~!~ Marham lagane wale bhi zakhm de jaatein hain ~!~

by nirbhay on January 12, 2006, 08:04:29 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 4597 times)
nirbhay
Guest
«Reply #15 on: January 14, 2006, 08:53:52 AM »
[Gr8 My dear Brother as ever You are!!

Afasane kuch aaise hain, Jo zakhm ko bhi rulatein kartein hain
Tanha unki judaii mein, hum dil ko rujhaya kartein hain
Matt bann aaur tamashbeen e-dil to abb zamane mein....
Yahan logg Marham ke naam pe zakhm de jaaya kartein hain..

Numm aankhon mein lahoo judaii ka bahaya kartein hai
Dard de kar chein letein hain ye aapni khusi
Bahana aagosh paane ka kar, daman mein sir chipaya kartein hain
Sulagtey Zakhm pe ye fhir, namak ka marham lagaya kartein hain

Saat samundar parr se Jeene ke bahane dikhlaya kartein hain....
Pariyon ka daman dikhla, ye kanto.n mein sulaya kartein hain...
Itilaah na thi humein, ke abb jannat ki pariyaan bhi....
Marham lagane ko, naye Zakhm ka anjaam de jaaya kartein hain.

Kahein to kiss sey kahein, aab aansuon ko pee jaya kartein hain....
Dard-e-dil ki daastan ko abb, hum lafzon me sajaya kartein hain.....
Kya Chahe.in sahara kisi se, Iss Zamane mein to pariyaan bhi abb ..
Marham ke naam pey, namak zakhm pey chidak jaaya kartein hain....

Nirbhay.........!!!
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #16 on: January 14, 2006, 09:28:13 AM »
Nirbhay aap bahut hi achcha likhte hain. Keep it up !

Rohit aap ne bhi bahut achcha jawab diya hai.

Rajbir
Logged
roshni246
Guest
«Reply #17 on: January 14, 2006, 10:07:43 AM »
Quote from: "nirbhay"
Quote from: "Pooja"
Good job nirbhay and roshini!!!

maraham lagane wale bhi jakham de jaaty hay
jo hoty hai dil mai, wo hi dil torr jaaty hai

kabhi kisi per na bharosa karna
yah baat achy se, samjha jaaty hay

Meri tooti takdeer ka, tujse kaya shikwa karna
Dil hai ki, tu rahe sada khush, ab bhi Yahin kahen jaaty hai!!!

Teri Jarron mein reh kar aapni daalian chor jaounga
Naam tere sath aapna mai door talak chor jaunga

Jo aaya kabhie tere inteha mein mout ka bulawa
Tere Gesu.on mein aapni chalak chor jaunga

Pathron se mout Gawaran nahi mujhe
Mai 'Neer' hoon, aapni bund se bhi tujhmein tarap chor jaunga

Nirbhay.........!!!

Pyas wo dil ki bujhane kabhi aya hi nahi
Kaisa badal hai jiska koi saaya bhi nahi

Berukhi is se badi aur kya bhala hogi
Ek muddat se hamen usne sataya bhi nahi

Sun liya kaise khuda jaane zamane bhar ne
Wo fasana jo kabhi humne sunaya bhi nahi

roshni.......................
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #18 on: January 15, 2006, 07:26:01 AM »
Quote from: "roshni246"

Doob.na Hai To 'neer' main Aao, Sahil pe Kya Rakha Hai
Kasak ho to lafzon mein aao, Isharo ne humne dushman bana rakha hai

Zindagi ki rahoo mein, pyar ko tuney dost bana rakha hai
Gairon ki ginti mein hamein kyun basa rakha hai

Too jaanti hai meri humnakhs, ke tere hijer ne humein rula rakha hai
Tujhe paane ka khawab, maine bhi Vira.on mein basa rakha hai

Nirbhay......!!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #19 on: January 15, 2006, 12:53:09 PM »

Tumhara Ishq Tumhari Wafa Hi Kafi Hai
Tamam Umer Yahi Asra Hi Kafi Hai
Jahan Kahien Bhi Millo Mil Kay Muskura Deena
Khushi Kay Waste Yeh Silsila Hi Kafi Hai
Mujhey Bahar Kay Musam Se Kuch Nahi Leena
Tumhare Piyaar Ki Rangeen Fiza Hi Kafi Hai
Yeh log koun si MANZIL KI Baat karte hai
Musafiroo kay liyee to  Rastaen hi kafi hai

Tera pyaar naa sahi
Teri yaad hi kaafi hai
umar guzar ne ke liye
Tere saath beeti ek shaam hi kaafi hai
Suna hai sapna sach bhi hota hai kabhi
Bas tujhe paane ka yeh khwab hi kaafi hai....

~roshni~
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #20 on: January 15, 2006, 01:35:29 PM »
Bohat khoob Nirbhay & All....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #21 on: January 18, 2006, 06:10:32 AM »
Good work nirbhay and roshini!!!
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #22 on: January 19, 2006, 05:00:09 AM »
Jaaney kayse.in hai ye Pather Dil Jo wafa ki raza se dartein hain
Bayaan ye fasana lafzon ka, dil se bhi kartein hain.......
Ya Zamane mein logg abb, yunhi kalam kartein hain ?
Yahan to logg abb marham ke naam pe, ghar naya zakhm ka kartein hain

Harr aapne se abb hum aapna dard bayaan karney se dartein hain
Girtein to hain ye bulandion se gehrai takk
Parr kabhie neer ki tarah ye kyun nahi Jhartein hain
Detein hain Zakhm to marham laganey ki kalam kyun kartein hain?

Kya kahein ke abb to aapne bhi zamane ke andaaz mein miltein hain
har zakhm ko aapne naye zakhm ke andaz mein aagaz diya kartein hain
Rabb se baddkarr aapni uss kalam se  kyun bewafaii kartein hain
Kyun Behaya hain aapne bhi itne jo rabb dee kasam kha.....
Aapno ke Zakhm ko rozz kured diya kartein hain

Parr Bhula diya tha aapno ne hi
Ke Aksar maraham laganey waale hi zakhm diya kartein hain

Nirbhay................!!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #23 on: January 21, 2006, 07:07:58 PM »

Khamoshi, tanhaayi, tasavvur, dard-e-dil sanam
diya hai saath sabne har waqt har dam…
aaj phir kyon intezzar hone laga hai
wo dil-sitan kyon yaad aane laga hai
lamhaat jo humne guzaare bhi nahin
kyon dil unse beqaraar hone laga hai
iss dar se tau wo guzraa bhi nahin
ye dil iss qadar kyon dhadakne laga hai
palakein jo un tak uthhi bhi nahin
wo rafta rafta un mein samaane laga hai
wo waade jo humne kiye bhi nahin
un tute waadon pe kyon ranj hone laga hai
daman jo kabhi haath aaya bhi nahin
uski khushboo se dil mehekane laga hai
vasl-e-yaar abhi to mile bhi nahi
to gham-e-hijraan kaise hone laga hai….....

~roshni~
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 07:06:28 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer