maut ek ehsaas kii

by salil2002 on November 04, 2008, 08:22:04 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 826 times)
salil2002
Guest
shor sun kar bheed na laga dena
mujhe jara tanhayee main gujar jaane do
kab kaha tha kii rona meri maut pe
muskuraao yeh jashn yehi tham jaane do

hai qabool mujhe apni mohabbat ka hashra
haan sabko mujhe bewafa ka ilzaam lagane do
main tha khamosh pehle bhi aur aaj bhi hoon
har haqeeqat ko ban k raaz dafn ho jaane do

mohabbat bhi ab yoon nazar aa rahi hai
kii jaise qabr se mitti hata di gayi ho
hai yeh maut meri ya hai ek ehsaas kii
shayad mohabbat bhi meri dafna di gayi ho
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ehsaas... by dev_omu in Shayri-E-Dard
....~~Ehsaas~~.... by HumTum in Shayri-E-Dard
EK EHSAAS... by azeemssj in Shayri for Khumar -e- Ishq
~Maut ke baad maut~ by Tosha in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
AE MAUT KAASH TUJHE BHI KABHI AA JAATI MAUT... by diya786 in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
k.shael
Guest
«Reply #1 on: November 04, 2008, 08:26:57 AM »
 Applause  Applause
BAHUT KHOOB SALIL JI,
BY. K.SHAEL


MERI MOUT KA DUNIYA WALO SHOR MAT KARNA,
WARNA MERE YAAR KI KHUSHIYON ME KHALAL PAD
JAYEGA,

MUJHE DAFNANA TUM BAHUT KHAMOSHI SE WARNA
USKE DIL KO PATA CHAL JAYEGA...
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #2 on: November 04, 2008, 08:33:40 AM »
shor sun kar bheed na laga dena
mujhe jara tanhayee main gujar jaane do
kab kaha tha kii rona meri maut pe
muskuraao yeh jashn yehi tham jaane do

hai qabool mujhe apni mohabbat ka hashra
haan sabko mujhe bewafa ka ilzaam lagane do
main tha khamosh pehle bhi aur aaj bhi hoon
har haqeeqat ko ban k raaz dafn ho jaane do

mohabbat bhi ab yoon nazar aa rahi hai
kii jaise qabr se mitti hata di gayi ho
hai yeh maut meri ya hai ek ehsaas kii
shayad mohabbat bhi meri dafna di gayi ho



bahut khoob salil ji Applause
Logged
salil2002
Guest
«Reply #3 on: November 04, 2008, 08:39:44 AM »
Applause  Applause
BAHUT KHOOB SALIL JI,
BY. K.SHAEL


MERI MOUT KA DUNIYA WALO SHOR MAT KARNA,
WARNA MERE YAAR KI KHUSHIYON ME KHALAL PAD
JAYEGA,

MUJHE DAFNANA TUM BAHUT KHAMOSHI SE WARNA
USKE DIL KO PATA CHAL JAYEGA...

thnks and a nice reply shally

na jaane maut badtar hai ya zindgi
is sawal mein ooljha main reh gaya
na ji paaya kabhi sukoon se
aur na chen meri rooh ko tha reh gaya
Logged
salil2002
Guest
«Reply #4 on: November 04, 2008, 08:42:20 AM »
thnks bhawna
Logged
k.shael
Guest
«Reply #5 on: November 04, 2008, 08:44:40 AM »
THANX SALIL,
& NICE REPLY,
BY. K.SHAEL

KAISE BATAYE TUMHE KI HAMNE ZINDAGI AUR MOUT
TAK KA SAFAR KAISE TEY KIYA,
KABHI KHUD KO BIKHRA PAAYA TO KABHI DUSRO KE
BIKHAR JANE KA GAMM SAHA...
Logged
salil2002
Guest
«Reply #6 on: November 04, 2008, 09:57:34 AM »
nice one shally
dekha hai humne patjhad main bikharte huye patton ko
 aur tootte dekha hai kaanch ko pathar ki chot se
khud k bikharne ka gham nahin hai mujhe yaaron
 bahut ji liya ab milna hai maut se
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #7 on: November 04, 2008, 10:02:50 AM »
Bahut khoob Salil Ji

Achchi ehsaas hai maut ki
Na jane kyon aa kar chali gayi
Logged
salil2002
Guest
«Reply #8 on: November 04, 2008, 10:28:19 AM »
thnks rajesh
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 02:21:06 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer