main bhi dariya hu..........

by gumnam on June 09, 2006, 04:53:04 AM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 12
Print
Author  (Read 14580 times)
gumnam
Guest
«Reply #90 on: July 02, 2006, 01:21:21 PM »
Quote from: "ranjana"
gumnam ji bahut acche

yeh hain  meri jhulfo ke kaale saaye
inse bhalla aap kaise bach paayenge
rasata milega aapko inhi mein ulajh ke
tabhi aap apni manzil ke kareeb aa paayenge
BAHUT KHUB RANJANA JI.........


GUJAARE CHAND LAMHE JO TERI JULFO KE SAAYE MEIN,
USE FIR CHANDANI SE BHI BADI TAKLEEF HOTI HAI.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Koi Dariya jaise by paro_ka_deva_devdas in Shayri-E-Dard
<Dariya ko raasta kaise dikhaaye koi> (Shikha) by Shikha12 in Shayri-E-Dard
Dil Dariya hai by rajashmi in Miscellaneous Shayri
Ashk aa.nkho.n se rawaa.n hote hai.n dariya ki tarah ! by seraj325 in Shayri for Dard -e- Judai
Dariya ka paani(CSET) by MANOJ6568 in Shayri for Khumar -e- Ishq
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #91 on: July 02, 2006, 03:45:30 PM »
nice gumnam ji.........

mere dil mai chub rahi hai bebasi is qadar
ki aankhon mai dariya hai phir bhi pyaasa hoon .

................@fahi@...................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #92 on: July 02, 2006, 04:24:16 PM »
bahut khub gumnam and fahi ji.........

dunaiya ki bheed mein is kadar akele hain
jaane kitne chehare ird gird mere hain
bas tasali hai dil mein si baat ki mujhe
yadi main idhar tanah hun toh..........
 woh bhi udher isi dard ko jhele hain
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #93 on: July 02, 2006, 04:48:54 PM »
Kya baat hai Ranju.....Fahi....Gumnaam ji
Logged
gumnam
Guest
«Reply #94 on: July 05, 2006, 02:15:15 PM »
THANKS BADNAANM SHAYAR,PJAG,N RANJANA.......



MANZIL MILE NA MILE IS BAAT KA KOI GAM NAHI,
MANZIL KI JUSTJU MEIN MERA KAARWA TO HAI.
Logged
ranjana
Guest
«Reply #95 on: July 05, 2006, 04:52:19 PM »
chali thee main veraano mein apni manzil ko talshane
haat mere reit ke siva kabhi kuch na bhi na aaya
samjha thaa jise apni raha ka musafir hamane
woh  toh  nikala bas ek dhundhala sa saaya
Logged
gumnam
Guest
«Reply #96 on: July 09, 2006, 02:46:08 PM »
Quote from: "ranjana"
chali thee main veraano mein apni manzil ko talshane
haat mere reit ke siva kabhi kuch na bhi na aaya
samjha thaa jise apni raha ka musafir hamane
woh  toh  nikala bas ek dhundhala sa saaya
BAHUT KHUB RANJANA JI.....
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #97 on: July 09, 2006, 03:35:26 PM »
itz gr8 gumnaam ji.....saadgi se itni badi baat kehna .....bahut khub...........

 de raha hai mausam phir mere dard ko hawa
 ki barish mai barasne laga hai mera sawan bhi

....................@fahi@....................
 
 

 
Quote from: "gumnam"
THANKS BADNAANM SHAYAR,PJAG,N RANJANA.......



MANZIL MILE NA MILE IS BAAT KA KOI GAM NAHI,
MANZIL KI JUSTJU MEIN MERA KAARWA TO HAI.
Logged
ranjana
Guest
«Reply #98 on: July 10, 2006, 04:37:40 AM »
shukriya gumnam ji.........bahut khub fahi........

is baar sawan mein thaa kuch dard aisa
ki barsa toh aankho se bhi barsaat hone lagi
umar bhi katati rahi saanse bhi chalti rahi
fir kyu kyu ruk ruk ke maut ki baat hone lagi
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #99 on: July 10, 2006, 05:07:06 AM »
nice 1 ranjana..............

 jale hue dil ko aur tadpa na aey khuda
 ki kahi jala na de ye duniya ko tadap se

....................@fahi@........................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #100 on: July 10, 2006, 03:15:51 PM »
jab tak na chubhenge kaante peroo.n mein
zindagi ke dard ka ehasas na hoga
bhatakate rahenge tanaha -tanaha is kadar raahao mein
ki manzile pass hogi aur khud ko bhi rasata na malum hoga
Logged
gumnam
Guest
«Reply #101 on: July 12, 2006, 02:41:59 PM »
Quote from: "purani_jeans_aur_guitar"
itz gr8 gumnaam ji.....saadgi se itni badi baat kehna .....bahut khub...........

 de raha hai mausam phir mere dard ko hawa
 ki barish mai barasne laga hai mera sawan bhi

....................@fahi@....................
 
 

 
Quote from: "gumnam"
THANKS BADNAANM SHAYAR,PJAG,N RANJANA.......



MANZIL MILE NA MILE IS BAAT KA KOI GAM NAHI,
MANZIL KI JUSTJU MEIN MERA KAARWA TO HAI.
SHUKRIYA PGAG.....AUR BAHUT KHUB LIKHA HAI......



TERI HAR BERUKHI KO RUTBA DIYA HUMNE,
MOHBBAT KA HAR EK KARZ ADA KIYA HUMNE,
MAT SOCH KI HUMNE TUMHE BHULA DIYA,
KHUDA SE PEHLE TERA HI SAJDA KIYA HUMNE...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #102 on: July 12, 2006, 05:45:18 PM »
very nice words gumnam ji....

din raat hamne jise duwao mein manga
usse kab milan hamara ho paana thaa
main theri raat ki kali parchhayi
woh subeh ka chehara suhhaana thaa
Logged
gumnam
Guest
«Reply #103 on: July 14, 2006, 01:58:41 PM »
Quote from: "ranjana"
very nice words gumnam ji....

din raat hamne jise duwao mein manga
usse kab milan hamara ho paana thaa
main theri raat ki kali parchhayi
woh subeh ka chehara suhhaana thaa
SHUKRIYA RANJANA JI........BAHUT KUB LIKHA AAPNE.....MIND BLOWING......

BIKHARI HUI JULFO KO GIRAHMEER BANA LE,
RAKHNA HAI MUJHE QAID TO ZANZEER BANA LE.
KAGAJ PE LAKEEREIN TO BAHUT KHEECH LI TUMNE,
AB SABKO MILA KE MERI TASVEER BANA LE.
Logged
ranjana
Guest
«Reply #104 on: July 14, 2006, 02:06:02 PM »
wah kya baat hai ji .... Usual Smile

kabhi teri nazaro mein maine apne liye pyaar dekha thaa
thaa nahi tu meri haatho ki lakeero mein shayad
bas tujhko apne tasvur mein  hi maine apne dil ak har raaz kaha thaa
aaj bhi main apne dil ko yun samjha leti hun
banaati hun teri tasveer aur dil mein chhipa leti hun
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 12
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:58:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer