Maut Jab Saamne Aati Hai

by honeyrose on February 21, 2008, 11:05:53 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3243 times)
honeyrose
Guest
Maut jab saamne aati hai to jee lethe hai
Zakhm muh kholne lagte hain to see lethe hai

Mujhe pata hai isqh ki haqeeqat joh mukin nahi hai..
Hosh sambhala toh hadh sey guzar jathe hai

Isqh mein hum sare duniya koh bhul jathe hai..
Yeh kaise dil laghi hai kaise dard hai..

Yeh kaise zeher hai joh jaan bhi lethe hai..
Aur dard-e-gam ka bhi hosh nahi hai..

Zindagi ke sawalon ka jawab dhoond the hai..
Maut jab saamne aati hai toh jee lethe hai..

 
 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
gam-e-khanzar ke saamne......... by HumTum in Shayri-E-Dard
~Maut ke baad maut~ by Tosha in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
maut bhi nahin aati by salil2002 in Shayri-E-Dard
Marna chahta hu par maut nhi aati... by Jaggu Diljale in Shayeri for Dard -e- Bewafai
zakhmola
Guest
«Reply #1 on: February 22, 2008, 07:38:35 AM »
maut ki humsey Dosti hoti hai badi ajeej
wohh ghus jaati hai
kisi ke bhi ghar
badi betaklluf hokar...

 


Logged
honeyrose
Guest
«Reply #2 on: February 23, 2008, 01:58:34 PM »
Maut jab aati hai to na hoti hai kabhar..
Bas jeevan ke chan zindagi ki gadhi ki hoti hai kabhar

Naaraz hai iss zindagi sey hum yeh bewafa hai 
Seekh leya hai maut sey wo jane kya wafa hai..

Ek maut ko gale lagha the hai
Aur khushi ke aasu piye jate hai..

Dard mein hum dube rehe the hai..
Maut jab aati hai to na hoti hai kabhar..

                               
 
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: February 24, 2008, 03:10:01 PM »
Tasweer Judaai Ki Na Dikhaao Mujhe,.
Gham Se Anjaan Hoon Na Is Ke Aahe Lejaao Mujhe,.

Haqeeqat Ne Diya Laakhon Zakham Hume,.
Main Hoon Khwaabon Mein Na Jagaao Mujhe,.

Kaise Berukhi De Gaya Hume, Jaane Waale Ne,.
Ab Khud Hi Se Anjaan Hoon Main, Na Meri pehchaan Karaao Mujhe,.

____________________________________-Jaanasheen-
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #4 on: February 24, 2008, 03:16:13 PM »
bahoot khoob honey and lil bro
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: February 24, 2008, 03:18:50 PM »
BAHUT KHOOB AZEEM...

KHWAABO KA TAAJ AB BANAYA NAHI JAATA
EK KADAM BHI AB APNE AAP KO AZMAYA NAHI JAATA...
LOG TO GHAM KO BHI APNE,
MUSKAAN KE SAAYE MEIN CHUPA LETE HAI
HUME TO AB KHUSHI MEIN BHI MUSKURAYA NAHI JAATA...

HAQEEQAT HI KUCH AISE KHEL KHELTI HAI ZINDAGI SE
KE AB KHWAABO KO AANKHON MEIN LAYA NAHI JAATA....

JAANE WALE AB PEECHE MUD KAR NAHI DEKHTE
AB HUMSE BHI BAAR-BAAR BOOLAYA NAHI JAATA.....

"KHWAISH" KO PHIR BHI YAKEEN HAI APNI MOHAABAT MEIN
SACHA PYAAR HO TO KISI SE BHI TUKRAYA NAHI JAATA....
Logged
punam
Guest
«Reply #6 on: February 24, 2008, 03:21:11 PM »
wow kya baat hai sab ek se badh ke ek likhe hain yehan..
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #7 on: February 24, 2008, 03:21:11 PM »
bahoot khoob khwaish ji... bahoot hi acha likha hai apne.. bahoot achi tarah se apne apni kavita ka end kiy ahai .. yah lines bahoot hi achi likhi hai...

JAANE WALE AB PEECHE MUD KAR NAHI DEKHTE
AB HUMSE BHI BAAR-BAAR BOOLAYA NAHI JAATA.....

"KHWAISH" KO PHIR BHI YAKEEN HAI APNI MOHAABAT MEIN
SACHA PYAAR HO TO KISI SE BHI TUKRAYA NAHI JAATA....
 
 
 
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: February 24, 2008, 03:25:28 PM »
Wah Wah bohot khoob likha hai Honey, Zakhmola, Azeem and Khwaish.
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #9 on: February 25, 2008, 05:22:46 AM »
Shuriya Talat ji,khwaish ji,Azeem bro aur zakhmola..


Jane wale jah chuke hai humhe tanha chor kar..
Hum tanha baithen hai unki yaadein simat kar

Zindagi ki rahon main humne unke naam kardi...
Dil ki har gali tere naam kardi

Aab dard ke aasu pi liye humne..
Unki har lamhon ko dil sey lagaya meine..

Woh durr jah chuke hai humhe tanha chor kar
Jane wale jah chuke hai humhe tanha chor kar..

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: February 27, 2008, 09:27:05 AM »
Shukriya Behno,.
And Khwaish Bhai,.
And Nice One Sabne Kamal Ka Likha Hai,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: February 27, 2008, 09:37:31 AM »
Ishq Mein Jaan Se Guzarte Hain Guzarne Wale,.
Maut Ki Raahi Nahi Dekhte Marne Waale,.

Aakhiri Waqt Bhi Poora Na Kiya Wada-e-Wasl,.
Aap Aate Hi Rahe Mar Gaye Marne Waale,.

Uthe Aur Koocha-e-Mehboob Mein Pahoonche Aashiq,.
Ye Musafir Nahi Raaste Mein Teharne Waale,.

Jaan Dene Ka Kaha Maine To hans Kar Bole,.
Tum Salamat Raho Har Roz Marne Waale,.

Aasmaan Pe Jo Sitaare Nazar Aaaye "Ameer".,
Yaad Aaaye Mujhe Daas Apne Ubharne Waale,.

_____________________________-Ameer Minaai-
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: February 28, 2008, 09:26:29 PM »
nice sharing lil bro
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #13 on: March 15, 2008, 01:29:24 PM »
Bohat acha likha hai Azeem  bro


Maut bhi kisi ke kabu nahi hoti
Na jaane zindagi kab saason ko chor jaye

Zindagi ney kabhi wafa ke kasam na diya
Jab bhi dil lagaye kudh ko ruswa hi paya

Kya mil paya hai humhe zamane mein
Charon taraf tanha hi paya hai humhe

Joh isqh ki katir hum zamana chor dete hai
Wahi isqh ek din humhe begana kar dete hai

Asqh toh mita kar chale pyaar ko seene mein dubha kar chale
Maut bhi kisi ke kabu nahi hoti
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: March 16, 2008, 09:54:19 AM »
Shukriya Pooaj Sis,.
and Honey Sis,.
and Nice One Honey Sis,.
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:36:50 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer