~*~ Maut sabhi ko ani hai ~*~ by Rahim

by dead heart on April 12, 2011, 03:00:53 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 6710 times)
dead heart
Guest
Doston,
Judai ka ghum bahaut gehra hota hai..Kabhi koi zinda rehte chorr jata hai toh kabhi koi duniya chorr jata hai..Saturday ko, ek aisa shaks jiski main bahaut izzat karta tha, mohobat karta tha woh yeh duniya chorr gaye..bahaut ache aur nek insaan the woh..Kamal ki baat hai kay unse friday ko hi mila tha aur future kay kuch plans banaye humne..Ab tak yakeen nahin hota kay woh ab iss duniya main nahin..Allah unhe Jannat naseeb kare..

Yeh nazm bas kuch haqeeqaton ko sath jorrne ki koshish hai..Jab kisi ka intakal hota hai toh main apne apse puchta hoon..Jab Rahim jaega, kya woh Jannat ka haqdar hoga? Kya Rahim kay jane se logon ko fark parrega? Kay woh yeh kahenge, kay acha insaan tha, will miss him..Kya aisa hoga? Hazrat Ali kehte hai 'Sache dost ka pata do surton main chalta hai..Ek jab woh tumhare peet kay peeche baat kare aur ek jab tumhari maut hogaye'..

Yeh nazm uss shaks kay naam jis'se maine kafi kuch seekha..Kabhi kabhi gair, apnon se zada dil main jagah rakhte hai..I miss you and I love you..!

Aj teri toh kal meri bari hai,
Maut toh sabhi ko ani hai..

Suraj subah ugta hai toh sham ko dhal jata hai,
Khatam hone kay liye paida hona; yeh toh reet purani hai..

‘main kal aisa karunga, agle saal wahan jaunga’,
Aisi planning wali baatein karna lagta mujhe beimaani hai..

Jo kal tak mere saath baat kar raha tha; aj be-jaan hogaya,
Yakeen toh nahin hota mager sach hai kay woh chala gaya,
Bas ab yeh baat mujhe mere dil ko samjhani hai..

Yeh duniya roohon ko sirf kuch saalon kay liye rakhti hai,
Jo cheez Khuda se ayi hai woh Khuda tak wapis jani hai..

Kisi bhi shaks ko apni zindagi na bana lena ‘Khamosh’,
Ek dinn aisa aega kay uss shaks ki sirf yaadein reh jani hai..

Sawab kamane se zada zaruri hai gunaah kam karna ‘Khamosh’,
Yeh baat hisab dete waqt jan’ne se acha hai kay aj seekhle,
Kyun kay sach baat hai yeh..kay aj uski toh kal teri bari hai,
Akhir ek dinn maut toh sabhi ko ani hai..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~Maut ke baad maut~ by Tosha in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
sabhi ko salam by hitler in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
AE MAUT KAASH TUJHE BHI KABHI AA JAATI MAUT... by diya786 in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Zindagi sabhi ki ek si by @kaash in Shairi - E - Zindagi
mohabbat to sabhi kar te hei by hameeda in Shayri for Khumar -e- Ishq
Puneet_91
Guest
«Reply #1 on: April 12, 2011, 03:27:09 PM »
sad5 sad5
Logged
nirala
Guest
«Reply #2 on: April 12, 2011, 04:07:20 PM »
bilkul sahi kaha dost…
aisa hi hota hai…
fir bhi hum nasmjh smjhte nai……
mai inn bato ko bht saal pehle maan chuka hu……
khud ko kisi ke saath bht jada judne se duur rahta hu…

aakhir maut to sabhi ko aani hai…
khatam ho jaani har kahani hai…
mitt jaani meri sab nishaani hai…
baad marne ke yaaden bhi aanijaani hai…
““
bas aaj ko jee lo dost
khusi ke saare pal hume aaj hi beenani hai…
““
khus rho dost…
Logged
dead heart
Guest
«Reply #3 on: April 12, 2011, 09:29:58 PM »
bilkul sahi kaha dost…
aisa hi hota hai…
fir bhi hum nasmjh smjhte nai……
mai inn bato ko bht saal pehle maan chuka hu……
khud ko kisi ke saath bht jada judne se duur rahta hu…

aakhir maut to sabhi ko aani hai…
khatam ho jaani har kahani hai…
mitt jaani meri sab nishaani hai…
baad marne ke yaaden bhi aanijaani hai…
““
bas aaj ko jee lo dost
khusi ke saare pal hume aaj hi beenani hai…
““
khus rho dost…

Bilkul sahi kaha dost..
Khush raho..!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: April 13, 2011, 09:56:33 AM »
Bahut bahut Khoob Bhai Rahim..
 
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
manjum
Guest
«Reply #5 on: April 13, 2011, 09:56:56 AM »
kya baat hai rahimji.. zindgi ki sachchai... jo ham sab ki samjh k pare hai...
Logged
dead heart
Guest
«Reply #6 on: April 14, 2011, 02:18:16 PM »
Bahut bahut Khoob Bhai Rahim..
 
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahaut bahaut shukriya Khwaish dost..
Khush rahiye..!

kya baat hai rahimji.. zindgi ki sachchai... jo ham sab ki samjh k pare hai...
Shukriya Manjum jee..
Khush rahiye.!
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #7 on: April 14, 2011, 02:22:39 PM »
Excellent Work Bhai...Mannana padega,, U r the King of Dard.. Itna dard .. Itne gehre jazbaat.. Amazing work...

Wana see in ishq too... Jyada dard mein mat Likha karo.. aadat ho jayegi...
Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: April 14, 2011, 08:42:01 PM »
Excellent Work Bhai...Mannana padega,, U r the King of Dard.. Itna dard .. Itne gehre jazbaat.. Amazing work...

Wana see in ishq too... Jyada dard mein mat Likha karo.. aadat ho jayegi...

"King of dard"..kitna bada compliment de diya di..
Umm ishq ki jahan tak baat hai, ek line yaad agayi
meri ek nazm main se..

"Ab mohobat par mohobat se likha nahin jata Rahim.."

Umm filhal toh ek dum tanha hoon toh dard hi hai jispe
likhta hoon..Jo saath tha woh ab kisi aur kay saath hai..
haan ager koi shaks Khuda ne zindagi main bhijwaya jo khaas
bangaya, toh mohobat par bhi likhunga insh'Allah..
Dard pe likhne ki aadat hojayegi nahin, aadat hai..!

Apka teh teh dil se shukriya di..
Khush rahiye..!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #9 on: April 15, 2011, 01:17:28 PM »
   Bahut Achha Likha Hai Rahim Bhai Aapne
ALLAH Pak Unko Jannat ul Frdosh Ata Kare Aameen.



    Jo Yahan Aaya Hai, Jana Hoga Usko Ek Din
Jab Fana Thehri, To Phir Kya So Saras Kya Ek Din

Aa Gaya Jab Waqt-e- Aakhir Phir Thehar Sakta Nahi
      Ek Sa'at, El Lahja, Ek Ghanta, Ek Din


                       N/M

Bahaut bahaut shukriya Shihab bhai,..
Aur nice sharing !
Khush rahiye..!
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #10 on: April 15, 2011, 01:46:01 PM »
bht bht khoob rahim..
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #11 on: April 15, 2011, 03:05:42 PM »


Aj teri toh kal meri bari hai,
Maut toh sabhi ko ani hai..

Suraj subah ugta hai toh sham ko dhal jata hai,
Khatam hone kay liye paida hona; yeh toh reet purani hai..

‘main kal aisa karunga, agle saal wahan jaunga’,
Aisi planning wali baatein karna lagta mujhe beimaani hai..

Jo kal tak mere saath baat kar raha tha; aj be-jaan hogaya,
Yakeen toh nahin hota mager sach hai kay woh chala gaya,
Bas ab yeh baat mujhe mere dil ko samjhani hai..

Yeh duniya roohon ko sirf kuch saalon kay liye rakhti hai,
Jo cheez Khuda se ayi hai woh Khuda tak wapis jani hai..

Kisi bhi shaks ko apni zindagi na bana lena ‘Khamosh’,
Ek dinn aisa aega kay uss shaks ki sirf yaadein reh jani hai..

Sawab kamane se zada zaruri hai gunaah kam karna ‘Khamosh’,
Yeh baat hisab dete waqt jan’ne se acha hai kay aj seekhle,
Kyun kay sach baat hai yeh..kay aj uski toh kal teri bari hai,
Akhir ek dinn maut toh sabhi ko ani hai..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~

Very Impressive ... Very Nice Creation ... Rahim Ji

Good Expression ... dil se daad !!!!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #12 on: April 17, 2011, 02:34:29 PM »
bht bht khoob rahim..
Shukriya Priya di..
Khush rahiye..!

Very Impressive ... Very Nice Creation ... Rahim Ji

Good Expression ... dil se daad !!!!
Shukriya Naresh bhai..
Khush rahiye..!
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:41:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.14 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer