main bhi dariya hu..........

by gumnam on June 09, 2006, 04:53:04 AM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 ... 12
Print
Author  (Read 14579 times)
Pooja
Guest
«Reply #75 on: June 23, 2006, 03:09:32 PM »
jakham kab ke saj gaye, meri kismat ke sath
jakham wo hi, kayun chut gaya mere hatho se tera hath
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Koi Dariya jaise by paro_ka_deva_devdas in Shayri-E-Dard
<Dariya ko raasta kaise dikhaaye koi> (Shikha) by Shikha12 in Shayri-E-Dard
Dil Dariya hai by rajashmi in Miscellaneous Shayri
Ashk aa.nkho.n se rawaa.n hote hai.n dariya ki tarah ! by seraj325 in Shayri for Dard -e- Judai
Dariya ka paani(CSET) by MANOJ6568 in Shayri for Khumar -e- Ishq
gumnam
Guest
«Reply #76 on: June 23, 2006, 03:12:52 PM »
Quote from: "Pooja"
jakham kab ke saj gaye, meri kismat ke sath
jakham wo hi, kayun chut gaya mere hatho se tera hath
BAHUT KHUB.....

JAKHMO PAR NAYA JAKHM LAGATA HAI JAMANA,
HAR TARAH HUM DEEWANO KO SATAATA HAI JAMANA.
KYA HUMNE BIGADA HAI JAMAANE MEIN KISI KA,
KYON HAR GHADI RULATA HAI HUMKO JAMANA.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #77 on: June 23, 2006, 03:17:41 PM »
Jamana naam hai dushman ka
apni dushmani nibhata hai
kabhi karta hai alag payaar se
to kabhi ussi ke taane sunata hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #78 on: June 23, 2006, 05:39:00 PM »
bahut hi khoob gumnaam and pooja.................

jamana apni aadat se majbur hai
hum majbur hain apne dil-E- halat se
woh apna farz nibhaata hai
hum apna dard chup chaap jhel jaate hain
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #79 on: June 25, 2006, 12:50:42 PM »
nice .............

  jamane ke diye dard ki parwaah ab kise hai
   dard mai jeete hai hum hai dard hi apni duniya

............@fahi@...............
Logged
gumnam
Guest
«Reply #80 on: June 25, 2006, 02:29:15 PM »
Quote from: "Pooja"
Jamana naam hai dushman ka
apni dushmani nibhata hai
kabhi karta hai alag payaar se
to kabhi ussi ke taane sunata hai
BAHUT KHUB.....

Jamaane se umeed kya?
Apni yaar taqdeer kya?
Maut bhi saath na nibha saki,
Jindagi ki taabeer kya?
Logged
gumnam
Guest
«Reply #81 on: June 25, 2006, 02:36:18 PM »
Quote from: "ranjana"
bahut hi khoob gumnaam and pooja.................

jamana apni aadat se majbur hai
hum majbur hain apne dil-E- halat se
woh apna farz nibhaata hai
hum apna dard chup chaap jhel jaate hain
bahut khub ranjana ji.............lekin...........

Maloom thi mujhko teri majbooriya magar,
lekin tere bagair neend na aayee tamaam raat........[/b]
Logged
ranjana
Guest
«Reply #82 on: June 27, 2006, 02:35:50 AM »
jindagi kaisi yeh beeti ja rahi
har pal ek andheri raat aa rahi
musafir kho gaya hai jindagi ki raha mein
aur manzil bhi ab koi nazar na aa rahi
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #83 on: June 27, 2006, 03:01:38 AM »
Quote from: "ranjana"
jindagi kaisi yeh beeti ja rahi
har pal ek andheri raat aa rahi
musafir kho gaya hai jindagi ki raha mein
aur manzil bhi ab koi nazar na aa rahi


kya baat hai ranjani ji

zindagi yeh kaise khaath rahi hai
andheri raat ke saaye khaat rahi hai
zindagi kaise jee ja rahi hai
na koi musafir hai na koi manzil nazar aah rahi hai
hota aghar saath woh mera
tu yeh zindagi rangheen khaat rahi hoti :D:D:D
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #84 on: June 27, 2006, 06:05:18 AM »
nice work pooja ji ,gumnaam ji ,ranjana & anjaani ji u 2.............

 ashko ke dariya mai manzil apni duba di maine
 kyunki aise hi ek dariya mai woh bhi dube rehte hai

.............@fahi@.................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #85 on: June 27, 2006, 01:51:51 PM »
kabhi kabhi phoolo ki chhuan bhi kaanto jaisi lagati hai
jab unki yaad sataye toh har cheege ajab  si lagt hai
kaise kare ab kismat ki baato ka yakeen hum
yahan toh har shaye hi begaani si lagati hai
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #86 on: June 27, 2006, 02:02:41 PM »
begaani takdeere likhi gayi jab mere haath mai
 dard bhi tha has raha khada khusi ke saath mai.

.................@fahi@.....................
Logged
gumnam
Guest
«Reply #87 on: June 29, 2006, 02:59:19 PM »
Quote from: "ranjana"
jindagi kaisi yeh beeti ja rahi
har pal ek andheri raat aa rahi
musafir kho gaya hai jindagi ki raha mein
aur manzil bhi ab koi nazar na aa rahi
bahut khub ranjana ji.....

Apni julfo ke saaye ko dur rakh,
ki musafir kho jaayega,
Manzil na milegi use,
aur rashta use tarsaayega.
Logged
ranjana
Guest
«Reply #88 on: June 30, 2006, 02:58:22 AM »
gumnam ji bahut acche

yeh hain  meri jhulfo ke kaale saaye
inse bhalla aap kaise bach paayenge
rasata milega aapko inhi mein ulajh ke
tabhi aap apni manzil ke kareeb aa paayenge
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #89 on: June 30, 2006, 02:28:18 PM »
both of u ............nice........

 karne de raah-e-khusi ko alvida sanam
teri julpho ke uljhan mai bhatakne se pehle

...................@fahi@...................
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 ... 12
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:56:34 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.088 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer