil se yu chahne lage
 woh ruthe bewajah hi ,phir bhi unhe manane lage
 main ruthta nahi hoon  is baat per the woh khafa
dil ke dariya main dard sametkar,hum unse door  jane lage.

................@fahi@..................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #47 on: June 20, 2006, 03:48:12 AM »
too gud.......

dur woh reh na sake hamse,paas apne bula bhi na sake
ruthane -manne ke khel mein din woh beetane  lage
barah gayi jab unke dil mein mere liye preet jayda
toh ghabra ke woh hamse nighaae.n churaane lage
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #48 on: June 20, 2006, 06:56:03 AM »
sahi kaha.............

 mere ishq ka unhone junoon dekha ,mere dard ke rashk nahi dekhe
 nazro ka mera churana to dekha per behte hue ashk nahi dekhe

.....................@fahi@........................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #49 on: June 20, 2006, 03:01:27 PM »
tere ashaq hamne apni palko per mehsus kiye hain
tere bina hum bhi kab chien se jeeye hain
badh  gaya jab darde -dil kuch jayada
toh khud hi ro ke apne aansu pee liye hain
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #50 on: June 21, 2006, 06:19:58 AM »
jin ashko ko hum aaj tak apna samjhte rahe
   woh bhi bewafa aaj behkar chale gaye.

............@fahi@...............
Logged
ranjana
Guest
«Reply #51 on: June 21, 2006, 07:02:23 AM »
mera ishaq hai ki yaadgaar ek tuta sa mazaar hai
unko ab raha na mujhe   per koi etabaar hai
jab woh kehte hain bewafa hamko dekh kar
dil mein uthta sa yeh kaisa gubaar hai ..........!!!!!!
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #52 on: June 21, 2006, 12:34:14 PM »
jin labo pe mere ishq ki chahat hua karti thi
 sazde mai khuda ke bhi meri ibadat hua karti thi
 aaj usi dil ne hame kaha hai bewafa ya rab
 jis dil mai kabhif meri mohabbat hua karti thi

..............@fahi@...................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #53 on: June 22, 2006, 01:29:52 AM »
jab yaad aate hain dard unke diye hue hamko
toh hum ek kaam bas chupchaap kiya karte hain
likh lete hain apna dard kagaz ke seene per
aur naam gazal ka usko de diya karte hain..
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #54 on: June 22, 2006, 07:19:06 AM »
very nice............

 aankhon ne kisi ki is qadar dard ka pani bahaya hai
  ki uske dard se  mera dard pani pani ho gaya

..............@fahi@...............
Logged
ranjana
Guest
«Reply #55 on: June 22, 2006, 07:31:30 AM »
nice fahi......

bahe jab aankho se aansu ,toh kehne ko kuch nahi raha
jab apne hi ho gaye begaane ,toh apna kehne ko ab kya raha
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #56 on: June 22, 2006, 11:30:19 AM »
nice..........

  bahe jo ashk mere,unki yaad aane lagi
  dil mai hui hulchul,sansein tadpane lagi
  bhulna tujhe chaha per bhula na main paaya
  har zarre mai mujhe aks tera nazar aaya

................@fahi@.................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #57 on: June 22, 2006, 12:29:53 PM »
jindagi hamne gujari ek gare ki tarah
ander hi ander hum sulgete rahe angaar  ki tarah
woh chal diye lahar ban ke dusaro ke saath
hum khade rah gaye yahan kinaaro ki tarah
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #58 on: June 22, 2006, 12:40:33 PM »
tune choda jab mujhe to teri yaado ke sahare per reh gaye
 jafa ke sagar mai dubkar kashti hum kinaare per reh gaye

................@fahi@...............
Logged
ranjana
Guest
«Reply #59 on: June 22, 2006, 01:01:10 PM »
apni kishti ka koi aur thikana talahsh le
warana fir khud ko wahi dubone ka bahana talash le
hai lafaz wahi ,dard, bewafa ,sitamgar,mohabbat ke sanam
ab koi  dil ko  gum dene ka naya tarana jaan le
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 12
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:53:34 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.093 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer