main bhoola nahin

by salil2002 on October 25, 2008, 11:24:16 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2052 times)
salil2002
Guest
kaise chala aaun main laut kar phir is bahaar main
kii bhoola nahin main pichhli sardiyon kii raat abhi

bahut tanha tha main apni tanhaaiyon ke saath
magar na mayoos hua aur na roya kabhi

kii ab zakhm bhar gaya hai dard nahin hota
magar nahin mit paaya hai woh nishaan abhi

keh dena bhool jao oos beete huye pal ko hai aasaan
kaise bhoolon woh tareeqa bhi bata do kabhi

tumhe dekh kar yoon, mayoos toh hoon mein bhi 
magar kaise keh doon kii tum chale jao abhi

aa jaana bas tum tab jab yeh rooh rukhsat hogi
maana kii laash ban chuka hoon magar saans chal rahi hai abhi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
```~~~****{{{ MEIN BHOOLA NAHIN}}}***~~~```` by fakharenaveed in Shayri-E-Dard
Main Shayar Toh nahin by Shayar Anurag in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Dil maiN teri mahobbat ke vo khayalaat nahiN haiN by manu1979 in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
{ { ...nahin royee nahin hoon main.....} } by -Kashish- in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Shayad Ab Us Ko Bhoola Raha Hun Main by Rajnish.raaj in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Rajbir
Guest
«Reply #1 on: October 25, 2008, 11:26:24 AM »
Salil

Behtareen khayal Applause

Keep going Thumbs UP
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #2 on: October 25, 2008, 11:33:26 AM »
Bahoot Umda Salil Ji  Applause Applause Thumbs UP
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #3 on: October 25, 2008, 11:37:39 AM »
kaise chala aaun main laut kar phir is bahaar main
kii bhoola nahin main pichhli sardiyon kii raat abhi

bahut tanha tha main apni tanhaaiyon ke saath
magar na mayoos hua aur na roya kabhi

kii ab zakhm bhar gaya hai dard nahin hota
magar nahin mit paaya hai woh nishaan abhi

keh dena bhool jao oos beete huye pal ko hai aasaan
kaise bhoolon woh tareeqa bhi bata do kabhi

tumhe dekh kar yoon, mayoos toh hoon mein bhi 
magar kaise keh doon kii tum chale jao abhi

aa jaana bas tum tab jab yeh rooh rukhsat hogi
maana kii laash ban chuka hoon magar saans chal rahi hai abhi

 Applause Applause

Very nice bohat khoob likha hai salil bro..

Maayus na ho mere dost zakhm milte hai kabhi kabhi
Dard bhi hai aur yaadein bhi na bhool paate kabhi kabhi
Khushiyan tere kadam choome ye dua hai meri kudha se
Aayegi usse tere yaad fir ehsaas karoge uss pyaar ko ghadi ghadi..
Logged
k.shael
Guest
«Reply #4 on: October 25, 2008, 11:39:43 AM »

 Applause  Applause  Applause
BAHUT KHOOB UMDA KALAM,
JAISE DARD AUR DARD HI AANKHON AUR
DIL ME BHAR DIYA...
BY. K.SHAEL

BHULENGE NAHI KABHI HAM TUJHE AE-BEDARD
KI AAB BHI TUJHSE BEPANNAH MOHABBAT KARTE
HAI...

BHULENGE NAHI WO RAAT JO BITI TERI AAGAOSH
ME,KI AAB BHI TANHA RAATON ME USS RAAT KI
KHAWAISH KARTE HAI...
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #5 on: October 25, 2008, 11:46:42 AM »
vo mere sabr ka imtihaan leti hain
is khamoshi ko jhhothhe apnapan ka naam deti.n hain
poochhte rahte hain hum bhi mausam'e'ishq se
kyun unki musqurahaten hamari jaan leti.n hain

NM
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #6 on: October 25, 2008, 11:46:56 AM »
sirf intzaar nahi aitbaar bhi chahta hai ishq
beqaraari ke saath saath deedar chahta hai ishq
vo jo sapne me bhi kah de.n hume apna
use hi haqiqat maanta hai ishq

NM
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #7 on: October 25, 2008, 11:47:18 AM »

Gair ban ke na mile.n ham tumhe.n apanaa kar le.n
ho ijaazat to ye chhotii sii tamannaa kar le.n

tez saaso.n me.n rachii pyaar kii shahanaayii ho
phuul saa cheharaa ho mahakii huii tanahaaii ho
niichii nazare.n jo uThe.n dekh ke pardaa kar le.n

*hamane allaah se yuu.N daad-e-wafaa maa.Ngii hai
jald mil jaa_o hame.n tum ye du_aa maa.Ngii hai
haa.N jo kah do to abhii shukr kaa sajadaa kar le.n

hai mukaddar par hame.n naaz mohabbat pe yaqii.n
jiite jii tumase judaa_ii kabhii mumakin hii nahii.n
marake bhii ham na judaa ho.nge ye waadaa kar le.n

Mehendi Hasan Sahab
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #8 on: October 25, 2008, 11:47:38 AM »
Apne haatho se chehre ko chupate kyu ho.....
Mujhse sharmate ho to saamne aate kyu ho......
Tum kabhi meri tarah kar bhi do ikraa-e-wafaa....
Pyar karte ho to fir pyar chupate kyu ho.......Huh??

NM
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #9 on: October 25, 2008, 11:47:51 AM »
vo humse ishq bhi aise karte hain jaise ehsaan karte hain
jaane kab janenge vo hum to is ada ka bhi ehtaram karte hain

NM
Logged
diya786
Guest
«Reply #10 on: October 25, 2008, 01:56:07 PM »
BAHUT ACCHA LIKHA HAI SALIL JI
BAHUT JAZBAATI ALFAAZ HAIN
Applause Applause

NICE LINES JAYA DI Applause Applause

AMAZING WORDS SHALLY DEAR Applause Applause

RISHII JI MEHDI HASAN SAHAB KI NAZM SHARE KARNE KE LIYE BAHUT BAHUT SHUKRIYA notworthy
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: October 25, 2008, 02:24:01 PM »
salil shally Good work

Nice sharing Rishii ji
Logged
salil2002
Guest
«Reply #12 on: October 26, 2008, 06:25:36 AM »
thnks rajbeer bhai , pooja ji, diya, rajesh
and rishii
Logged
salil2002
Guest
«Reply #13 on: October 26, 2008, 06:28:56 AM »

 Applause Applause

Very nice bohat khoob likha hai salil bro..

Maayus na ho mere dost zakhm milte hai kabhi kabhi
Dard bhi hai aur yaadein bhi na bhool paate kabhi kabhi
Khushiyan tere kadam choome ye dua hai meri kudha se
Aayegi usse tere yaad fir ehsaas karoge uss pyaar ko ghadi ghadi..

salaam bheja maine mehboob ko hawaon k raaste
kehte hai log kii woh aandhiyon main kho gaya
Logged
salil2002
Guest
«Reply #14 on: October 26, 2008, 06:32:57 AM »

 Applause  Applause  Applause
BAHUT KHOOB UMDA KALAM,
JAISE DARD AUR DARD HI AANKHON AUR
DIL ME BHAR DIYA...
BY. K.SHAEL

BHULENGE NAHI KABHI HAM TUJHE AE-BEDARD
KI AAB BHI TUJHSE BEPANNAH MOHABBAT KARTE
HAI...

BHULENGE NAHI WO RAAT JO BITI TERI AAGAOSH
ME,KI AAB BHI TANHA RAATON ME USS RAAT KI
KHAWAISH KARTE HAI...

kar le khwahish tu ji bhar ke mere aagosh main aane kii
magar yeh na bhool kii kasak aaj bhi oos raat kii hai
jalte huye chiraag bhi shayad tha bekaraar
kii roshni toh hai bujh chuki par dhuaan aaj bhi hai
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:20:05 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.093 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer