maut--------(dard bhare nagme)

by salil2002 on February 14, 2007, 07:56:00 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 8850 times)
salil2002
Guest
hai kaun sa rishta mere pass tut jane ko
bachi nahi najdikiya
ab hum pass lane ko
darate ho kis baat se
humko u baar baar
kuch bhi nahi hai pass
jo ho lut jane ko
ek jindagi hi to thi  
kab ki chali gai
hai maut rubaru
apne sath le jaane ko
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
premi kee maut ka dard by nanobiovipul in Shayri for Dard -e- Judai
DARD BHARE GEET..... by Friend_4uall in Songs & Lyrics « 1 2 ... 7 8 »
dard bhare SHER by khilona in Shayri-E-Dard
^^%Hum Dard Bhare Nigaha Se^^% by honeyrose in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Thamja Zindgi Kuch Nahi Hai Is Dard Bhare Safar Me by Shayaries_King in Share: Poetry of Pain
Shikha12
Guest
«Reply #1 on: February 14, 2007, 09:10:06 AM »
Good Poetry... Usual Smile


Yeh Rishte toh hote hi hai toot jaane ko,
Umr beet jaati hai magar inko nibhaane mey....

Lutne ke darr se bhala ghabraate kyon ho,
Jeene ka maza hai kisii par jaan lutaane mey...

Maut aati hai ek mukarrar dinn sabko lekin,
Kya rakha hai roz-roz isey khud bulaane mey....
Logged
salil2002
Guest
«Reply #2 on: February 14, 2007, 03:39:28 PM »

thnks shikha ..........and a good one too tongue3
Logged
salil2002
Guest
«Reply #3 on: February 15, 2007, 09:06:44 AM »

koi na aaya phir tere jaane k baad
kii dard bhi ro diya mujhko rulaane k baad
Logged
salil2002
Guest
«Reply #4 on: February 15, 2007, 09:31:46 AM »

maut ka intezaar karta hoon main
 jabse tune dil ko toda hai
zindgi ne saath chhoda hai tabse
 jabse tune dil ko toda hai

har taraf maut kii aahat hai
zindgi nahi deti hai dastak
har khushi ne tabse mooh moda hai
jabse tune dil ko toda hai
Logged
salil2002
Guest
«Reply #5 on: February 15, 2007, 09:42:37 AM »
Teri mohabbat kii aarzoo thi
kabhi mujhko teri chahat bhi thi
kabhi tujhpe main marta bhi tha
kabh teri mujhko khwahish bhi thi
kabhi dil kii galiyaan is kadar viraan na thi
kabhi mere khayalon main raunak bhi thi
kabhi main jeeta tha zindadili se
kabhi maut se meri dushmani bhi thi
kabhi mehfilo main raha karta tha main
kabhi tanhayee kii mujhko aadat na thi
kabhi main dil ko kissii ko deta na tha
kabhi dard kii mere seene main aahat na thi
kabhi main rehta tha tere khwabon main bhi
kabhi tujhe mujhse nafrat na thi..........
Logged
salil2002
Guest
«Reply #6 on: February 15, 2007, 09:54:46 AM »
Naseeb main ho dard toh
khushiyon kii parvaah kaun karta hai
jab qatl ho aapke haathon se toh
jeene kii parvaah kaun karta hai
tune jab kii nahi mohabbat aaj tak kissii se
tere inkaar kii parvaah kaun karta hai
Logged
salil2002
Guest
«Reply #7 on: February 15, 2007, 10:00:27 AM »
Samajh na paaya tere inkaar kii wajah kya hai
teri dillagi aur mere intezar kii wajah kya hai
tu nahi karti hai mujhse mohabbat sabne kaha tha
phir mere tujhse izhaar kii wajah kya hai
teri zindgi toh guzarti rahi hamaare bagair bhi
hum ji na paaye ek pal bhi iski wajah kya hai
Logged
salil2002
Guest
«Reply #8 on: February 15, 2007, 10:06:07 AM »
Bana di gayi aaj mohabbat ki ek aur misaal Hamaari majaar par
Logon ne dekha oose aur taareef main uski sabne qaside pade
Kissii ne na poochha oos dewaane kii chahat ko
Jiski yaad main aashiqo ne thay ye ajoobe gade

Woh bhi aaye thay mere dar par apne mehboob k saath
Roye hum jab toh kaha sabne aaye hain saawan k saath
Mere aansuon ko bhi tha teri khushi ka ehsaas
Bahut roya isliye main tere jaane k baad

Logged
salil2002
Guest
«Reply #9 on: February 15, 2007, 10:20:27 AM »
Teri khushi hi toh jeene ka maqsad thi hamaare
Tune apne hanse kii wajah badal li
Socha ki hum ab kaise jiyenge
Bas ye soch kar maut se nazar jod li

Bas khush rahe tu sada yehi dua hai is dil kii
Meri khushiyon ne teri khatir mujhse hansi chheen li

Logged
salil2002
Guest
«Reply #10 on: November 22, 2008, 12:31:39 PM »
hi every one hear who love reading shayaris
.........yaar kya main itna bura likhta hoon kii aap comment nahin karte chalo theek hai kii maanta hoon kii achcha nahin likha phir meri galtiyon ko jaahir kijiye,,,,,,,,,,,,,
Logged
salil2002
Guest
«Reply #11 on: February 10, 2009, 11:22:17 AM »
is subah jaagon na main
is raat kii god mein so lene do
kaahin yeh bhi gila na kare mere jaane k baad
mujhe sitaron kii chadar ko ood lene do

Logged
salma786
Guest
«Reply #12 on: February 10, 2009, 12:46:13 PM »
Bahoot hi acha likhte hai aap salil ji Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
kip it going!!
Logged
salil2002
Guest
«Reply #13 on: March 17, 2009, 12:06:49 PM »
Bahoot hi acha likhte hai aap salil ji Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
kip it going!!
thnks salma.......this collection of mine is very near to my heart............i mvey happy tht someone notice it thank u a lot..............
Logged
salil2002
Guest
«Reply #14 on: March 17, 2009, 12:10:25 PM »
kho jaun main andhere main
toh roshni main chale jaana
maut jab band kar de sargam
toh zindgi ka tarana chhed jaana
yeh toh zaahir hai kii main na laut paunga
tum ho sake toh mere aashiane par laut jaana
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 04:14:21 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer