Main is ummeed pe......(Wasim Barelvi)

by sajid_ghayel on January 06, 2009, 01:18:05 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 28497 times)
sajid_ghayel
Guest

Main is ummeed pe dooba ke tu bacha lega
Ab iske baad mera imtihaan kya lega

Yeh ek mela hain wada kisi se kya lega
Dharega din to har ek apna rasta lega

Main bujh gaya to hamesha ko bujh hi jaooga
Koi chiraag nahi hu jo phir jala lega

Kaleja chahiye dushman se dushmani ke liye
Jo be_amal hain woh badla kisi se kya lega

Hazaar tod ke aa jaoo usse rishta WASIM
Main janta hu woh jab chahega bula lega

                       -Wasim Barelwi-
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #1 on: January 06, 2009, 01:47:14 PM »

Main is ummeed pe dooba ke tu bacha lega
Ab iske baad mera imtihaan kya lega

Yeh ek mela hain wada kisi se kya lega
Dharega din to har ek apna rasta lega

Main bujh gaya to hamesha ko bujh hi jaooga
Koi chiraag nahi hu jo phir jala lega

Kaleja chahiye dushman se dushmani ke liye
Jo be_amal hain woh badla kisi se kya lega

Hazaar tod ke aa jaoo usse rishta WASIM
Main janta hu woh jab chahega bula lega

                       -Wasim Barelwi-



Bahoth Achi Sharing ki hai Waseem Sahab ki ye Ghazal Na samjne wale ke liya Wah aur samjhe uske liye Ahh hai !!

Meri Bhi koshsih qubool ho sajid bhai tawajo chahonga !!

jo bhi tha sub khuch to chin liya tone !!
bata mujhe ab aur kya saza dega !!

Eak baar zindagi deke kitni baar marega mujhe !!
sub thak gaye ab tohi bata kaun hai jo kandha dega !!

Qadeer Toopchi

From Dubai
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #2 on: January 06, 2009, 01:51:50 PM »

Bahoth Achi Sharing ki hai Waseem Sahab ki ye Ghazal Na samjne wale ke liya Wah aur samjhe uske liye Ahh hai !!

Meri Bhi koshsih qubool ho sajid bhai tawajo chahonga !!

jo bhi tha sub khuch to chin liya tone !!
bata mujhe ab aur kya saza dega !!

Eak baar zindagi deke kitni baar marega mujhe !!
sub thak gaye ab tohi bata kaun hai jo kandha dega !!

Qadeer Toopchi

From Dubai


Subhan_allah qadeer tumhari samajh aur shayri ki pakad ka jawab nahi khuda tumhare kalamo ko izzat bakshe AAMEEN
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #3 on: January 06, 2009, 02:18:43 PM »
Bahut sahi kaha hai Abdul jii ne ... Na samjhene wale ke liye Wah....aur Samjhe unske liye Ahhhh hai........ aur mere muh se Aahhhh nikla...
Very good sharing Sajid_Gayal Jii.. Applause

Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #4 on: January 06, 2009, 02:56:31 PM »
Subhan_allah qadeer tumhari samajh aur shayri ki pakad ka jawab nahi khuda tumhare kalamo ko izzat bakshe AAMEEN

Shukriya Sajid Bhai Ap Jaisoo Yaroon ki duva jo is qalam ko zabaan se aur shayari ko sahen  juda hone hi nahi deti yaar !!

Waise meri har ghazal jo mai ne aaj tak kissi bhi site per post nahi ki inshallah ap jald hi sun sakenge kissi taab ya fir mahefil-a-mushaira ke zariya !!khuda hafiz allah apko asardaar kalamoo se nawaze !! sajid bhai jahan tak mera qayal hai shahayari hi eak aisi chiz hai jisse admi har wo sha-a- ko jhuka sakta aur usse sharminda kar sakta hai !! Maine meri eak kitaab me insaan ko insaniyath ke amane samne kar diya hai !! insallah zaroor eak din ap log padoge !!

Qadeer Toopchi
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #5 on: January 06, 2009, 04:07:28 PM »
Bahut sahi kaha hai Abdul jii ne ... Na samjhene wale ke liye Wah....aur Samjhe unske liye Ahhhh hai........ aur mere muh se Aahhhh nikla...
Very good sharing Sajid_Gayal Jii.. Applause


Bohat shukriyaan Sonia
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #6 on: January 06, 2009, 04:13:28 PM »
Sajid bro,

Very nice sharing ! Applause


Qadeer,

Aap ne bahut he gehre khayal pesh kiye hain !
Daad kabool kijiye Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: January 06, 2009, 04:25:19 PM »
wah kaya baat hai, bahoot achi kavita apne share ki hai yah do line to kamaal ki hai:

Main is ummeed pe dooba ke tu bacha lega
Ab iske baad mera imtihaan kya lega
Logged
gurinder
Guest
«Reply #8 on: January 06, 2009, 04:31:01 PM »
bahut hi khoobsurat likha hai
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: January 06, 2009, 09:33:45 PM »
Waah Bhai Waah Kya Khoob Likha Hai Tumne,.
Nice One,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: January 06, 2009, 09:48:29 PM »

Main is ummeed pe dooba ke tu bacha lega
Ab iske baad mera imtihaan kya lega

Yeh ek mela hain wada kisi se kya lega
Dharega din to har ek apna rasta lega

Main bujh gaya to hamesha ko bujh hi jaooga
Koi chiraag nahi hu jo phir jala lega

Kaleja chahiye dushman se dushmani ke liye
Jo be_amal hain woh badla kisi se kya lega

Hazaar tod ke aa jaoo usse rishta WASIM
Main janta hu woh jab chahega bula lega

                       -Wasim Barelwi-


Sorry Doston Main Is Kabeel Nahi ke In Bade Shayaron Ki Shayaari Ke Aage Kuch kahoon,.

Bas Ek Choti Koshish Ki Hai, Buraa Na Maan na,.


Wo Sahaara Nahi, Jo Tujhe Bachaa Lega,.
Wo Farebi Hai, Tujhe Har Baar Dagaa Dega,.

Uski Hasrat Mein Khud Ke Charaag Na Bujha,.
Tu Bujhega, To Koi Aur Charaag Wo Jalaa Lega,.

Use Kami Nahi, Chahne Waalon Ki "Azeem,.
Tu, Jaayega, To Kisi Aur Ko Wo Apna Banaa Lega,.

Ek Tu Hi Hai, Jo Tanhaai Mein Mashroof Rehta Hai,.
Wo To Roshni Hai, Jahaan Bhi Jaayega, Mehfilein Sajaa Lega,.

Sahi Kaha Tune,.
Jitna Bhi Bhulega, Dil Se Wo Niklega Nahi,.
Uski Adaa Hi Aisi Hai, Ke Bhoole Hue Ko Phirse Bulaa Lega,.

_________________________-Jaanasheen-










Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #11 on: January 06, 2009, 10:24:41 PM »

Main is ummeed pe dooba ke tu bacha lega
Ab iske baad mera imtihaan kya lega

Yeh ek mela hain wada kisi se kya lega
Dharega din to har ek apna rasta lega

Main bujh gaya to hamesha ko bujh hi jaooga
Koi chiraag nahi hu jo phir jala lega

Kaleja chahiye dushman se dushmani ke liye
Jo be_amal hain woh badla kisi se kya lega

Hazaar tod ke aa jaoo usse rishta WASIM
Main janta hu woh jab chahega bula lega

                       -Wasim Barelwi-

Nice sharing Ghayel Ji
Logged
angel4u
Guest
«Reply #12 on: January 07, 2009, 02:52:26 AM »
Nice one
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #13 on: January 07, 2009, 04:12:35 AM »
Sorry Doston Main Is Kabeel Nahi ke In Bade Shayaron Ki Shayaari Ke Aage Kuch kahoon,.

Bas Ek Choti Koshish Ki Hai, Buraa Na Maan na,.


Wo Sahaara Nahi, Jo Tujhe Bachaa Lega,.
Wo Farebi Hai, Tujhe Har Baar Dagaa Dega,.

Uski Hasrat Mein Khud Ke Charaag Na Bujha,.
Tu Bujhega, To Koi Aur Charaag Wo Jalaa Lega,.

Use Kami Nahi, Chahne Waalon Ki "Azeem,.
Tu, Jaayega, To Kisi Aur Ko Wo Apna Banaa Lega,.

Ek Tu Hi Hai, Jo Tanhaai Mein Mashroof Rehta Hai,.
Wo To Roshni Hai, Jahaan Bhi Jaayega, Mehfilein Sajaa Lega,.

Sahi Kaha Tune,.
Jitna Bhi Bhulega, Dil Se Wo Niklega Nahi,.
Uski Adaa Hi Aisi Hai, Ke Bhoole Hue Ko Phirse Bulaa Lega,.

_________________________-Jaanasheen-


Aap ki koshish achchi hai Jaanasheen Bhai
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #14 on: January 07, 2009, 04:50:55 AM »
Sorry Doston Main Is Kabeel Nahi ke In Bade Shayaron Ki Shayaari Ke Aage Kuch kahoon,.

Bas Ek Choti Koshish Ki Hai, Buraa Na Maan na,.


Wo Sahaara Nahi, Jo Tujhe Bachaa Lega,.
Wo Farebi Hai, Tujhe Har Baar Dagaa Dega,.

Uski Hasrat Mein Khud Ke Charaag Na Bujha,.
Tu Bujhega, To Koi Aur Charaag Wo Jalaa Lega,.

Use Kami Nahi, Chahne Waalon Ki "Azeem,.
Tu, Jaayega, To Kisi Aur Ko Wo Apna Banaa Lega,.

Ek Tu Hi Hai, Jo Tanhaai Mein Mashroof Rehta Hai,.
Wo To Roshni Hai, Jahaan Bhi Jaayega, Mehfilein Sajaa Lega,.

Sahi Kaha Tune,.
Jitna Bhi Bhulega, Dil Se Wo Niklega Nahi,.
Uski Adaa Hi Aisi Hai, Ke Bhoole Hue Ko Phirse Bulaa Lega,.

_________________________-Jaanasheen-












Wah Wah Kya Kahene Azeem Bhai !! Subhan Allah Dil khush kardiya apne bahoth qoob janab !!

Qadeer Toopchi
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:34:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer