Manzil

by Khushboo on October 30, 2004, 03:30:47 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2335 times)
Khushboo
Guest
Kehtay hain har safar ki ek manzil jaroor hoti hai,
aur manzil tak mil hi jata hai humsubko ek humsafar;
Magar meray khud, mujhay tu sirf itna bata,
ye safar hai kaisa, ki na manzil mili na humsafar mera.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ishq ki manzil? by shail_shayar in Shayri-E-Dard
manzil bhi by sahood in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Na Mil Payegi Manzil by riyaz106 in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
manzil by priyanka.jasmine in Shairi - E - Zindagi
manzil by priyanka.jasmine in Shairi - E - Zindagi
nishita
Guest
«Reply #1 on: October 30, 2004, 03:32:32 PM »
wow nice khushboo

khuda se sawal na kar ae dost khuda to  khud ek sawal hai
humsafar to khair milte hai bichadne ke liye mera ye khayal hai
Logged
Khushboo
Guest
«Reply #2 on: October 31, 2004, 06:23:12 AM »
Thanks Nishita!



Khuda kay honay par, mann mein koee sawaal naheen
Diya hai wo sab mujhay usnay, jo kabhie mainay manga bhi naheen
Shikayat hai to itni, jo manga bus ek wahi mujhay na mila
Aur koee shikawa mujhay meray khuda say hai hi naheen.
Logged
Neelam
Guest
«Reply #3 on: October 31, 2004, 08:04:17 AM »
nice one Khushboo n Nishita ki baat hi alag hai.......
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #4 on: October 31, 2004, 04:33:54 PM »
bahot khoob.......khushboo.........nishita............. ......................

Yeh zara zara si baat par tarah tarah ke azaab kyon
jo kisi se bhi khafa na ho mujhe uss khuda ki talash hai
Mujhe lagzishon pe har ghari koi tokta hai baar baar
jise kar ke dil ko dukh na ho mujhe uss gunnah ki talash hai......
Logged
Beena Jain
Guest
«Reply #5 on: October 31, 2004, 04:44:28 PM »
Aisa bhi tho ho sakta hei Khushboo ji ki tumhaari talaash he khhuda ney tumhaari manzil banaa dee ho.  :mrgreen:
Logged
Khushboo
Guest
«Reply #6 on: October 31, 2004, 04:52:46 PM »
Quote from: "Beena Jain"
Aisa bhi tho ho sakta hei Khushboo ji ki tumhaari talaash he khhuda ney tumhaari manzil banaa dee ho.  :mrgreen:



Har talaash kaheen jakar katam ho jati hai,
Isliye kehtay hain ki har talaash ki manzil hoti hai,
Magar us talaash ka bhala koee kya karay;
Jo talaash mujh say suru hokar mujh par hi katam hoti hai.
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #7 on: November 01, 2004, 02:10:40 PM »
apni qabar men tanha ajj tak gaya hai koun?Huh?Huh?Huh???
daftare amaal aamir sath sath jata hai............................
Logged
nishita
Guest
«Reply #8 on: November 01, 2004, 05:28:13 PM »
very nice khushboo

Dali se phool tuta to mith nahin jaata
saare jahaan ki thokare sehni padti hai,
Dil tuta to mohabbat mit nahin jaati
haste hue har chot khani padti hai...(NM)
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: November 01, 2004, 07:46:39 PM »
Nice Khushboo, Nishita and waheed_rose!!!!

Talash-e-manjil, Talsh-e-raah, tamam Umar chalty rahe
khatam hui zindagi to tamam talash khatam hui...
Pucha jo khuda se, talash thi muje kayan....
Muskura kar bola, Manjil per akar, yah puchaty ho!!!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #10 on: November 02, 2004, 04:42:16 PM »
wow........nishita...........pooja............... .
Aata Hai Jo Toofaan Aanay Day Kashti Ka Khuda Khuda Hafiz Hai,
Mushkil To Nahee In Moujon Mein Behtaa Huwa Sahil Aajaye......
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: November 02, 2004, 04:47:10 PM »
wah!! Nice waheed_rose!!!

SAGAR KE TUFAAN SE HUM BACH KAR AA GAI
DIL MAI UTHY TUFFAAN NE, AJJ HUMKO DOOBOYA HAI!!!!
Logged
nishita
Guest
«Reply #12 on: November 02, 2004, 05:27:19 PM »
nice pooja and waheed

Tujhe dekhe bina humne, humdard banaya hai
Haan yaadon ne teri hi, hume jeena sikhaya hai
Mere humraaz, tu humsafar na bane, na sahi
Par toone hi humko yeh pyar sikhaya hai  (NM)
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: November 02, 2004, 06:41:03 PM »
Thanks Nishita!!!
Logged
Beena Jain
Guest
«Reply #14 on: November 03, 2004, 04:17:52 AM »
Quote from: "Khushboo"
Quote from: "Beena Jain"
Aisa bhi tho ho sakta hei Khushboo ji ki tumhaari talaash he khhuda ney tumhaari manzil banaa dee ho.  :mrgreen:



Har talaash kaheen jakar katam ho jati hai,
Isliye kehtay hain ki har talaash ki manzil hoti hai,
Magar us talaash ka bhala koee kya karay;
Jo talaash mujh say suru hokar mujh par hi katam hoti hai.


Khushboo ji,

duniya bhi gol hoti hei
jahaan sei shuru ho
vahin khhatm hoti hei
tho kya yei mumkin nahin
ki agar tumhaari talaash he
tumhaari manzil ban jaayei
kei tumney khhuda ko pa liya
humney koi galat tho nahin kaha
compliment diya thha!  :D
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:52:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer