~Maut ke baad maut~

by Tosha on June 26, 2006, 12:45:58 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 7619 times)
Tosha
Guest
Aaj is dil main hua kuch ek baar phir
naje kisne kahi se chalaya ek teer
nishana laga kuch iskader sine main
bin daard lahu nikla hui baat yeh ajeeb
humse socha hamme kahi ishq to nahi hua hai
per bhookhe ko hai magta khana
ishq ke lafdo main anhi padta gareeb
taras aata hai aapni hasti main kabhi kabhi
kabhi hasi aati hai kabhi nahi aati hai
kambakhet yeh zindgi bahut tarsati hai
kabhi unse hota hai kabhi hota hai daard
yeh dil ki dhadkan bhi najane kya geet gati hai
socha ke isse padke muskaroge aap
per in aakhon main neha chalak chalak aati hai
kya kare is rangeen zindgi ka hum
hamme to safeed dhoti hi bhati hai
najane kyo aaj is dil se ajeeb se aawaz aati hai
kuch madham sa kuch tikha sa meri nasse chilati hai
bolake lao kise doctor ko aab tum
hamme to aapne matu nazer aati hai
ke haas le hum to lamha yaha aaj
na ho kahi khuda ko bhi narazgi humse
humko to maut ke baad bhi maut nazer aati hai
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #1 on: June 26, 2006, 05:50:21 AM »
bahut khoob tosha

maut se pahle maut ko dekha
saath tere jo kisi ko dekha
dard phir aisa utha jaan
 ragon se kinchti
jism ka khoon  mera
sard hua aisa laga
tumne  mud ke na dekha
meri taraf achcha hua
dam nikal jaata vahin
baat bas itani thi faqat.................
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #2 on: June 26, 2006, 05:58:27 AM »
very nice tosha ji..........

 humko kya darayegi aaht-e-maut sanam
 ki bin tere yeh zindagi bhi to maut se hai kam nahi

................@fahi@..................
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #3 on: June 26, 2006, 06:03:54 AM »
nice 1...............

 hum ishq ke maaro ki zindagi mai gum rehte hai
 maut ki baad bhi hum jillat kya kam sehte hai
 jis wafa ke liye nikala tha khud ka janaja humne
 aaj mere sanam ke lab usko hi jafa kehte hai

..............@fahi@.................
   
   

Quote from: "tabassum shakeel"
bahut khoob tosha

maut se pahle maut ko dekha
saath tere jo kisi ko dekha
dard phir aisa utha jaan
 ragon se kinchti
jism ka khoon  mera
sard hua aisa laga
tumne  mud ke na dekha
meri taraf achcha hua
dam nikal jaata vahin
baat bas itani thi faqat.................
Logged
Tosha
Guest
«Reply #4 on: June 26, 2006, 10:21:41 AM »
Thanx a lot tabasum aur PJAG sad5

Kabhi kabhi dil is kadar ruswa ho jaya kerta hai
jaise chand poornima se amavasya ko jaya kerta hai
tute dil ke dastan sirf mahoob ke bewafai se hi nahi hoti
kabhi kabhi dil usool-e-dunya ke tod jaya kerte hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #5 on: June 26, 2006, 10:43:39 AM »
bahut khub ........

har kadam per dard hi dard hai tere is seher mein
kaun kare yahan mohabbat aur wafa ki baate tere seher mein
ek dil thaa mere pass apna kehne ko  aaj tak
aaj woh bhi kahi haar ke main rusawa ho gayi tere seher mein
Logged
Tosha
Guest
«Reply #6 on: June 26, 2006, 11:08:49 AM »
wow ... !! bahut khoob ranju ji :D

wafao ki umeed nahi kerte hum aab kabhi
dil dete hai per aur sirf zakhmo ke umeed karte hai aab bhi
per mar ke bhi is dil ko sambhal na sake hum
merne ke bad bhi yeh dil de diya kerte hai kabhi kabhi
Logged
ranjana
Guest
«Reply #7 on: June 26, 2006, 11:29:13 AM »
wah bahut khub.........
jindagi se thak kar hum bethe wahi
jahan kabhi dhup ke garam saaye they
mile woh log bhi mujhse ajanbi ki tarha
jo kabhi mere dil ke bahut kareeb aaye they
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #8 on: June 26, 2006, 11:58:21 AM »
apno ne kiya ruswa to gairo ne hame haath diya
 zindagi ne ki bewafayi per maut ne mera saath diya
 
....................@fahi@.........................
Logged
Tosha
Guest
«Reply #9 on: June 26, 2006, 12:28:16 PM »
bahut khoob ranjana Ji and PJAG
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #10 on: June 26, 2006, 12:35:32 PM »
bahut khoob likha hai aap sabne..... thanx tosha

maut ne aake hamko thama hai
 zindagi ne to  be vafai  ki
Logged
Tosha
Guest
«Reply #11 on: June 26, 2006, 12:59:59 PM »
Bahut khoon Tabassun  Puzzled !
Quote from: "tabassum shakeel"
bahut khoob likha hai aap sabne..... thanx tosha

maut ne aake hamko thama hai
 zindagi ne to  be vafai  ki


aate hai hum yaha jeene ko do tuk zindgi
saat rang ki zindgi main je le do rang hum bhi
bas itna sa khuwab palkho me hum sajate hai

per uljha gaye apne rango main yeh rangeen zindgi
aab to hum sirf maut ko aapna sangi saccha mante hai
ki sirf maut ke baad hi humne jeena sikha hai
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #12 on: June 26, 2006, 01:18:01 PM »
thanx tosha  aur aap to bahut khoo likhati hain..

berang zindagi me jab rang bharne chahe
usane kaha palat ke aadat mujhe nahi hai
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #13 on: June 26, 2006, 01:26:57 PM »
very nice both of u ............

   jis dard ki aahat se hi woh kanp gaye the
    usi dard mai hai dubayi maine zindagi apni

................@fahi@.......................
Logged
Tosha
Guest
«Reply #14 on: June 26, 2006, 01:40:45 PM »
good ya!!

yeh daard hai aur maut hai
tadapte hai aur marte hai pal pal
bewafa hai aur zism pe nasur hai
hum tadapte hai aur merte hai pal pal
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 09:55:00 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer