main jakhmo pe marham

by raahgir on April 04, 2009, 04:48:21 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2378 times)
raahgir
Guest
Main jakhmo pe marham lagana nahi chahta
Wo bewafa hai ye baat bhulana nahi chahta

Phoolo se na rahi ab mohhabbat mujhko
Main kaanto se daaman chhudana nahi

Gar khula chhod du jakbmo ko toh nijaat mil jaye
Per main sine se is dard ko mitana nahi chahta

Meri aankhon me ab bhi basi hai surat-e- yaar ki
Main sisak toh sakta hu per ashk bahana nahi chahta

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Marham by Sonu in Shayeri for Dard -e- Bewafai
marham by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
marham by azad_nazim in Shairi - E - Zindagi
Mere Jakhmo ka ilaaj.. by Kohinoor in Shayri-E-Dard
jakhmo pe marham lagau.n to kaise..............................ghanshyam yadav by Ghanshyam Yadav in Shayeri for Dard -e- Bewafai
deepika_divya
Guest
«Reply #1 on: April 04, 2009, 04:56:36 AM »
Wah wah bahoot khoob likha hai raahgir Ji.. keep writing here.......
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: April 04, 2009, 06:34:13 AM »
Main jakhmo pe marham lagana nahi chahta
Wo bewafa hai ye baat bhulana nahi chahta

Phoolo se na rahi ab mohhabbat mujhko
Main kaanto se daaman chhudana nahi

Gar khula chhod du jakbmo ko toh nijaat mil jaye
Per main sine se is dard ko mitana nahi chahta

Meri aankhon me ab bhi basi hai surat-e- yaar ki
Main sisak toh sakta hu per ashk bahana nahi chahta



Bohot hi Khoob Raahgir Ji...bohot achcha likha hai aapne  icon_thumleft
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #3 on: April 04, 2009, 06:46:00 AM »
Arey wah kya khoob likha hain Raahgir....Very good
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: April 04, 2009, 06:53:50 AM »
Main jakhmo pe marham lagana nahi chahta
Wo bewafa hai ye baat bhulana nahi chahta

Phoolo se na rahi ab mohhabbat mujhko
Main kaanto se daaman chhudana nahi

Gar khula chhod du jakbmo ko toh nijaat mil jaye
Per main sine se is dard ko mitana nahi chahta

Meri aankhon me ab bhi basi hai surat-e- yaar ki
Main sisak toh sakta hu per ashk bahana nahi chahta



Kuch aapki peshkash pe rakh ke jawab dene ki koshish ki hai, Raahgir Ji:


Zakhmon Pe Marham Laga Kyun Nahin Lete
Naye Silsile Dil Ke, Bana Kyun Nahin Lete

Kaanton Pe Aati Nahin Baharain, Suna Hai
Naya Gulshan Aangan Main Saja Kyun Nahin Lete

Aur Bhi Hain Manzilain, Aur Bhi Hain Raaste
Nayi Raahon Pe Qadam Badha Kyun Nahin Lete

Beh Jaane Do Ashkon Ko, Roko Na Inhe Tum
Naye Khwaab Phir Aankhon Main Basa Kyun Nahin Lete



Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #5 on: April 04, 2009, 06:57:57 AM »
wah wah bahoot Khoob Talat Di
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #6 on: April 04, 2009, 07:15:56 AM »
Bohat khoob kaha Talat, jawab dene ko dil to ho raha hain par pehla mauka to Raahgir ka hain....
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: April 04, 2009, 07:20:54 AM »
Thanks Sophi...Shukriya Sajid Ji..Inshallah aapki kisi ghazal pe likhne ki koshish karenge.... Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #8 on: April 04, 2009, 07:31:38 AM »
Bahut khoob Raahgir ji and nice reply Talat...  icon_flower
Logged
raahgir
Guest
«Reply #9 on: April 04, 2009, 08:33:11 AM »

Kuch aapki peshkash pe rakh ke jawab dene ki koshish ki hai, Raahgir Ji:


Zakhmon Pe Marham Laga Kyun Nahin Lete
Naye Silsile Dil Ke, Bana Kyun Nahin Lete

Kaanton Pe Aati Nahin Baharain, Suna Hai
Naya Gulshan Aangan Main Saja Kyun Nahin Lete

Aur Bhi Hain Manzilain, Aur Bhi Hain Raaste
Nayi Raahon Pe Qadam Badha Kyun Nahin Lete

Beh Jaane Do Ashkon Ko, Roko Na Inhe Tum
Naye Khwaab Phir Aankhon Main Basa Kyun Nahin Lete



uski yaad ko dil se bhulaoo kaise
jalaa ke aashiyan ab ghar banau kaise
nahi bacha, koi hissa dil ka, jahan jakhm na ho
nayi jagah phir isme jakham ki banau kaise

Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 09:45:50 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer