- Man Nahin Karta -

by Meena on July 07, 2005, 05:43:34 PM
Pages: [1] 2 3 4
Print
Author  (Read 4406 times)
Meena
Guest
Dosto, phir se ek kuch jazbaat pesh karna chahongi:

Marham ke nam pe log namak laga kar chal diye,
Kisi aur ko aab hal-e-dil sunane ka man nahin karta!

Nazuk phoolon ne is kadar gehre ghav diye hume,
Ke kanton se aab apna daman bachane ka man nahin karta!

Mana gum ne gera hai hume, tanhayio ka pera hai door tak,
Par ankhon me sukke samundar ko aab bahane ka man nahin karta!

Khamosh rahi mai aur Khuda bhi kuch na bola,
Kafir ban gaye hum, dua ke liye aab haath uthane ka man nahin karta!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Nahin karta ........... !!!! by Talat in Ghazals
*~*~*JeE kArTa HaI*~*~* by ghayal_shayar in Shayri for Khumar -e- Ishq
Zarf ka koi naam nahin , Aansoo ka koi daam nahin by javedarshad in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Nahin hai mujhe hosh mera Lekin mein madhosh nahin by Ricky in Miscellaneous Shayri « 1 2 3  All »
dil nahin karta by Tuhina in Shairi - E - Zindagi
isha_verma7
Guest
«Reply #1 on: July 07, 2005, 05:58:34 PM »
wah wah wah very nice meena........too good....
" Nazuk phoolon ne is kadar gehre ghav diye hume, Ke kanton se aab apna daman bachane ka man nahin karta" kya lines hai happy9
Logged
Meena
Guest
«Reply #2 on: July 07, 2005, 06:01:38 PM »
thank u ishu sis!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

 :D
Logged
nikki
Guest
«Reply #3 on: July 07, 2005, 06:22:07 PM »
WOWWWWWWWWWW Meena sis kya baat hai..........bahut bahut acha likha hai aapne.

yeh jo haalat bayan kiye hain aapne..
bilkul sach hai, jo bhi hakikat aapne batayi hai

magar yeh har koi nahi samajhta
samjhega wahi jisne dil par chot khayi hai
Logged
dolly
Guest
«Reply #4 on: July 07, 2005, 06:57:17 PM »
Bahut bahut khoooooobbbb Meenaaa siiissss....................bahut achhe...........
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: July 07, 2005, 06:58:11 PM »
wah wah wah................bahoot khoob.....
dil se likhi hai apne
dil per dastak hai de rahi.......................
Logged
Qaasim
Guest
«Reply #6 on: July 07, 2005, 07:15:24 PM »
Dosti ke bhi kuch andaj hotein hein,
Jjagti aankhon mein kuch khuwab hotein hein,
Zaruri nahi ki gam mein hi ashak nikle,
muskurati ankhon mein bhi salab hotein hein.(n/m)
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #7 on: July 07, 2005, 07:49:15 PM »

Buhat  Khoob......................................... Supreb Gr8
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #8 on: July 07, 2005, 10:15:37 PM »
Quote from: "Meena"
Dosto, phir se ek kuch jazbaat pesh karna chahongi:

Marham ke nam pe log namak laga kar chal diye,
Kisi aur ko aab hal-e-dil sunane ka man nahin karta!

Nazuk phoolon ne is kadar gehre ghav diye hume,
Ke kanton se aab apna daman bachane ka man nahin karta!

Mana gum ne gera hai hume, tanhayio ka pera hai door tak,
Par ankhon me sukke samundar ko aab bahane ka man nahin karta!

Khamosh rahi mai aur Khuda bhi kuch na bola,
Kafir ban gaye hum, dua ke liye aab haath uthane ka man nahin karta!

Excellent Meena.....Kya baat hai......
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #9 on: July 08, 2005, 02:29:51 AM »

Aab Mera Tere Paass Is Trah Tote Dil K Saath Aane Ko Maan Nahin Krta
Aab Mera Yun Aapna Dard e Dil Ki Tere Samney Numaish Krne Ko Maan Nahin Krta

Kashi!!!! Tu Khud Hi Meri Haalat Ko Samjh Sakti Meri Humdum
Aab Mera Tu Tere  Samney  Yun Bhi Khul Kr Aane Ko Maan Nahin Krta

Logged
HumTum
Guest
«Reply #10 on: July 08, 2005, 01:20:53 PM »
Quote from: "Meena"
Dosto, phir se ek kuch jazbaat pesh karna chahongi:

Marham ke nam pe log namak laga kar chal diye,
Kisi aur ko aab hal-e-dil sunane ka man nahin karta!

Nazuk phoolon ne is kadar gehre ghav diye hume,
Ke kanton se aab apna daman bachane ka man nahin karta!

Mana gum ne gera hai hume, tanhayio ka pera hai door tak,
Par ankhon me sukke samundar ko aab bahane ka man nahin karta!

Khamosh rahi mai aur Khuda bhi kuch na bola,
Kafir ban gaye hum, dua ke liye aab haath uthane ka man nahin karta!

itna dard likha hai tuney iss poem mein
padh ke isko mera jeeney ko man nhi karta !!

kaffi acha likha hai mohtrma ....  kuch pesh e kidmat hai !!

ab kyaa umeed hum karein khud apne aap se
jab khoon hi nichod liya ho azaab ne

jab khud nibha sake na vo vaada-e-ishq to
ilzaam sab lagaa diya qismat ke naam pe

zulm-o-sitam to waqt ke dekhiye zara
ik aur badnaseebi thee ik aur khwaab thay

tukdon mein zindagi hai mili hum ko umr bhar
pal pal ‘HumTum' naaz sahe hain hayaat ke !!  
Logged
nishita
Guest
«Reply #11 on: July 08, 2005, 01:21:29 PM »

beautiful meenu
Logged
Meena
Guest
«Reply #12 on: July 08, 2005, 02:30:12 PM »
Quote from: "nikki"
WOWWWWWWWWWW Meena sis kya baat hai..........bahut bahut acha likha hai aapne.

yeh jo haalat bayan kiye hain aapne..
bilkul sach hai, jo bhi hakikat aapne batayi hai

magar yeh har koi nahi samajhta
samjhega wahi jisne dil par chot khayi hai

shukriya nikki sis!

Khuda na kare koi bhi khaye aisi choote,
ke har pal woh kushi ko hi khoje!!
Logged
Meena
Guest
«Reply #13 on: July 08, 2005, 02:31:25 PM »
shukriya dolly sis, pooja sis, qasim ji...gud one.... aryaan ji thank u, nishuuuu thanx for liking my poems!!
Logged
Meena
Guest
«Reply #14 on: July 08, 2005, 02:33:50 PM »
Quote from: "HumTum"
[

itna dard likha hai tuney iss poem mein
padh ke isko mera jeeney ko man nhi karta !!

kaffi acha likha hai mohtrma ....  kuch pesh e kidmat hai !!

ab kyaa umeed hum karein khud apne aap se
jab khoon hi nichod liya ho azaab ne

jab khud nibha sake na vo vaada-e-ishq to
ilzaam sab lagaa diya qismat ke naam pe

zulm-o-sitam to waqt ke dekhiye zara
ik aur badnaseebi thee ik aur khwaab thay

tukdon mein zindagi hai mili hum ko umr bhar
pal pal ‘HumTum' naaz sahe hain hayaat ke !!  

shukriya ji shukriya....aur as usuall bohot acha likha apne!!

 :D
Logged
Pages: [1] 2 3 4
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 12:56:45 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer