Maine ne kisi...

by isha_verma7 on February 19, 2006, 09:30:27 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 2726 times)
isha_verma7
Guest
Maine ne kisi ki yaad main rona hee chod diya
Apni Zindagi ko talaash karna hee chod diya

Sab beeti hui baatein bhula di maine
Ab kiisi ko dil main basana chod diya

Kaanton se bhar dete hain log aanchal
maine aangan main Phool khilana hee chod diya

Kabhi na maangen ge kisi se bheek Mohabbat ki
Iss liye maine na Pyaar karna hi chod diya
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khuda kisi ko kisi pe fida na kare by urs4evasomdev in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
mahobat kisi kisi ko milti hai by jochahohojayein in Shayri-E-Dard
Jab seh maine.. by honeyrose in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dil kya kare...jab kisi ko kisi se pyar ho jaaye. by bauljee in Shayri-E-Dard
khodiya maine by rubyali in Shayri for Khumar -e- Ishq
Aryaan
Guest
«Reply #1 on: February 20, 2006, 12:26:47 AM »
Excellent Isha....Bohat khoob..
Logged
BeNam
Guest
«Reply #2 on: February 20, 2006, 12:33:13 AM »
Bahot hi Hurt karane wali shayari likhi hai!

Dard jab had se par ho jaye,
Dil chah kar kuchh na paye,
Zakhm her dil ka nasur ban jaye,
Ek aah nikalati hai sine se,
Jala deti hai zindagi ko,
her ashiyana-e-mahobat ko!

--- BENAM ---
Kuch is tarah tadape hain hum,
Suna nahi paye dil main tha jo gum!
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #3 on: February 20, 2006, 04:39:43 AM »
na wafa ker sake na saza de sake...........
hum hai itne bedard zakham hi diye tujhe.........
tum fir bhi hase uff tak na kaha .........
hum zulm kerte rahe tum sehte rahe..........
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #4 on: February 20, 2006, 06:51:27 AM »
thanks for appreciation Aryaan!!

Benam yaar, log bhi toh hurt karta hai, w/out any reason....(Idiot, jerk sad5,pardon my lang.)

waise bahut achaa likha aap dono na, keep it up guyz!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: February 20, 2006, 07:31:59 AM »
bahoot khoob Isha, BeNam and Tushar
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #6 on: February 20, 2006, 12:52:07 PM »

 Bhoolna Itna Asaan nahi
keh main tujhe bhool jaaun
Aaj phir dil bohat ghabraya
Main ne usko yeh samjhaya
Keh bhoolna itna asaan nahi
Tu agar dil ki dhadken hota
Tau mera dil dhadkna bhool jata
Tu ager saanson mein jee raha hota
Tau saanson ki doar tau hoti hi kachi hai
Tu agar khayaalon ka markaz hota
Tau main hosh-o- khird se baigana hota
Magar afsos
Tu tau meri rooh ka hamzaad hai
Us mein azal se le kar abd tak abaad hai
Aur Rooh kabhi fana hoti nahi
Kabhi mitti mein ja kar soti nahi
Kabhi dil ki tarha roti nahi
Saans ki doar ki tarha kachi hoti nahi
Jab rooh se talluq toot sakta nahi
Aur Khuda bhi usko bhool sakta nahi
Tau aye qaraar-e- dil
Aaj tu itna jaan le keh
Bhoolna itna aasaan tau nahi....

Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: February 20, 2006, 05:22:53 PM »
wah kaya baat hai Aryaan ji...bahoot khoob!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #8 on: February 20, 2006, 05:33:44 PM »
Bohat shukriya Pooja....
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #9 on: February 20, 2006, 05:40:47 PM »
wah wah  Isha...........   Benam........ Aryan...........  Tushar.....  sabhi  logon ne......bahot  accha likha.......
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #10 on: February 20, 2006, 07:54:05 PM »
wah bahut achaa Aryaan as usual.......good work

and thanks for appreciation guyz!!!!!!!!
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #11 on: February 21, 2006, 06:46:38 AM »
na gum gaya mera na raha mera aab kahi namonishan.......
sulag rahi hai zami meri aab darakth bh sabhi rakh hue.......
ranjishe mahubbat me na jane hum kitne barbadd hue.........
wo kerte gaye bewafai humse wo bewafa hoker bhi aabad hue..........
Logged
sanya310
Guest
«Reply #12 on: February 21, 2006, 10:01:52 AM »
boht achhe isha, aryaan n everyone else
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #13 on: February 21, 2006, 10:09:18 AM »
Quote from: "isha_verma7"
Maine ne kisi ki yaad main rona hee chod diya
Apni Zindagi ko talaash karna hee chod diya

Sab beeti hui baatein bhula di maine
Ab kiisi ko dil main basana chod diya

Kaanton se bhar dete hain log aanchal
maine aangan main Phool khilana hee chod diya

Kabhi na maangen ge kisi se bheek Mohabbat ki
Iss liye maine na Pyaar karna hi chod diya



Bahut hi khoob likha hai Isha ...
Keep writing ...
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #14 on: February 21, 2006, 10:11:53 AM »
Good job everyone here ...


Kal phir yahi sama hoga,
Hum mein se kaun na jaane kaha hoga,
Murjhaaye phool to mil jayenge kitabo mein,
Par bichhde dosto ka shayad hi koi ataa pata hoga ...
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:15:43 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer