Mera Aakhri Nazraana (for my jaadu, chiku, sweets){i miss u}

by angel4u on November 13, 2006, 05:29:22 PM
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Author  (Read 3249 times)
angel4u
Guest
«Reply #30 on: November 29, 2006, 05:58:57 PM »
Wo Apni Bewafaika Bojh Apne Kandhonpe Leke Bhi SaMbhalte Ja Raha Hai
Aur Ek HuM Hai Jo Wafa Karke Bhi Ashkon Ki Aag Me Jhulaste Jaa Rahe Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #31 on: November 30, 2006, 06:47:19 PM »

Aaj Kuch Aise Aaya Chand Badli Me,
Jaise Is UMar Me Uski Ye Aakhri Raat Ho,
Chand To Bas Aaj Apne Hi SaayonMe GuM Hai,
Jaise Chandni Se Hui Na Uski Koi Baat Ho,
SaMayi Hai Chandni Bhi Aaj In Andheronki PanahonMe
Chand Hote Hue Bhi Lagta Hai Jaise AMavas Ki Raat Ho...
* * * * *
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #32 on: November 30, 2006, 06:51:29 PM »
Quote from: "angel4u"
This one is dedicated to the one who spread smiles in my life, filled my life with happiness, was for a while, but those moments were memorable, MOST MEMORABLE...

Uljhane Thi Zindagi Ki Raahon Mein Beshumaar,
Andheri Raaton Mein Rote The Hum Zaar Zaar,

Aansuon Se Bhara Hua Tha Tanhaiyon Ka Saagar,
Gam Ke Melon Mein Kho Gayi Kayi Muskurahatein Aakar,

Hum Par Meherbaan Hue Udaasiyon Ke Saaye,
Toot Chuke The Par Kisise Kuch Keh Bhi Na Paaye,

Maangte The Khuda Se Duwaon Mein Apni Maut Hamesha,
Hamein Mili Zindagi Ke Har Ek Mod Pe Maut Hamesha,

Haare Hue The, Toote Hue The, Bikharne Wali Thi Tootkar,
Sochte The Kya Karein Hum Kahan Jaaye Is Duniya Se Chhupkar,

Na Jaane Phir Kahanse Aayi Zindagi Ek Ajnabi Ka Roop Lekar,
Laaya Hazar Khushiyaan Apne Daaman Mein Samet Kar,

Chahta Tha Laaye Wo Meri Zindagi Mein Khushiyon Ki Bahar,
Waade Bhi Beshak Nibhaye Usne Har Ek Zakham Bharkar,

Jaane Kyon Uski Har Baat Par Aitbaar Karne Ko Dil Chahta Tha,
Kehta Tha Dost Hoon, Par Na Jane Kyon Apna Saaya Sa Lagta Tha,

Hairani Hui Dekh Kar Chehra Apna Aayne Mein Dekhkar,
Ye Kiska Aks Tha Jo Muskura Raha Tha Meri Taraf Dekhkar,

Apne Chehre Pe Gam Ki Lakeeron Ko Dhundne Lagi,
Phir Achanak Apni Muskurahat Ko Pehchanne Lagi,

Dhire Dhire Sama Liye Mere Saare Gam Usne Apni Aagosh Mein,
Nayi Pehchaan Di Usne Khushiyon Ki Meri Veeraniyon Mein,

Shayad Khuda Ko Bhi Na Aadat Thi Mere Muskurahaton Ki,
Kar Di Meri Khushiyon Ki Daastan Usne Chand Palon Ki,

Na Jaane Kyon Katrane Laga Wo Humse Achanak Se,
Shayad Vaasta Na Raha Usko Ab Mere Ashkon Se,

Kehta Tha Wo Mujhe Ke Vishwas Hai Mujhe Tujhpe Sab Se Zyada,
Aaj Wohi Katraane Laga Mujhse Mere Dushmano Se Zyada,

Shayad Vishwas Ki Kachhi Dor Thi Jo Wo Tod Gaye,
Us Dor Se Meri Zindagi Ke Moti Bikhar Se Gaye,

Na Jane Kitni Koshishein Ki Use Manane Ki,
Hamare Dil Mein Uski Jagah Batane Ki,

Vishwaas Jaise Uth Gaya Usko Meri Baaton Se,
Tab Se Vishwaas Uth Gaya Hai Mera Zindagi Se,

Meri Har Baat Jaise Patthar Pe Paani Ki Tarah Beh Gayi Fisalkar,
Uske Dil Se Takra Kar Mere Dil Tak Aayi Naye Zakham Ka Roop Lekar,

Pata Na Tha Ke Wo Bhi Bichhad Jayega Humse
Dekha Sapna Jise Zindagi Ke Har Ek Mod Pe Paane Ka
Kasoor Shayad Khuda Ka Nai Hamara Tha, Jo Ye Bhul Gaye
Ke Khuda Ne Haq Hi Na Diya Mujhe Sapne Dekhneka...

Ye Zakham Ab Dil Mein Nashtar Banke Chubhte Hai,
Thak Gayi Hoon Main Ab Mere Zakham Panaah Chahte Hai,
Un Khoobsurat Palon Ka Kalma Padhte Hue,
Un Mithi Baaton Ke Zamzam Se Vuzu Karke,
Meri Khushiyon Se Bhari Kabr Mein Utarkar
Uski Yaadon Ka Kafan Odh Kar,
Mere Zakham Sukoon Se Ab Sona Chahte Hai...

I hope someday he will read this and understand what he means to me.
whether i m there in this world or not, but my last and only wish is he should read this once.

awesome  Husena.............. kamal  ka likhi   ho..........   har  ek lines  acchi lagi........  

Pighal  pather bhi sakte hain
ulat dariya  bhi  sakte hain

koi  awaara panchi  
palat ka  aa  bhi sakta hai

ki  jo sab mujhper hansti  thi
wah  sab  ro  bhi skati hain

mohabbat ho  bhi sakti hai........nm
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #33 on: November 30, 2006, 06:52:09 PM »

«Reply #34 on: November 30, 2006, 06:57:09 PM »
Thanks waheed.

bahut achhi lines hai :D
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #35 on: December 03, 2006, 06:29:51 PM »
thanku  jee  :lol:
Logged
angel4u
Guest
«Reply #36 on: December 03, 2006, 06:55:02 PM »
U r welcome :D

Ek Wo AalaM Tha Jab TuM Mujhse Pyar Kiya Karte The,
ShaaM-O-Shaher Mera Intezar Kiya Karte The,
Aaj Hazar ZakhaM Mere Dil Pe Lagake Kehte Ho,
Ye Wo Shakhs Hai Jise HuM Pehchana Karte The...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #37 on: December 07, 2006, 07:08:04 PM »
Tha Ek Zariya HaMare ZakhMo Ko Ojhal Karne Ke Liye
Meri Aankhonse Behte Tere GaM Jise Log Aansu Kehte The
Sochte Hai Kyon HuM Tere ZakhMoko Yun Mitane Pe Tule Hue Hai
Yehi To Ek Hathiyar Hai HaMein Andar Se Chhalni Karne Ke Liye

Ek Wada Aaj Kiya Dilse Ke Ab Na Bahega Ek Qatra Bhi Aankhonse
SaMet Rakhenge Aansuonko Ek Dard Ka Toofani Sailaab Banayenge
Isi Sailaab Me HuM Apne ZakhMonki Bebas Aag Bhadkayenge
Usi Aag Se Apne Dil Ke Har Ek Tukde Ke Har Ek Zarre Ko Jalayenge
* * * * *
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 09:55:35 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer