Zamir Ka Qaidi
Guest
|
Mainey kaha kitna kartey ho mujh se payar Uss ne kaha aankhain meri par liya karo
Mainey kaha yun kab talak milain ge istara jana uss ne kaha ghoor na itna kiyya karo
Mainey kaha mujh ko chahiyee tumhara saath Uss ne kaha apney KHUDA se dua karoo
Maine kaha zehan-o-dil pe bara hai boojh Uss ne kaha tanhayee main ro liya karo
Mainey kaha aankhoon main barhney lagi nami Uss ne kaha jhootey se hi hans liya karo
Mainey kaha mausam be maza sa hai Uss ne kaha ghazal koi sun liya karo
Mainey kaha kahaan rehtey ho aaj kal Uss ne kaha jaan shaq na itna kiyya karo
Mainey kaha meri wafaoon ka sila kahaan Uss ne kaha apni hadoo main raha karo
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Zamir Ka Qaidi
Guest
|
|
«Reply #1 on: October 13, 2006, 04:45:04 AM » |
|
Kuck Log Badal Gaye Hain...."
Is Raat Ki...Tanhayeeon K Sab Rang Badal Gaye Hain Chand Nikla Hai Waisay He Andharay Badal Gaye Hain..
Jin K Bharosay Theen Khushian Woh Badal Thahar Gaye Hain Manzilain To Ab Bhi Woh He Hain Kuch Rastay Badal Gaye Hain..
Jin Pe Kiya Tha Bharosa Hum Nay Woh Dost Bichar Gaye Hain Dekhay Thay Jo Hum Nay Woh Khwab Badal Gay Hain..
Jo Banay Thay Kabhi Humsafar Aaj Woh He Mukar Gaye Hain Iss Tutay Huay Dil K Saray Jazbaat Badal Gaye Hain..
Na Badlay Kabhi Hum Na Badlay Humaray Khayalat Bas Rona Hai Yehi~Qaidi KUCH LOG BADAL GAYE HAIN
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Zamir Ka Qaidi
Guest
|
|
«Reply #2 on: October 13, 2006, 07:47:18 PM » |
|
Dard Woh Hai Jiska Koi Humdard Bhi Nahee Manzil Woh Hai Jiska Koi Saathi Bhi Nahee
Sapnay Woh Hai Jismey Koi Apnay Bhi Nahee Dil Woh Hai Jismey Koi Dhadkan Bhi Nahee
Aankhey Woh Hai Jismey Koi Hya Bhi Nahee Sumander Woh Hai Hey JisMey Koi Lehreyn Bhi Nahee
Mohabat Woh Hai Hey JisMey Koi Manjil Bhi Nahee Payar Woh Hai JisMey Koi Hya Bhi Nahee
Dil Woh Hai JisMey Koi Rah Bhi Nahee Phool Woh Hai Jismey Koi Kushbo Bhi Nahee
Mahek Woh Hai Jis Mey Taazgi Bhi Nahee Bhook Woh Hai Jiski Ko Payas Bhi Nahee
Payas Woh Hai Jiski Koi Aas Bhi Nahee Zindagi Won Hai Jismey Koi Maza Bhi Nahee
Moot Woh Hai ~ QaidiJiska Koi Pata Bhi Nahee
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tabassum shakeel
Guest
|
|
«Reply #3 on: October 13, 2006, 08:36:52 PM » |
|
din sab kat hi gae kaam bahut raat taaren hai jo saathi apne inko hai sab hi hai pata inse chhupa kuchh bhi nahi sare sapne bhi hain toote inhone dekhe saare vo phool mohbbat ke inhone dekhe inke saath raat basar hoti hai inaki bhi dastaan hamsi hai toote taron ki kahani jo maine inase suni apna gham halka laga inaki daastaan jo suni ab yehi dost hain apne apni har raat bas inke naam hoti hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Zamir Ka Qaidi
Guest
|
|
«Reply #4 on: October 13, 2006, 09:05:27 PM » |
|
Well Done din sab kat hi gae kaam bahut raat taaren hai jo saathi apne inko hai sab hi hai pata inse chhupa kuchh bhi nahi sare sapne bhi hain toote inhone dekhe saare vo phool mohbbat ke inhone dekhe inke saath raat basar hoti hai inaki bhi dastaan hamsi hai toote taron ki kahani jo maine inase suni apna gham halka laga inaki daastaan jo suni ab yehi dost hain apne apni har raat bas inke naam hoti hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
angel4u
Guest
|
|
«Reply #5 on: October 14, 2006, 05:24:30 PM » |
|
bahut khoob...
Sar Jhukaoge To Pathar Bhi Devta Ho Jayega, Itna Mat Chaho Use Wo Bewafa Ho Jayega,
HuM Dariya Hain HaMein Apna Hunar MaluM Hai, Jis Taraf Bhi Chal Padeinge Raasta Ho Jayega,
Main Khuda Ka NaaM Le Ke Pee Raha Hoon Doston, Zeher Bhi Hoga Agar IsMe Dawa Ho Jayega...(NM) * * * * *
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Zamir Ka Qaidi
Guest
|
|
«Reply #6 on: October 14, 2006, 10:43:24 PM » |
|
Thank You Angel ji
yaadon ke sab rang ura kar tanha hoon apni basti se duur aakar tanha hoon koi nahin hai meray jaisa charoon taraf apne gird aik bheer saja kar tanha hoon jitne loog hian utni hi aawazein hain lehjoon ka toofan urra kar tanha hoon rooshniyon ke aadi kaise janain gay ankhoon main do deep jala kar tanha hoon jis manzar se main guzra tha us ke saath aaj usi manzar main aakar tanha hoon pani ki lehroon par behti aankoon main kitne bhoolay khwab jaga kar tanha hoon apne aap ko kho denay ki khwahish main us ka bhi ik naam bhula kar tanha hoon
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Zamir Ka Qaidi
Guest
|
|
«Reply #7 on: October 15, 2006, 01:35:12 PM » |
|
kase kahoon apna bana lou muje bahoon main apni sama lou muje
bin tumharey aik pal bhi ab katta nahi tum aa ker muji se chura lou muje
zindagi tou woh hai sang tumharey jo guzrey dunya kay gamoon say ab chura lou muje
meri sab say gehri khuwahish hou puri tum agar pass apnay bula lou muje
yeh kaisa nasha hai jou behka raha hai tumhara hoon main tou sambhalo muje
najanay phir kaisay guzrey gi zindagi~Qaidi agar apnay dil say kabhi tum nikalo muje
|
|
|
Logged
|
|
|
|
anjani_si
Guest
|
|
«Reply #8 on: October 15, 2006, 04:33:32 PM » |
|
kase kahoon apna bana lou muje bahoon main apni sama lou muje
bin tumharey aik pal bhi ab katta nahi tum aa ker muji se chura lou muje
zindagi tou woh hai sang tumharey jo guzrey dunya kay gamoon say ab chura lou muje
meri sab say gehri khuwahish hou puri tum agar pass apnay bula lou muje
yeh kaisa nasha hai jou behka raha hai tumhara hoon main tou sambhalo muje
najanay phir kaisay guzrey gi zindagi~Qaidi agar apnay dil say kabhi tum nikalo muje apna banana na mujhe ghale se laghana na mujhe zindagi hai woh jo muskurate huwe guzrey duniya hai aik dariya isse mein dhobne na dena mujhe ishq kiya hai tujhse app marne ke liye chor na dena mujhe :D:D:D:D
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Zamir Ka Qaidi
Guest
|
|
«Reply #9 on: October 15, 2006, 05:44:47 PM » |
|
Again Wonderful
Kaisa Raha yeh Jawab
Tum juda ho ker humhe aur pyare hogaye they kareeb tu dur they Ab humhare ho gaye
Ek ek saans mai yaad ban ke mehktey ho tum Ho gaye ho khafa fir bhi mujh mai dharakte ho tum
Dhoondta hai humhe piar ka rasta aaj bhi Aa rhi hia yehi dharkano se sada aaj bhi
Dur ho to laga meri ankhon ke tum rastey Tha pata ye kaha tum mere is qadr paas they
Dar nahi raat ka meri palkoo ke jugno tu hai Saath ab tum nahi mere sathi ye anso tu hain
Tum juda ho ker humhe aur pyare ho gaye They kareeb tu dur they ab humhare ho gaye
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Zamir Ka Qaidi
Guest
|
|
«Reply #10 on: October 15, 2006, 07:17:43 PM » |
|
Us Ki Her Baat Bhula Di Hum Nay Eik , Eik Phool Bohat Yaad Aaya Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Hum Nay Aaj Tak Jis Pay Woh Shermatay Hain Baat Woh Kab Ki Bhula Di Hum Nay Sheher-E-Jahan Rakh Say Abad Hua Aag Jab Dil Ki Bujha Di Hum Nay Aaj Phir Yaad Bohat Aaya Woh Aaj Phir Us Ko Dua Di Hum Nay Koi To Baat Hia Us Main~Qaidi Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Nay
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Zamir Ka Qaidi
Guest
|
|
«Reply #11 on: October 16, 2006, 03:45:15 AM » |
|
khubsoorat hain woh lafZ ju dosroon ko samjhade khubsoorat hai woh muskurahat jo dosaroon kay chehroon per bhi muskan saja day khubsoorat hain wo jazbat jo kisi ka ehsaas karain khubsoorat hain woh batain jo kisi kaa dil na dukhaein khubsoorat hain woh aansu jo kisi kay dard ko mehsoos ker kay beh jaein khubsoorat hain woh qadam jo kisi ki madad kay liye aagay barhein !!!!! khubsoorat hai woh insaan jis ko "KHUDA" ne yeh khubsoorati ataa ki
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Zamir Ka Qaidi
Guest
|
|
«Reply #12 on: October 16, 2006, 01:41:05 PM » |
|
Kisi ko mohabbat ki sachai mar dalegi kisi ko mohabbat ki gehrai mar dalegi karke mohabbat koi nahi bachega jo bach gaya usey tanhai mar dalegi.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
Rau: 14
Online
Gender:
Waqt Bitaya:65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.
Posts: 19903 Member Since: Feb 2006
|
|
«Reply #13 on: October 16, 2006, 02:31:47 PM » |
|
Bahoot Khoob Zameer Husena And Tabassum Didi,.
Lage Raho,m..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Shikha12
Guest
|
|
«Reply #14 on: October 16, 2006, 02:33:23 PM » |
|
Kisi ko mohabbat ki sachai mar dalegi kisi ko mohabbat ki gehrai mar dalegi karke mohabbat koi nahi bachega jo bach gaya usey tanhai mar dalegi. Nice one ZKQ.... :D
Just a try from my side:
Maut ke dar par le aayi humey tanhaayi... Humney gale phir lagaayi yehi tanhaayi.... Tu ney diya kya mujhey fakat is ke siwa, Har kadam par hai paayii humney tanhaayi...
Haath chuda kar chaley tum mera jab ghar se, Deewaar aur har kona sehem gaya is darr se... Tere jaaney sey yeh ghar veeran sa ho jaata hai, Har kamrey mey hastii payii humney tanhaayi....
Subah sey hum ney kiya tera intezaar phir se, Ek baar umeed laga li apney pyaar se phir se... Chaukhat par khadey ho kar guzaara har lamha, Dhalti Shaam hai ley aayii phir wohi tanhaayi....
[/b]
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|