Mazhab

by salil2002 on October 07, 2008, 11:11:04 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1560 times)
salil2002
Guest
bheegi palkein teri yaad kar k mujhe
par tu rona nahin yaad kar k mujhe

maine chaha tha kab tu ho jaaye zuda
phir meri hasraton ka hasra kyun aisa hua

ho gayi tu fanaa ho gaya main tabaah
takdeeron ne kyun baksha aisa sama

ae khuda tu mita deta tab mujhko agar
jab dhadka tha dil jab mili thi nazar

to na aaj main yun zaar zaar ro raha hota
na apne haathon se apna ghar tod raha hota

bharosa tha mera insaaniyat par
bharosa tha mera teri rehmato par

tu na aaya phir kyun jab qatl mera hua
kyun na aaya tu jab tha lahoo chhalka hua

kii kya roshni aa paayegi kabhi oon aankhon main phir
saamne jinke tha meri maut ka manjar bikhra hua

kya khushi mili is duniya ko mazhab kii deewarein bana kar
haan khushi mil gayi shayad "saahil" ko deewaar main chunwa kar

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
PIYAR KA MAZHAB by ALAM BURQ in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Mazhab sabhi ka ek jaisa by @kaash in Shayari-e-Parastish
MAZHAB......cara by cara in Shairy-E-Watan
mera mazhab hai Kya... Intezar ! by Intezar in Shayari-e-Parastish
Mazhab k faasle bahut khoob hai... by brokenbyluv in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
sonalxoxo
Guest
«Reply #1 on: October 07, 2008, 05:43:50 PM »
aapne jo dil se likha hai woh humare dil ko chu gaya hai  Clapping Smiley

kitna dard chupa ke bethe ho
phir bhi umeed liye bethe ho
dua humari aapke saath ho
mohabbat mil jaye aap ko phir se
chahe woh inteqaal ki raat ho
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #2 on: October 08, 2008, 04:02:15 PM »
Bohat khoob salil kamaal ka likha hai aapne.. Applause

Very nice lines sonal.. Thumbs UP
Logged
salil2002
Guest
«Reply #3 on: October 10, 2008, 02:13:36 PM »
aapne jo dil se likha hai woh humare dil ko chu gaya hai  Clapping Smiley

kitna dard chupa ke bethe ho
phir bhi umeed liye bethe ho
dua humari aapke saath ho
mohabbat mil jaye aap ko phir se
chahe woh inteqaal ki raat ho

thnks sonal.......
haan mujhe pyaar kii jaroorat hai
 haan tere saath kii jaroorat hai
main yeh nahin kehta kii mere ho jaao
 main yeh nahin kehta kii mujhme kho jao
bas chahta hoon kii tum raho har pal meri yaadon main
 tum meri saans ho aur mujhe saanson kii jaroorat hai
Logged
salil2002
Guest
«Reply #4 on: October 10, 2008, 02:14:29 PM »
Bohat khoob salil kamaal ka likha hai aapne.. Applause

Very nice lines sonal.. Thumbs UP

thnk shoney rose aur aap aaj kal orkut par nahin aate ho kya
Logged
syednaami
Guest
«Reply #5 on: October 12, 2008, 09:14:15 PM »
Referred!!
Logged
salil2002
Guest
«Reply #6 on: June 17, 2009, 02:43:40 PM »
Referred!!
bade bhai yeh reffered matlab samajh nahin aaya
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:13:19 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer