~!~ Marham lagane wale bhi zakhm de jaatein hain ~!~

by nirbhay on January 12, 2006, 08:04:29 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 4614 times)
nirbhay
Guest
Aansoo May Na Dhoondna Humey,
Dil May Hum Bas Jaayenge,
   
Tamanna Ho Agar Milne Ki,
To Band Aankhon May Nazar Aayenge.
   
Lamha Lamha Waqt Guzer Jaayega,
Chund Lamhoo May Daaman Choot Jaayega,
   
Aaj Waqt Hai Do Baatein Kar Lo Humse,
Kal Kya Pata Kon Apke Zindagi May Aa Jayega.
   
Paas Aakar Sabhi Door Chale Jaate Hai,
Hum Akele The Akele Hi Reh Jaate Hai,
   
Dil Ka Dard Kisse Dikhaaye,
Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaatein Hain,
   
Waqt To Humey Bhula Chuka Hai,
Muqaddar Bhi Na Bhula De,
   
Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Karte,
Kyunke Darte Hai,Koi Phir Se Na Rula De,
   
Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge,
Kahin Ziyada To Kahin  Kam Milenge,
   
Aitbaar Zara Soch Kar Karna,
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge.
   
Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge,
Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayenge,
   
Mehsoos Karne Ki Koshish To Kijiye,
Door Hote Hoye Bhi Pass Nazer Aayenge.



Nirbhay.........!!![/i]
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #1 on: January 12, 2006, 08:35:25 PM »
wah wah kya baat hai...........neer bhai kya likha hai yaar.........
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #2 on: January 12, 2006, 09:00:27 PM »
Raastay khud hi tabahi k nikalay humnay ,
kar diya dil kisi patthar k hawalay humnay ,
Haan!! hume maalum hai kya cheez hai mohabbat yaaro,
apna hi ghar jala k dekhay hai ujjalay humne..


Nirbhay......!!!![
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #3 on: January 13, 2006, 08:42:40 AM »
kadam kadam par baharon ne saath chod diya,
pada jab waqt to apno ne saath chod diya,
kasam khaayi thi sitaron ne saath dene ki,
subah hote hi sitaron ne bhi saath chod diya.


Nirbhay......!!!
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #4 on: January 13, 2006, 10:06:30 AM »
woow great work Nirbhay..............
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #5 on: January 13, 2006, 11:09:41 AM »
Quote from: "nirbhay"
Raastay khud hi tabahi k nikalay humnay ,
kar diya dil kisi patthar k hawalay humnay ,
Haan!! hume maalum hai kya cheez hai mohabbat yaaro,
apna hi ghar jala k dekhay hai ujjalay humne..


Nirbhay......!!!![



roshni hai jab tak tere jeewan me ........aandhere k aashiq

ujale hai rasto per zara sambhal ker chalna ........

kahi lage na thoker tere pav me ujale ki wajah se........

in hasi pyar ki raho per kadam sambhal ker rakhna..............
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #6 on: January 13, 2006, 02:33:20 PM »
Abb isq ki sada ko hum
Sapno mein bhi nahi laatein hain

Jo karte hai issey,
Woh duniya ko bhool jate hai...
Duniya unko yaad karti hai,
Aur vo duniya ko yaad aate hai



Nirbhay....!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #7 on: January 13, 2006, 03:10:25 PM »
Quote from: "nirbhay"
Aansoo May Na Dhoondna Humey,
Dil May Hum Bas Jaayenge,
   
Tamanna Ho Agar Milne Ki,
To Band Aankhon May Nazar Aayenge.
   
Lamha Lamha Waqt Guzer Jaayega,
Chund Lamhoo May Daaman Choot Jaayega,
   
Aaj Waqt Hai Do Baatein Kar Lo Humse,
Kal Kya Pata Kon Apke Zindagi May Aa Jayega.
   
Paas Aakar Sabhi Door Chale Jaate Hai,
Hum Akele The Akele Hi Reh Jaate Hai,
   
Dil Ka Dard Kisse Dikhaaye,
Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaatein Hain,
   
Waqt To Humey Bhula Chuka Hai,
Muqaddar Bhi Na Bhula De,
   
Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Karte,
Kyunke Darte Hai,Koi Phir Se Na Rula De,
   
Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge,
Kahin Ziyada To Kahin  Kam Milenge,
   
Aitbaar Zara Soch Kar Karna,
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge.
   
Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge,
Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayenge,
   
Mehsoos Karne Ki Koshish To Kijiye,
Door Hote Hoye Bhi Pass Nazer Aayenge.



Nirbhay.........!!![/i]


wah wah  Nirbhay.........bahot  acchi ghazal  likha .....   nice  one Tushar...
Logged
roshni246
Guest
«Reply #8 on: January 13, 2006, 03:51:12 PM »
Quote from: "nirbhay"
Aansoo May Na Dhoondna Humey,
Dil May Hum Bas Jaayenge,
   
Tamanna Ho Agar Milne Ki,
To Band Aankhon May Nazar Aayenge.
   
Lamha Lamha Waqt Guzer Jaayega,
Chund Lamhoo May Daaman Choot Jaayega,
   
Aaj Waqt Hai Do Baatein Kar Lo Humse,
Kal Kya Pata Kon Apke Zindagi May Aa Jayega.
   
Paas Aakar Sabhi Door Chale Jaate Hai,
Hum Akele The Akele Hi Reh Jaate Hai,
   
Dil Ka Dard Kisse Dikhaaye,
Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaatein Hain,
   
Waqt To Humey Bhula Chuka Hai,
Muqaddar Bhi Na Bhula De,
   
Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Karte,
Kyunke Darte Hai,Koi Phir Se Na Rula De,
   
Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge,
Kahin Ziyada To Kahin  Kam Milenge,
   
Aitbaar Zara Soch Kar Karna,
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge.
   
Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge,
Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayenge,
   
Mehsoos Karne Ki Koshish To Kijiye,
Door Hote Hoye Bhi Pass Nazer Aayenge.



Nirbhay.........!!![/i]




Aasma ko baho me bharke to dekho
duniya ke sitam ko seh ke to dekho

dost honge aur bhi tumhare
kabhi hame bhi apna keh ke to dekho

Jindagi me aaye the tum ek bahar lekar
ab is virane me dum bharke to dekho

asan nahi he yeh jindagi ka safar
tanha apni manzil ko pake to dekho

mana umra ki raftar ko rokna he mushkil
per gujre huve zamane ko modke to dekho

kabhi hamare saath umra bitayi thi aapne
unn hasi lamho ko yaad kar ke to dekho

toda he aapne dil hamara yeh mana
per is dil ko phir se jod ke to dekho

hamara kya he hum to chal basenge yunhi
kabhi hamari yaad me aansoo bahake to dekho

mot se bhi ladker vapas aajayenge hum
kabhi hume pyar se bulake to dekho

kalam chal padi he bas yunhi kore kagaz pe
per in shabdo ko gaur se samaj ke to dekho............


roshni............!!!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: January 13, 2006, 04:01:20 PM »
Good job nirbhay and roshini!!!

maraham lagane wale bhi jakham de jaaty hay
jo hoty hai dil mai, wo hi dil torr jaaty hai

kabhi kisi per na bharosa karna
yah baat achy se, samjha jaaty hay

Meri tooti takdeer ka, tujse kaya shikwa karna
Dil hai ki, tu rahe sada khush, ab bhi Yahin kahen jaaty hai!!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #10 on: January 13, 2006, 04:26:07 PM »
thxx pooja ji.................and great reply .....
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #11 on: January 13, 2006, 04:59:07 PM »
Wahhh nirbhay,bohat hi khoob,awesome work roshni ji and pooja ji.
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #12 on: January 14, 2006, 05:54:48 AM »
Quote from: "roshni246"
Quote from: "nirbhay"
Aansoo May Na Dhoondna Humey,
Dil May Hum Bas Jaayenge,
   
Tamanna Ho Agar Milne Ki,
To Band Aankhon May Nazar Aayenge.
   
Lamha Lamha Waqt Guzer Jaayega,
Chund Lamhoo May Daaman Choot Jaayega,
   
Aaj Waqt Hai Do Baatein Kar Lo Humse,
Kal Kya Pata Kon Apke Zindagi May Aa Jayega.
   
Paas Aakar Sabhi Door Chale Jaate Hai,
Hum Akele The Akele Hi Reh Jaate Hai,
   
Dil Ka Dard Kisse Dikhaaye,
Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaatein Hain,
   
Waqt To Humey Bhula Chuka Hai,
Muqaddar Bhi Na Bhula De,
   
Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Karte,
Kyunke Darte Hai,Koi Phir Se Na Rula De,
   
Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge,
Kahin Ziyada To Kahin  Kam Milenge,
   
Aitbaar Zara Soch Kar Karna,
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge.
   
Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge,
Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayenge,
   
Mehsoos Karne Ki Koshish To Kijiye,
Door Hote Hoye Bhi Pass Nazer Aayenge.



Nirbhay.........!!![/i]




Aasma ko baho me bharke to dekho
duniya ke sitam ko seh ke to dekho

dost honge aur bhi tumhare
kabhi hame bhi apna keh ke to dekho

Jindagi me aaye the tum ek bahar lekar
ab is virane me dum bharke to dekho

asan nahi he yeh jindagi ka safar
tanha apni manzil ko pake to dekho

mana umra ki raftar ko rokna he mushkil
per gujre huve zamane ko modke to dekho

kabhi hamare saath umra bitayi thi aapne
unn hasi lamho ko yaad kar ke to dekho

toda he aapne dil hamara yeh mana
per is dil ko phir se jod ke to dekho

hamara kya he hum to chal basenge yunhi
kabhi hamari yaad me aansoo bahake to dekho

mot se bhi ladker vapas aajayenge hum
kabhi hume pyar se bulake to dekho

kalam chal padi he bas yunhi kore kagaz pe
per in shabdo ko gaur se samaj ke to dekho............


roshni............!!!!!




Teri Aankhon Mein Umeed Maangi Thi
Phir Udaasi Kyun Mili?

Tere Baahon Ka sahara Chahta Tha
Phir Tanhai Kyun Mili?

Tumhare Chahat Ki Wafa Chahi Thi
Phir Bewafai Kyun Mili?

Mere Saath Jeene Ki Kasam Mangi Thi
Phir Akele Jeene Ki Sazaa kyun Mili?

Jo Guzar rahein hain dinn mere Gardish ke
Uski saba tujhe kyun na mili?

Tanhai to tanhai hoti hai,
Dard ko farz ki tarah adaa karti hai

Pyar ki tarah bewafa nahi hoti hai,
zindagi bhar ke liye saath reheti hai

Ye koi sitaro.n ki roshni nahi
Jo Suraj Dhalne ki aas mein rehti hai.


Nirbhay..........!!!
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #13 on: January 14, 2006, 06:05:23 AM »
Quote from: "Pooja"
Good job nirbhay and roshini!!!

maraham lagane wale bhi jakham de jaaty hay
jo hoty hai dil mai, wo hi dil torr jaaty hai

kabhi kisi per na bharosa karna
yah baat achy se, samjha jaaty hay

Meri tooti takdeer ka, tujse kaya shikwa karna
Dil hai ki, tu rahe sada khush, ab bhi Yahin kahen jaaty hai!!!


Teri Jarron mein reh kar aapni daalian chor jaounga
Naam tere sath aapna mai door talak chor jaunga

Jo aaya kabhie tere inteha mein mout ka bulawa
Tere Gesu.on mein aapni chalak chor jaunga

Pathron se mout Gawaran nahi mujhe
Mai 'Neer' hoon, aapni bund se bhi tujhmein tarap chor jaunga



Nirbhay.........!!!
Logged
rohit30002
Guest
«Reply #14 on: January 14, 2006, 08:32:20 AM »
1st:-->
Takdir thi kuch aisi , humko tha jana pada............
Bulawa tha kuch aisa, Wapas humko aana pada..............




Aksar mahram lagane wale hi Jakham de jaya karte hain..............
Kabhi wakt, to kabhi bewakt tadpaya karte hain.............
Bhulna chahte hain unhe to wo aur yaad aaya karte hain.........
aap se kya aur hum kahein , ye to aap bakhubhi nibhaya karte hain...............
Aksar mahram lagane wale hi jakham de jaya karte hain...............

Puchhte hain jab kabhi unki yaadon se, kyon aate ho itna hume yaad...............
Tadapna abhi aur hai tumhe, Haskar milta hai ye hume jawab..............
7 smundar paar se kabhi, hame ek pari ne aawaz lagayi thi.............
ishara kiya tha hume, saath jine ki kasme Uthayi thi................

Chhuta saath , tuti kasmein, dil tod ke wo muskurate hain.............
Dil todna unki aadat ban gayi , ab wo aur bhi hasin nazar aate hain............
Ab dekh ke humko saamne apne, Julfein sawari jaati hai..............
Jakham par namak chidakne ke liye, Hlaki si muskurayi jaati hai.............

Phir se kisi na kisi bahane humko, Apni taraf khincha jaata hai..........
Ab samnjhe hum sirf naam likh kar dil par, Yunhi kisi ko apna nahi bayana jaata hai...............
Chot khakar dil par apne, Ab dil lagane se hum darte hain.........
Dekha hai humne aksar, mahram lagane wale hi jakham de jaya karte hain................
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 09:10:35 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer