majburi

by ranjana on May 21, 2006, 02:28:23 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 9897 times)
ranjana
Guest
har pal, har ghari jindagi fislati si lagti hai,

kabhi tum ho bahut pass, kabhi bahut duri si lagti hai,

jindagi is traha se beet rahi hai ki, ek majburi si lagti hai.......
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Chahat Nahi Hai Majburi by paro_ka_deva_devdas in Shayri-E-Dard
ek khauf...ek majburi.... by sulmuh in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
Ye kya majburi hai by Cma in Songs & Lyrics
MAJBURI by khilona in Shayri-E-Dard
Majburi by Dante in Friendship Poetry in Punjabi
Pankhuri2
Guest
«Reply #1 on: May 21, 2006, 05:09:43 AM »
wah kaya baat hai,,...

zindagi farzo mai dab kar rah gai
kuch rishto mai simat kar rah gai
man ka panchi kab ho gaya kaid
jeena ek majboori ban kar rah gai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #2 on: May 21, 2006, 11:10:17 AM »
Quote from: "Pankhuri2"
wah kaya baat hai,,...

zindagi farzo mai dab kar rah gai
kuch rishto mai simat kar rah gai
man ka panchi kab ho gaya kaid
jeena ek majboori ban kar rah gai


shukriya Pankhuri............khub likha aapne...


khud ko talash karte hai ham
aaj apni hi nighaao mein
jindagi jo thee kabhi meri
aaj hai aur kisi ki raaho mein
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: May 22, 2006, 01:10:49 PM »
Nice One Ranjana And Pankhuri Ji,..

Ek Hume Awara Kehna Koi Bada Ilzaam Nahi,..
Duniya Wale Dil Walon Ko Aur Bahoot Kuch Kehte Hain,..

Logged
nikki
Guest
«Reply #4 on: May 22, 2006, 03:22:08 PM »
too gud Ranjana,Pankhuri n Jaanasheen ji...

zindagi se sabhi khoaab hawa ho gaye hain
kabhi koi hamare gum ka ilaaj hua karta tha
abb hum kissi ke gum ki dawa ho gaye hain
hum haste hain to log samajhte hain ke hum khush hain
magar dosto hum to kissi ko chahne ke zurm ki saza ho gaye hain
Logged
manu1979
Guest
«Reply #5 on: May 22, 2006, 04:25:55 PM »
Quote from: "ranjana"


har pal, har ghari jindagi fislati si lagti hai,

kabhi tum ho bahut pass, kabhi bahut duri si lagti hai,

jindagi is traha se beet rahi hai ki, ek majburi si lagti hai.......

bahut khub likha hai ranjana ji aap ne,aise hi likhte rahiye
aur aage likhte hai ise

teri furkat mai meri hasti mujhe  adhuri si lagti hai

tu hai saamil in fizaao mai sanse kastoori si lagti hai

hai ye teri hi bepanah mahobbat ka asar sanam

Khwaayishe ankahi aankho ki puri si lagati hai

regards
take care
manu
Logged
ranjana
Guest
«Reply #6 on: May 23, 2006, 02:07:19 AM »
bahut khub Pankhuri, Nikki  Jansheen Bhai and Manu........................

jindagi ek payas hai toh yun hi sahi
maine is payas ko har nazar mein talsaha hai
lakh daman bacha ke chale koi
majburi ko jeene ka kaantaa har kisi ko chub hi jaata hai
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: May 23, 2006, 08:13:40 AM »
Quote from: "ranjana"
bahut khub Pankhuri, Nikki  Jansheen Bhai and Manu........................

jindagi ek payas hai toh yun hi sahi
maine is payas ko har nazar mein talsaha hai
lakh daman bacha ke chale koi
majburi ko jeene ka kaantaa har kisi ko chub hi jaata hai

Shukriya Ranjana,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: May 23, 2006, 08:17:45 AM »
Mohabbat Mein Meri Tarah Jo Lootgaya Ho,..
Mere Saath Wo Bhi Gale Mil Ke Role,..

Dukhe Dil To Meri Tarah Chup Rahe Wo,..
Kisise Kabhi Haal-e-Dil Na Kahe Wo,..

Kaleje Ka Ye Daag Ashkon Se Dhole Wo,..
Mere Saat Wo Bhi Gale Milke Role,..

Mohabbat Mein Meri Tarah Jo Lootgaya Ho,..
Mere saath Wo Bhi Gale Mil ke Role,..

___________________________________
Logged
manu1979
Guest
hi
«Reply #9 on: May 23, 2006, 02:06:55 PM »
Quote from: "Jaanasheen"
Mohabbat Mein Meri Tarah Jo Lootgaya Ho,..
Mere Saath Wo Bhi Gale Mil Ke Role,..

Dukhe Dil To Meri Tarah Chup Rahe Wo,..
Kisise Kabhi Haal-e-Dil Na Kahe Wo,..

Kaleje Ka Ye Daag Ashkon Se Dhole Wo,..
Mere Saat Wo Bhi Gale Milke Role,..

Mohabbat Mein Meri Tarah Jo Lootgaya Ho,..
Mere saath Wo Bhi Gale Mil ke Role,..

___________________________________



janashi ji bahut hi umda kalaam hai aap ka ye aap ka jawaab

Daag-e-dil mahobbat ke ro ro  kar bhi na mita sake
Jahan se jazben wafaa ke chah kar bhi na mita sake

Jigar ko til til jala kar  kiye they  raastey roshan unke
Bane vo rahnuma mere to aag dil ki bhi na bujha sake
Logged
ranjana
Guest
«Reply #10 on: May 24, 2006, 08:25:16 AM »
bahut khub Manu............. Usual Smile tumahri lines bahut hi khubsurat hain.........
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: May 24, 2006, 10:00:34 AM »
Quote from: "manu1979"
Quote from: "Jaanasheen"
Mohabbat Mein Meri Tarah Jo Lootgaya Ho,..
Mere Saath Wo Bhi Gale Mil Ke Role,..

Dukhe Dil To Meri Tarah Chup Rahe Wo,..
Kisise Kabhi Haal-e-Dil Na Kahe Wo,..

Kaleje Ka Ye Daag Ashkon Se Dhole Wo,..
Mere Saat Wo Bhi Gale Milke Role,..

Mohabbat Mein Meri Tarah Jo Lootgaya Ho,..
Mere saath Wo Bhi Gale Mil ke Role,..

___________________________________



janashi ji bahut hi umda kalaam hai aap ka ye aap ka jawaab

Daag-e-dil mahobbat ke ro ro  kar bhi na mita sake
Jahan se jazben wafaa ke chah kar bhi na mita sake

Jigar ko til til jala kar  kiye they  raastey roshan unke
Bane vo rahnuma mere to aag dil ki bhi na bujha sake


Nice One Manu Ji Nice One Keep It Up,.Aur shukriya..

Mit Jaate  Agar Daag-e-Dil Kisi Tarah To Phir Se Mehfilein Roshan Hoti,..
Daag Dil Ke Kabhi Mit Te Nahi Hain Jaanasheen In Nafraton Ke Zamaane Mein,..

Roshan Kiye The Humne Bhi Unke Raste Apna Ghar Jalakar Doston,..
Mili Unhe Sab Khushian Humse Magar Phir Koi Charaag Na Jala Hamare Ashiaane Mein,..

Rehnuma Koun Bante Hain Is Bedard Duniya Mein Jaanasheen,..
Ke Sab Ko Yahan Mazaa Ata Hai Hamare Dil Ko Jalaane Mein,..

Bante Dekha Humne Lakhon Ko Humdard Apna Jaanasheen,..
Lekin Sabne Bhi Lagaya Zor Hamari Hasti Ko Mitaane Mein,..

____________________-Azeem-____________________
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #12 on: May 24, 2006, 03:56:11 PM »
beautiful.... :D
Logged
ranjana
Guest
«Reply #13 on: May 25, 2006, 04:16:16 AM »
bahut khub bhai.............

dil ko fir kuch yun samjhana padta hai
deewaro ko ghar batalana padta hai

tum garro.n ki baat karo main sunti rahu
jeevan ko asie bhi beetaana padta hai

pinjare hi pinjare hain chaaro taraf
pinjaro mein hi mann ko behalana padta hai

ho sakata hai khat na likha ho tune hi
yeh keh  bhi dil ko samjhana padta hai.....n/m
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: May 25, 2006, 07:44:51 AM »
Shukriya Meena Ji And Ranjana Sis,..
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 10:16:18 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer