Marne Waale Apne The {The Bomb Blast In Bombay}

by Jaanasheen on July 12, 2006, 02:16:56 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 4336 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Doston Bahoot Dard Hota Hai Jab Apna Koi Marta Hai,..
Maut Aaye Uski Marzi Se Tu Ranj Nahi Hota, Jab Maut Aaye Ek Hadsaa Bankar,..
To Uski Yaad Aise Aati Hai Ki Na Ro Sakte Hain Na Hi Kisi ke Aansoon Ponch Sakte Hain,,..

Jo Hadsa Hua 7/11 Ko Bombay Mein Usmein Kuch Apne Bhi The,..
Khudaa Ko Shayad Yahi Manzoor Tha,

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Regarding 7 Bomb Blast in Bombay on 11. July 2006 by Devdas_online in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
mumbai blast by tabassum shakeel in Shairy-E-Watan
bomb blast in delhi by bekarar in Chit - Chat & General Discussion
Pooja
Guest
«Reply #1 on: July 12, 2006, 02:23:14 PM »
her koi hai apna, kaisa hai yah sadma
dekh lasho ko, her rishta najar atta hai
jameen per gira hai yah kiska Pita
to kisi lash mai, kisi ki ma ka chehra najar atta hai
kis ki budape ki toot gai ab lathi...
kitni bewaao ka ansoo bhara chehra najar atta hai

jab bhi hota hai koi hadsa,
her ek rishta lahuluhaan najar atta hai!!
kaise hai yah payaas, jo lahu se hi nujati hai
kaisa hai yah lalach, kayun inko insaniyat nahi sujhati hai
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: July 12, 2006, 02:28:25 PM »
Tu Kya Jaane Gham Kisi Ko Khone Ka..
Ke Marne Waale Yahan Apne The,..
Kisi Ko Tha Armaan Doctor Ban-ne Ka,..
Aur Kisi Ke Jaane Kya Kya Sapne The,..

Is Hadse Ne Saare Watan Ko Rulaa Diya,..
Dekar Gham Sab Ko Yahan,..
Tune Apne Mazhaab Ka Kya Bhaal Kiya,..

Mazhaab Kisi Ko Nahi Seekhata Ke Khoon Bahaao,..
Kisi Ko Maaro, Kisi Ko Rulaao, Kisi Ka Ghar Jalaao,..

Ghar Jab Jalega Tumhara To Tum Jaanoge Beghar Hone Ka Gham..
Marega Koi Jab Apna Tumhara To Jaanoge Use Khone Ka Gham,..

Kya Khushi Mili Tumhe Yahan Hazaaron Ko Maut ke Ghaat Utaarke,..
Khila Kya Tumhare Dil Ka Chaman Yahan Laakhon Kaliaan Ujaadke,..

Aur Kitno Ka Khoon Bahaayeinge Tum Log Paani Samajhkar,..
Hum Log To Kisi Ko Rulaane Se Bhi Darte Hain,..
Haskar Baat Kare Jo Uspar Hum Marte Hain,..

Phir Kyun Tum Log Hume Itne Zakahm Dete Ho,..
Jiski Chot Dil Par Lagti Hai,

_____________________-Azeem-___________________
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: July 12, 2006, 02:35:02 PM »
Very emotional and very touching Jsheen.... shabad nahi mil rahe hai kitna acha likha hai apne...bahoot khoob..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: July 12, 2006, 02:38:47 PM »
Quote from: "Pooja"
Very emotional and very touching Jsheen.... shabad nahi mil rahe hai kitna acha likha hai apne...bahoot khoob..


Shukriya Didi,..

Dua Hai Khudaa Se Ke Marne Waale Ko Kabar Mein To Rahat Mile,..
Warna Wahaan Bhi Aajaate Hain Farishte Sataane Unhe,..
Logged
Kismat ke Maare
Guest
«Reply #5 on: July 12, 2006, 02:49:28 PM »
Exellent Job Pooja And Azeem
Nice One

Logged
kamyayni
Guest
«Reply #6 on: July 14, 2006, 01:46:08 PM »
HAI.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: July 14, 2006, 02:38:59 PM »
Shukariya dosto....

dard sirf dard hai, ahsaas ban kar cha jaata hai
toot kar bikharty hai jab sapne, rona aa hi jaata hai

dekh kar Insaani Chithre Bikhre Jameen per
dahshat ka manjar, dil Dahla jaata hai

kaise koi nikale ajj ghar se baher
her badta hua kadam, ruk jaata hai

khabar pad kar, dil jo tera mera roya ajj
jin per beeti hai, unka soch kar saans mera ruk jaata hai
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: July 14, 2006, 02:53:54 PM »
Quote from: "kamyayni"
JAANASHEEN JI AND POOJA JI AAP DONO KO PARH KE AUR BHI GEHRA DARD MEHSAOOS HUA.
KOI SHABD NAHI HAI KI HUM KUCHH KEH SAKEIN. ZAKHMA JAB TAZA HOTA HAI TO DARD KA EHASAAS KAM HOTA HAI AUR JAB YE DARD HAD SE GUZREGA TO SHAYAD SHABDO MEIN DHAAL PAYENGE. TAB TAK MAUN HAIN HUMARE SHABD BHI IS HAADSE MEIN JAIS EUNKA BHI KOI BISAR GAYA HAI.

Shukriya Ji,..
Jaane Kyun Log Pyaar Jhordkar Dehshaat Phailaa Rahe Hain,..
Logged
roshni246
Guest
«Reply #9 on: July 14, 2006, 02:55:05 PM »
bohot khoob JS ji aur pooja di....

nice wording humari to ankh bhar ayi...bohot khoob.!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: July 14, 2006, 02:55:58 PM »
Quote from: "Pooja"
Shukariya dosto....

dard sirf dard hai, ahsaas ban kar cha jaata hai
toot kar bikharty hai jab sapne, rona aa hi jaata hai

dekh kar Insaani Chithre Bikhre Jameen per
dahshat ka manjar, dil Dahla jaata hai

kaise koi nikale ajj ghar se baher
her badta hua kadam, ruk jaata hai

khabar pad kar, dil jo tera mera roya ajj
jin per beeti hai, unka soch kar saans mera ruk jaata hai


Pardkar Dil Bezaar Hogaya,.
Bahoot Badiyaa Likha Hai Apne,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: July 14, 2006, 03:04:33 PM »
Rota Hai Dil Jab Dekhta Hoon Wo Manzar Main,..
Dabaa Ne Ki Koshish Karta Hoon Dard Ko Apne Dil ke Andar Main,..

Haivaaniyat SE Bhi Aage Nikal Gaye Wo Log Jo Insaan The,..
Marne Waalon Ke Bhi Kuch Sapne The Unke Bhi Kuch Armaan The,..

Bahoot Bedardi Se Khela Unhone Sab Ki Zindagi Se,..
Dekh Kar Ye Alaam Shak Hota Hai Apni Bandagi Pe,..

Khoon Ki Nadiaan Dekhkar Dil Sabka Rota Hai,..
Koi Maa, Koi Baap, Koi Pati, KOi Beta Apna Khota Hai,..

Hadd Hogayi Dehshat Ki Har Koi Darta Hai Ab Har Kisi Se,..
Pehle Jo Alam Tha Pyaar Ka Jaane Wo Kahan Kho Gaya,..
Dekh Raha Hai Bhagwaan Sab Ki Bebasi Ya Wo Bhi So Gaya,..

_______________________-Azeem-_____________________
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: July 14, 2006, 03:06:43 PM »
bahoot acha likha hai Jsheen ji apne....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: July 18, 2006, 07:07:58 AM »
Quote from: "roshni246"
bohot khoob JS ji aur pooja di....

nice wording humari to ankh bhar ayi...bohot khoob.!


Shukriya Roshni Sis,...
Apne Kuch Likha Nahi Bomb Blast ke baare Mein,...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: July 18, 2006, 07:11:58 AM »
Quote from: "Pooja"
bahoot acha likha hai Jsheen ji apne....


Shukriya Pooja Sis,..

Kaisi Azaadi Ke Liye Lard Rahe Hain Ye Log.,.
Jo Dusron Ki Zindagi Hi barbaad Kar Jaate Hain...
Aur Agar Inhe Azaadi Mili Bhi To Ye Kya Khush Reh Paayenge,..
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:45:49 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.162 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer