Maut ek Fasana

by Tosha on December 09, 2005, 11:51:25 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2510 times)
Tosha
Guest
Apne sapno ko pura karna to aab
Ek sapna purana lagta hai
Is khokhli duniya mian to aab
Aapna dil bhi khokhla lagta hai

Kise ko kya mohabbat kijeyea
Har saksh baheroopi lagta hai
Ke deedar-e-dil mahboob ka
 Aaj bhi paraya lagta hai

Begani khud se hui zindgi
Maan deewana sa lagta hai
Pyaasi ruh ko meri aab
Maut ek fasana sa lagta hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
TERA FASANA by TANHA in Shayri-E-Dard
GHAM KA FASANA by jochahohojayein in Shayri for Dard -e- Judai
dard ka fasana hai by BIHARIBABU in Shayri-E-Dard
fasana by mohsin akhter in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
mohabbat ka fasana by anish786 in Shayri-E-Dard
Silence
Guest
«Reply #1 on: December 09, 2005, 04:27:46 PM »
wonderful tosha sis!!

udas nain hum, bas rooh ke marne ka matam mana rahe hai,
ashkon ko hata kar chehre pe tabasum ki ronak saja rahe hai,
na jeene ki talab hai, na marne ka khauf hai ab,
ek zinda lash hai " Silence", yeh zamane ko bata rahe hai!
Logged
Ricky
Yoindian Shayar
******

Rau: 8
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 3 hours and 56 minutes.

Posts: 2455
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #2 on: December 09, 2005, 05:38:50 PM »
..

Ek pariyon ka saa aashiyaa.n hai ,
Ek mehka saa shayarana sama.n hai,
Sare jahan nae mehsoos ise kiya
Ishq iss tarah duniya mein rawa.n hai !

Jab ishq nae tujhko itna ata.h kiya hai,
Jab ishq nae tujhko itna sab kuch diya hai,
Naa kar tuh shikwa yun jane bahar
Ishq nae tujhe zindagi, ek mauka diya hai !

Har mausam zindagi ek naya sawal hai,
Har lamha naya ek yeh khayal hai,
kehti hai tujhse imtehaan mein loongi
phir kyu chaya tujhpe khauf-ae-ajal* hai !


----------------------------------
*khauf-ae-ajal = Fear of death
Logged
Ricky
Yoindian Shayar
******

Rau: 8
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 3 hours and 56 minutes.

Posts: 2455
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #3 on: December 09, 2005, 05:42:51 PM »
Quote from: "Silence"
wonderful tosha sis!!

udas nain hum, bas rooh ke marne ka matam mana rahe hai,
ashkon ko hata kar chehre pe tabasum ki ronak saja rahe hai,
na jeene ki talab hai, na marne ka khauf hai ab,
ek zinda lash hai " Silence", yeh zamane ko bata rahe hai!


Silence.. ! its interesting ...

Log lavzo.n kaa sahara lete hain
aaj aapne bhi kuch kaha hai!
Sochne per majboor kar diya ...
K shayar koi yahan umda bana hai !!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #4 on: December 10, 2005, 02:07:27 AM »
Wah..Bohat khoob Tosha...Bohat dinon baad likha hai, magar khoob likha hai..

Nice Ones Silence & Ricky...
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #5 on: December 10, 2005, 08:37:39 AM »
Gr8 wrk all........................!!

Glad 2 know that Ricky is a poet 2!!
Logged
Silence
Guest
«Reply #6 on: December 10, 2005, 05:42:38 PM »
shukriya aryaan ji...nirbhay ji... aur ricky ji bohot hi acha likha apne lekin:

na hum koi shayar hai, na kaho hume kavi tum,
nazam me bas hal-e-dil sunaya karte hai,
ansowon ka samundar jab behte behte suuk jata hai,
to gum ko samet kar ek nayi ghazal banaya karte hai!  :wink:
Logged
Tosha
Guest
«Reply #7 on: December 14, 2005, 03:54:47 PM »
wow...ya!!

Ricky I liked what you wrote just so much that i wanted to mail it to a friend of mine. To my surprise I discovered I can't copy paste any more. Good...!!!

Aryaan Hope i've speled ur name rt !! i ant cross checking it. thanks a lot

Scilence
Khamoshiyan aur umadte hur kuch jazaat
shabdon ke zuban bayan kiye hai aaj

kya shayar bane kya shayari kare
shabdon ke zuban bayan kiye hai kuch raz

....

Thanx every one!!
Logged
Ricky
Yoindian Shayar
******

Rau: 8
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 3 hours and 56 minutes.

Posts: 2455
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #8 on: December 17, 2005, 01:24:22 PM »
Tosha you can still copy it but you need to do little tricks.. that is

Open notepad and type it manually Usual Smile ..
Logged
Ricky
Yoindian Shayar
******

Rau: 8
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 3 hours and 56 minutes.

Posts: 2455
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #9 on: December 17, 2005, 01:36:52 PM »
Quote from: "Silence"
shukriya aryaan ji...nirbhay ji... aur ricky ji bohot hi acha likha apne lekin:

na hum koi shayar hai, na kaho hume kavi tum,
nazam me bas hal-e-dil sunaya karte hai,
ansowon ka samundar jab behte behte suuk jata hai,
to gum ko samet kar ek nayi ghazal banaya karte hai!  :wink:


again impressive selection of words!

Her baar khud ko naada.n batate hain
Her baar woh sher jab kuch kehte hain
Her baar dastaa.n nayi sunaate hain !
Her baar khud ko naadan batate hain !
Logged
Tosha
Guest
«Reply #10 on: April 05, 2006, 06:07:51 AM »
Thanx Nirbhay

nadan na hote to shayer na hote
chalki to kismat walo ko aati hai
dekhi hai berukhe zindgi ke har rang

imaandar na hote to shayar na hote
duniya dari to dalut walo ko aati hai
kaate hai chand niwalo main din

naye kahane na kahete to shayar na hote
khelna to zindgi se dakeito ko aata hai
khelti hai humse to zindgi har pal

majboor na hote to shayar na hote
mauke ka fayda uthana to bayemano ko ata hai
khilli udate hai takdeer hameri
Logged
Tosha
Guest
«Reply #11 on: April 15, 2006, 07:08:04 AM »
Quote from: "nirbhay"
Gr8 wrk all........................!!

Glad 2 know that Ricky is a poet 2!!


i'm glad to kno u kno it now!!
Logged
Tosha
Guest
«Reply #12 on: April 15, 2006, 07:13:25 AM »
Quote from: "Ricky"
Quote from: "Silence"
shukriya aryaan ji...nirbhay ji... aur ricky ji bohot hi acha likha apne lekin:

na hum koi shayar hai, na kaho hume kavi tum,
nazam me bas hal-e-dil sunaya karte hai,
ansowon ka samundar jab behte behte suuk jata hai,
to gum ko samet kar ek nayi ghazal banaya karte hai!  :wink:


again impressive selection of words!

Her baar khud ko naada.n batate hain
Her baar woh sher jab kuch kehte hain
Her baar dastaa.n nayi sunaate hain !
Her baar khud ko naadan batate hain !


Impressive words .. as always!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #13 on: April 15, 2006, 11:55:52 AM »
VEry  nice  Tosha......  Ricky .........Silence
Logged
Tosha
Guest
«Reply #14 on: April 29, 2006, 11:12:07 PM »
Thanx Waheed!!
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 09:13:11 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer