kuch naya nahi soojh raha aajkal-ek puraani kavita ki peshkush kar raha hu.meri ek bua ne ek atyant prernadaayak kavita likhi thee-jisme ek pankti thee--
'sneh aur samta se jeeta jaata mun
hriday marusthal ko bana lo chaman'
Inhi do panktiyon ko lekar ek tukbandi likhi thee..pesh he..
'sneh aur samta se jeeta jaata mun
hriday marusthal ko bana lo chaman'
seekh tumhaari such hogi bua
pur mujhko to nahi sadha
yeh kalyug he bholi bua
yahan chamatkar he yada-kada
kehne to tha woh ''satyug''
jaadugariyon ki nagri thee
snehil sparsh raam ka paakar
jub ahalya patthar se ubari thee
ya fir jaise meera vish se anjaan
grehan kya to amritpaan
pur kalyug mein
satya adig aur satya atal
satya pragaadh aur satya prabal
jaadu-tone sub nishful
kub khilte cactus pur
phool aur ful
bua meri tum ho bholi
ya karti ho hansi thitholi
bholi kehna meri naadani
bua meri badi sayaani
tum laayi gulaab khila kilaaya
aur main paudha jaanch na paaya
tum shaayad isliye itarti
aur sub pur kasti ho fabti!
bua-uphas nahi koi acchi baat
jo pehle se he aaahat
unke bhee samjho jazbaat..
kaanta jub yeh mun mein tanta he
dukh aisa-jo naa baaten thumta he
paudha apna-na jud se kaate banta he
kyon smaran karaati hume galat paath
hum rakhte samta -takte-'baat'
sneh diya humne apaar
samta bhee rakhi beshumaar
bagiya mein fir bhee nahi bahar
mut vichlit ho dukh se unke
jo kehte maali khud ko bekaar
seench na paaya main bhee bagiya
main maali bhee tha honhaar!!
Prateek
Bahut achha, aur bahut sachha..
"sneh diya humne apaar
samta bhee rakhi beshumaar
bagiya mein fir bhee nahi bahar
mut vichlit ho dukh se unke
jo kehte maali khud ko bekaar
seench na paaya main bhee bagiya
main maali bhee tha honhaar!!"
In kuch panktiyon mein bahut gehri baat keh di aapne...
Wonderful job Prateek ji...