mehfil sajate rahe

by salil2002 on February 01, 2009, 07:57:36 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1218 times)
salil2002
Guest
dard mein dekha mujhe aur woh muskuraaye bahut
meri maut par jashn bhi manate rahe
kara har saal humein is kadar yaad
meri barse par mehfil sajate rahe

unka kehna tha kii meri maut ka oonhe yakeen nahin
toh kyun woh gairon kii baahon main jaate rahe
kehte thay kii teri gazlein mehfil mein gujengi
toh kyun woh meri gazlon ko aag mein jalate rahe

haan dard hai ab bhi bahut is seene mein
magar hum kyun teri mehfil main sabko rulaate rahe
tujhe toh mohabbat se nahin hai waasta
hum kyun apni dil kii shama ko jalate rahein
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #1 on: February 01, 2009, 08:03:09 AM »
Bahoth Bahoth qoob salil sahab acha qasa dard -e-dil bayan kar diya apne alfaaz me !! Allah tumhe khush rakhe !!

Qadeer Toopchi
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2 on: February 01, 2009, 09:02:47 AM »
Nice lines salil...
Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: February 01, 2009, 09:08:35 AM »
dard mein dekha mujhe aur woh muskuraaye bahut
meri maut par jashn bhi manate rahe
kara har saal humein is kadar yaad
meri barse par mehfil sajate rahe

unka kehna tha kii meri maut ka oonhe yakeen nahin
toh kyun woh gairon kii baahon main jaate rahe
kehte thay kii teri gazlein mehfil mein gujengi
toh kyun woh meri gazlon ko aag mein jalate rahe

haan dard hai ab bhi bahut is seene mein
magar hum kyun teri mehfil main sabko rulaate rahe
tujhe toh mohabbat se nahin hai waasta
hum kyun apni dil kii shama ko jalate rahein


Bahut khoob Salil ji
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #4 on: February 01, 2009, 09:10:29 AM »
dard mein dekha mujhe aur woh muskuraaye bahut
meri maut par jashn bhi manate rahe
kara har saal humein is kadar yaad
meri barse par mehfil sajate rahe

unka kehna tha kii meri maut ka oonhe yakeen nahin
toh kyun woh gairon kii baahon main jaate rahe
kehte thay kii teri gazlein mehfil mein gujengi
toh kyun woh meri gazlon ko aag mein jalate rahe

haan dard hai ab bhi bahut is seene mein
magar hum kyun teri mehfil main sabko rulaate rahe
tujhe toh mohabbat se nahin hai waasta
hum kyun apni dil kii shama ko jalate rahein


Very touching lines sweet bro.... Applause
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #5 on: February 01, 2009, 02:05:01 PM »
Bohat khoob Salil.... Clapping Smiley yeh 2 line dad samajh ke kabool kare..

Is kadar woh aaye meri kabr pe, ke ab yeh aalam hain
Shehar-e-khamosha* me mehfilo si raunak hain

                    -SG-


* Graveyard.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: February 02, 2009, 10:18:22 AM »
Bohat Badhiya Hai Salil Bhai,.
And Very Nice Lines, Sajid Bhaiya,.

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: February 02, 2009, 10:22:11 AM »
Tu Hai To Raunakh Saare Jahaan Mein Hai,.
Warna Mehfil Bhi Lagti Hai, Shamshaan Ki Tarah,.

Tu Hai To Sab Kuch Hai Zindagi Mein Meri "Jaan,.
Tu Nahi To Main Zinda Hoon Ek Mare Hue Insaan Ki Tarah,.

_____________________________-Jaanasheen-
Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: February 02, 2009, 12:45:23 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause wah wah wah wah mere bhai...mere dil ko toh lines bahaut chugayi...dil udaas tha toh socha ke yoindia pe ajaun kuch mann halka karne ke liye...sach bataun toh mere bhai apke yeh chand lines ne ansu nikal diye...yaar bahaut acha likha hai apne...


Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: February 02, 2009, 07:25:02 PM »
Bohot Khoob Salil...very nice creation !

Very nice replies Sajid Ji, Jansheen
Logged
salil2002
Guest
«Reply #10 on: February 03, 2009, 04:59:27 AM »
Bahoth Bahoth qoob salil sahab acha qasa dard -e-dil bayan kar diya apne alfaaz me !! Allah tumhe khush rakhe !!

Qadeer Toopchi
Nice lines salil...

Bahut khoob Salil ji

Very touching lines sweet bro.... Applause

thank u ....Qadeer bhai, husaina, roja and jaya di
Logged
salil2002
Guest
«Reply #11 on: February 03, 2009, 05:03:02 AM »
Bohat khoob Salil.... Clapping Smiley yeh 2 line dad samajh ke kabool kare..

Is kadar woh aaye meri kabr pe, ke ab yeh aalam hain
Shehar-e-khamosha* me mehfilo si raunak hain

                    -SG-


* Graveyard.

bahut ummda likha hai mere bhai

haan dekho aaj raunak si hai sehar-e- khamosha mein
jaroor kaahin parvana jal k roshan ho gaya hai
haan dafna do ise aur chale jao khamoshi se
dekhte nahin sehar-e -khamosha ka har bashinda so gaya hai
Logged
salil2002
Guest
«Reply #12 on: February 03, 2009, 05:04:39 AM »
Applause Applause Applause Applause Applause Applause wah wah wah wah mere bhai...mere dil ko toh lines bahaut chugayi...dil udaas tha toh socha ke yoindia pe ajaun kuch mann halka karne ke liye...sach bataun toh mere bhai apke yeh chand lines ne ansu nikal diye...yaar bahaut acha likha hai apne...



shukriya dead heart...itni izzat bakhsne k liye
Logged
salil2002
Guest
«Reply #13 on: February 03, 2009, 05:13:12 AM »
Bohot Khoob Salil...very nice creation !

Very nice replies Sajid Ji, Jansheen
thank u talat di
Logged
salil2002
Guest
«Reply #14 on: February 03, 2009, 05:15:51 AM »
Tu Hai To Raunakh Saare Jahaan Mein Hai,.
Warna Mehfil Bhi Lagti Hai, Shamshaan Ki Tarah,.

Tu Hai To Sab Kuch Hai Zindagi Mein Meri "Jaan,.
Tu Nahi To Main Zinda Hoon Ek Mare Hue Insaan Ki Tarah,.

_____________________________-Jaanasheen-
nice one janasheen bhai

kii koi mere dar par dastak de chala jaaye
haan aisa kambhaqat nahin main kii mehmaa-nawaji na karoon
koi le le mera dil khele aur phir thak k tod de
mein koi khuda nahin kii oosse mere dost jawabi na karoon
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 03:10:38 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer