Masumiyat to dekhiye.......(Ghayel)

by sajid_ghayel on December 27, 2008, 01:24:32 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 7002 times)
sajid_ghayel
Guest
Masumiyat to dekhiye mere huzoor ki
Turbat pe meri poochte hain yeh kiska mazar hain

Jannat ki huro se zara kehna abhi aana nahi hain mumkin
Ek muddat se humko us nazneen ka intezar hain

Khushboo hain na rang hain na titliyaan hain koi
Meri zindagi me aayee yeh kaisi bahar hain

Apno ka gumaan nahi khud ka bhi nishaan nahi
Chaya ab har gadi sirf tera khumar hain

Becha khudhi ko humne jinki khushi ki khatir
Keemat laga gaye woh meri yeh kaisa bazaar hain

Chun chun kar diye the jinhe phool apne daman ke
Mere daman me jo lage hain woh un phoolo ke khar hain

Muje maut kabki aa jati jo tera intezaar na hota
Farishte maut ke bhi shayed tujse milne ko bekarar hain

Sabkuch kaha tha tumne bas yeh ek baat nahi boli
Sirf tuje nahi "SAJID humko bhi tujse pyaar hain

Woh jante the kuch na kahege hum apni safaiee me  
Dete rahe woh ilzam itna unko humpe aitbaar hain

Jo teer kabhi chala tha mere hatho se tere dushmano par
Who teer aaj mere hi seene ke aar paar hain

GHAYEL meri dua ab kyon na kabul ho
Har waqt mere samne tasweere yaar hain

                                     -Sajid Ghayel
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #1 on: December 27, 2008, 02:46:41 PM »

Myaan zara sambhaal key!
Hai khoob, magar un ko sunaanaa na ye gazal!
Beyhtar hai, kabhi ghar mein bhi gaanaa na ye gazal!
Warnah huzoor, faaqahmast rahnaa parheygaa;
Bas, kah diyaa 'abd' ney, baarhaa na kaheygaa!!

                               - abd bundeli
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #2 on: December 27, 2008, 02:54:18 PM »
Waah Waah Bohat Badhiya Sajid Bhai,.
NIce One,.
Aur Aapne Bhi Bhi Kamaal Ka Likha Hai Abd Bhaijaan,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #3 on: December 27, 2008, 02:57:32 PM »
Uske Chehre Ki Maasoomiyat Se Kisi Ko Bhi Lagta Nahi "Azeem,.
Ke Ye Wo Balaa Hai, Jiske Diye Zakham, Na Dikhaane Ke Rehte Hain,.
Na Chupaane Ke Rehte Hain,.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #4 on: December 27, 2008, 03:13:40 PM »
Myaan zara sambhaal key!
Hai khoob, magar un ko sunaanaa na ye gazal!
Beyhtar hai, kabhi ghar mein bhi gaanaa na ye gazal!
Warnah huzoor, faaqahmast rahnaa parheygaa;
Bas, kah diyaa 'abd' ney, baarhaa na kaheygaa!!

                               - abd bundeli

Pet to bhar jayega rooh bhookhi rahegi abd
Mere masoom armano ki zameen sookhi rahegi abd
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #5 on: December 27, 2008, 03:16:21 PM »
Uske Chehre Ki Maasoomiyat Se Kisi Ko Bhi Lagta Nahi "Azeem,.
Ke Ye Wo Balaa Hai, Jiske Diye Zakham, Na Dikhaane Ke Rehte Hain,.
Na Chupaane Ke Rehte Hain,.

Bohat khoob reply chote aur tareef ke liye nawazish karam
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #6 on: December 27, 2008, 03:42:48 PM »
Waah Waah Bohat Badhiya Sajid Bhai,.
NIce One,.
Aur Aapne Bhi Bhi Kamaal Ka Likha Hai Abd Bhaijaan,.
Thanks Jaanasheen ji!
             - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #7 on: December 27, 2008, 03:55:03 PM »
Pet to bhar jayega rooh bhookhi rahegi abd
Mere masoom armano ki zameen sookhi rahegi abd

Rooh key pet kahaan hotaa hai meyrey bhaayee!
Mujh ko batlaanaa, agar us ney ho gazak khaayee?
Kaash, maasoom rahey hotey wo armaan itney:
Deykhney sey nazar aatey hain, meyhrbaan, jitney!!
                                    - abd bundeli
 
Logged
cara
Guest
«Reply #8 on: December 27, 2008, 04:15:53 PM »
bahoot khoob ghayelji...

masumiyat ka chehra, chot de gayi gehara,
kar gayi is kadar "ghayel" ki har cheez mein nazar aata hain usi ka chehra..........masumiyat ka chehra

Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #9 on: December 27, 2008, 05:32:49 PM »
bahoot khoob ghayelji...

masumiyat ka chehra, chot de gayi gehara,
kar gayi is kadar "ghayel" ki har cheez mein nazar aata hain usi ka chehra..........masumiyat ka chehra

Bohat shukriyaa tareef aur khoobsurat jawab ke liye
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #10 on: December 27, 2008, 05:46:29 PM »
Sajid bro,

Behtareen kalam Applause Applause Applause

Har ek sher kabil-e-tareef hai. Yeh wala sher dil ko choo gaya sad5

Becha khudhi ko humne jinki khushi ki khatir
Keemat laga gaye woh meri yeh kaisa bazaar hain

Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #11 on: December 27, 2008, 06:21:57 PM »
Wah! kamaal ka likha hai aap ne Ghayel Ji
Logged
Deepati
Guest
«Reply #12 on: December 28, 2008, 02:26:15 AM »
Masumiyat to dekhiye mere huzoor ki
Turbat pe meri poochte hain yeh kiska mazar hain

Jannat ki huro se zara kehna abhi aana nahi hain mumkin
Ek muddat se humko us nazneen ka intezar hain

Khushboo hain na rang hain na titliyaan hain koi
Meri zindagi me aayee yeh kaisi bahar hain

Apno ka gumaan nahi khud ka bhi nishaan nahi
Chaya ab har gadi sirf tera khumar hain

Becha khudhi ko humne jinki khushi ki khatir
Keemat laga gaye woh meri yeh kaisa bazaar hain

Chun chun kar diye the jinhe phool apne daman ke
Mere daman me jo lage hain woh un phoolo ke khar hain

Muje maut kabki aa jati jo tera intezaar na hota
Farishte maut ke bhi shayed tujse milne ko bekarar hain

Sabkuch kaha tha tumne bas yeh ek baat nahi boli
Sirf tuje nahi "SAJID humko bhi tujse pyaar hain

Woh jante the kuch na kahege hum apni safaiee me 
Dete rahe woh ilzam itna unko humpe aitbaar hain

Jo teer kabhi chala tha mere hatho se tere dushmano par
Who teer aaj mere hi seene ke aar paar hain

GHAYEL meri dua ab kyon na kabul ho
Har waqt mere samne tasweere yaar hain

                                     -Sajid Ghayel

Wah Wah Sajid Ji, Bahut hi khoob  Applause Applause
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #13 on: December 28, 2008, 06:59:27 AM »
Rajbir, Rajesh and Deepati tum sabka bohat shukriyaan jo tum logho ne mere kalam ko saraha.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: December 28, 2008, 07:08:07 AM »
bahoot khoob SG
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:42:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.152 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer