----- /// Main kya kahun ///--- klaskar

by klaskar on May 05, 2010, 12:03:43 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2499 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
kuch aisa asar tha uski aankhon me ki KYA KAHUN,
un nasheeli aankhon me kyu main kho gaya
KYA KAHUN,
izhaar kabhi kiya hi nahi usne apne hothon se,
main jaane kya soch uski raah takta raha
KYA KAHUN,



kabhi usne apna haal-e-dil mujhse nahi kaha,
par main uske aankhon k bharose baitha raha,
khata uski nahi ye asar uski aankhon ka tha,
jo main unpe anjaana sa aetbaar karta raha,

main us anjaane se aetbaar ke baare me
KYA KAHUN,
kaisa aetbaar tha us aetbaar pe mujhe
KYA KAHUN,
mere armaano ka gala is qadar ghonta mere aetbaar ne,
kis tarah tadap k dum toda mere armaano ne
KYA KAHUN,



mulaqaaton ka wo silsila kuch is tarah chalta raha,
har us mulaqaat me usne mujhse bas itna kaha,
chhodungi na main tera saath marte dum tak,
aur main un jhoote waado pe aetbaar karta raha,

main uske un jhoote waadon ke baare me
KYA KAHUN,
main apne un tute khwaabon ke baare me
KYA KAHUN,
socha tha sheeshe ka mahal khada karenge hum ek din,
ab un tute kaanch ke tukdo ke baare me
KYA KAHUN,



wo zaalim nazar mujhe har lamha yaad aata raha,
us nazar ka iqraar mujhe har pal yaad aata raha,
maine to har baar apne dil ka haal use bataya tha,
uska har baar hasi me uda dena mujhe yaad aata raha,

main uski us qaatil hasi ke baare me
KYA KAHUN,
main uski us zaalim nazar ke baare me
KYA KAHUN,
main to uski aankhon pe bharosa kar baitha raha,
un aankhon ne mujhe kaise loota ab main
KYA KAHUN,



barson se main jiska raah yun takta raha,
jiske liye main apne dil ko samjhaaata raha,
aaj mujhe chhod wo jaane kyun dur chali gayi,
jiske liye main bas intzaar yun karta raha,

kal tak jo mere dil me  rehti thi uske baare me
KYA KAHUN,
ab uski yaadein kyun meri aankhon se behte hain
KYA KAHUN,
kuch anjaana sa bandhan hai usse ab bhi jo baandhe hai mujhe,
us anjaane andekhe bandhan ke baare me ab main
KYA KAHUN...


*****HRIDAY*****
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kaya kahun ki kaya baat hain in baaton main by siddharth gautam in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kaya kahun ki kaya baat hain in baaton main by siddharth gautam in Shayri for Khumar -e- Ishq
dost kahun ya pyar kahun by carajeshsingh in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
kya kahun by arifuddin in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kaise kahun ke main... by daljeet_faqeer in Shayri for Khumar -e- Ishq
neelgold
Guest
«Reply #1 on: May 05, 2010, 12:23:31 AM »
Wah wah !!!!!!!!!!!!!

Bhut khoob kapil !!!!!!!!!!!!!
Very gud ANDAZ>>>>jst beautiful pheskash

Main uska rasta dekhti rehi ki "Kya Kahun"
Main uske Yakin pe yakin karti rehi ki " kya kahun"
Ana tha usse meri gali paar voh koi aur hi Raah chaal pada
Meri Ankhain aaj taak uska rasta takti rehi ki " kya kahun"

***Neel***

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: May 05, 2010, 12:45:55 AM »
bahut bahut shukriya Neel... main tahe dil se aapka shukriya adaa karta hoon... aapne apne likhe in panktiyon se mere is kavita ka samman aur bhi badha diya.... bahut khoob likha hai aapne ...


ye chaar panktiyaan kuch aisa asar kar gayi,
aapke bina kahe hi humse har baat keh gayi,
ab aur kehne sunne me rakha hi kya hai,
bina kahe hi ye saare dard bayaan kar gayi...


Wah wah !!!!!!!!!!!!!

Bhut khoob kapil !!!!!!!!!!!!!
Very gud ANDAZ>>>>jst beautiful pheskash

Main uska rasta dekhti rehi ki "Kya Kahun"
Main uske Yakin pe yakin karti rehi ki " kya kahun"
Ana tha usse meri gali paar voh koi aur hi Raah chaal pada
Meri Ankhain aaj taak uska rasta takti rehi ki " kya kahun"

***Neel***


Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #3 on: May 05, 2010, 05:55:26 AM »
SUBHANALLAH.. Usual Smile Usual Smile

BAHUT BAHUT KHUB.. Applause Applause

DIL ME GHAR KAR JANE WALI GHAZAL LIKHI HAI AAPNE.,
AANKHO KO NAMM KARNE WALI GHAZAL LIKHI HAI AAPNE..,
ISH GHAZAL KE BANANE WALE(KAPIL JI) KI TAREEF ME KYA KAHOON.,
APNE KISSA-E-MOHABBAT KI KYA KHOOB GHAZAL LIKHI HAI AAPNE..,

aise hi likhte rahiyega Kapil sahab.. icon_salut icon_salut
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #4 on: May 05, 2010, 09:25:39 AM »
Wah wah Bahot khoob Kapil ji, badi achhi nazm likhi hai aapne. Sab kuchh poori detail mein bataaya hai. Bahot khoob, shandaar.
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #5 on: May 05, 2010, 01:20:31 PM »
bahut bahut shukriya Touhid ji... bahut jyaada taarif kar di aapne mere is kavita ki...bahut khoobsurat andaaz me aapne apne sher ke zariye mere kavita ki sundardta badha di hai... aapka comment padh k dil baag baag ho gaya... bahut bahut shukriya dost....


fasana hai mere dost ye meri mohabbat ka,
asar hai ye bas mere tute khwaabon ka,
humein kya pata ghazal kise kehte hain,
asar hai ye bas uski kuch yaadon ka...


SUBHANALLAH.. Usual Smile Usual Smile

BAHUT BAHUT KHUB.. Applause Applause

DIL ME GHAR KAR JANE WALI GHAZAL LIKHI HAI AAPNE.,
AANKHO KO NAMM KARNE WALI GHAZAL LIKHI HAI AAPNE..,
ISH GHAZAL KE BANANE WALE(KAPIL JI) KI TAREEF ME KYA KAHOON.,
APNE KISSA-E-MOHABBAT KI KYA KHOOB GHAZAL LIKHI HAI AAPNE..,

aise hi likhte rahiyega Kapil sahab.. icon_salut icon_salut
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #6 on: May 05, 2010, 02:28:10 PM »
bahut bahut shukriya Riyaz ji... kavita likhte likhte mujhe pata hi nahi chala aur bahut lambi ho gayi... aapne ise apna waqt diya jiske liye main shukra guzar hoon...bahut bahut shukriya...!!!!

Wah wah Bahot khoob Kapil ji, badi achhi nazm likhi hai aapne. Sab kuchh poori detail mein bataaya hai. Bahot khoob, shandaar.
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #7 on: May 05, 2010, 04:05:30 PM »
wah! wah! bohat bohat khoob klaskar ji. bohat hi khoobsoorati se likha hai aapne...
bohat khoob.. Applause Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #8 on: May 05, 2010, 04:12:33 PM »
bahut bahut shukriya Saurabh ji...!!!

wah! wah! bohat bohat khoob klaskar ji. bohat hi khoobsoorati se likha hai aapne...
bohat khoob.. Applause Applause Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #9 on: May 05, 2010, 05:31:59 PM »
Applause Applause Kya baat hai Kapil dost..bahaut khoob!
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #10 on: May 05, 2010, 09:47:22 PM »
bahut bahut shukriya bhai...!!!

Applause Applause Kya baat hai Kapil dost..bahaut khoob!
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #11 on: May 05, 2010, 10:07:43 PM »
Wow Kapil ji,Neel ji,Touhid ji.kya kahun aap logo ke gazal ke baare mein.very touching ,lovely mindblowing creation.excellent.keep it up Both Thumbs Up Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #12 on: May 05, 2010, 11:12:33 PM »
bahut bahut shukriya Madhu ji...!!!

Wow Kapil ji,Neel ji,Touhid ji.kya kahun aap logo ke gazal ke baare mein.very touching ,lovely mindblowing creation.excellent.keep it up Both Thumbs Up Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #13 on: May 06, 2010, 05:01:16 PM »
KAISA AITBAAR THA USS AITBAAR PER KYA KAHUN....BAHUT KHOOB KLASKAR JI Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #14 on: May 06, 2010, 05:09:59 PM »
bahut bahut shukriya KA ji.... main aapka shukraguzaar hoon jo aapne meri is kavita ko waqt diya aur pasand kiya ... shukriya ...!!!

KAISA AITBAAR THA USS AITBAAR PER KYA KAHUN....BAHUT KHOOB KLASKAR JI Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:17:23 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer