Mera Bacha

by mistufer on September 03, 2009, 07:17:16 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 4444 times)
deepika_divya
Guest
«Reply #15 on: September 05, 2009, 04:36:52 AM »
mera bacha
Is kavita ke madhayam se maine ek maa ke ehsaaso bandha hai, jo kam umr maa nahi ban,na chati ya haalat usse apne bache ko janam lene se pahle hi maar (abortion)deti hai.
par vo dard kaise use umr bhar tiss ki tarha chubta rahta haih. please main kisi ka dil nahi dukha rahi hoon phir bhi kisi ko bura lagae toh maaf kar dena. shukriya.

Ek sawal mere dil mein aaj bhi uth raha hai
Kitna komal tumhare chera raha hoga
Tum mere liye ek vardan the rab ke ghar se
Main hi kabeel maa naa ban saki

Tumhe nani ki tarha ki pyaar
Karne wali maa milni chaiye thi
Jo tumhe pyaar karti tumhari hifazat karti
Shayad tum khush rahte unke sang
Mamata tumhe khub milti

Tum nahi jante muje apne karni par
Kitna afsoos hai,
Kash vo waqt main lauta pati
Nahi janti kya kar rahi thi
UsS waqt main khud bhi bachi thi

Kitni be-bas aur majboor mein thi
Galani se ghootan hoti hai aaj bhi
Tumhe bhulna bahut mushkil hai
Khud ko samabhlana mushkil hai
Teri yaad mein hoon tadapti

Tum muj mein kya kar rahe the
Jab tumne apni akhri dadkan chori thi
Tum toh mujpar hi nirbhar the
Aor maine miittadi tumhari hasti
Meri soch us waqt stambh thi

Kash main tum se jagah badal sakti
Ek pal mein vo kar leti beta
Par tum kismat wale ho
Tum rab ki chaye mein ho
Apne gunaah ko aise samjhati

Aise koi din nahi jayega bina yaad kiye
Aor dil mein galani rahegi har waqt
Par bhitar hi bhitar muje pata hai
Hum kabhi alag nahi honge.
Sapno mein tumse baat karti

Khash waqt ne muje rasta dikhaya hota
Aisa din kabhi naa aaya hota
Mera chand aaj mere saath hota
Meri ghar bhi khushaal hota
Zindgi meri yun naa meeth.ti

Nira


Waah Nira ji.. Hamesha ki tarah ak Ankahe Ehhsaaso ko aapne bakoobi sabdomea ujaagar kiya hai.. Aapki iss kavita ne mere man mea bhi ak ajab se ehsaaso ko utpan kiya hai... Bahoot hi saraniyaa hai aapki yea kavita.. Bahoot Khoob!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dil bacha k nahi.. by hifrnd20 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Khuda Ko Bacha Liya by Rajesh Harish in Miscellaneous Shayri
wo ek masoom bacha by chitralsony in Inspirational Stories and real life Incidences. « 1 2  All »
Main ik chhota sa bacha tha (NM) by vb in Miscellaneous Shayri
Uphaas bacha..... manjum by manjum in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
deepika_divya
Guest
«Reply #16 on: September 05, 2009, 04:39:30 AM »
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley bahoot khoob.. ek maa ke dil ke dard ko apne bakhubi shabo main utara hai...

Kuch lines jo man mai aa rahi hai Likhne ja rahi hu..

Ajj hote sung to yah umar ho gai hoti tumari
ladka tha ya ladki, iss soch main rahti hai umarbhar naari

kuch waqat ka tha sath, jo tha bas sirf humara
na chala pata kisi ko, janam se pahle he kaise gaya koi maara

khoon tha apne he khoon ka, samjh sakega na jise sansar
bin dekhein jise maar diya, uska chehra banaye dil main baar baar



Kuch lines man mai sirf un betio ke liye aa rahi hai.. jinhe sirf is liye maar diya jaata hai kyun ki logo ko Beta chahiye hota hai... aor unka kasoor sirf itna hota hai ki wo beti hoti hai..

Kash beta ban kar mere zisam mai aai hoti
na is tarah qatal-aam teri karai hoti

Na dekha chehra tera, na hi teri masoomiyat samne aai
bas itani si galati teri, beti ban kar, garbh mai aai



likhne ke baad aise lag raha hai ki wo nahi likha gaya jo man mai kahin ander daba hua hai... Wapis aa kar ek baar phir se likhne ki koshish hogi!!


Waah Pooja di.. aapne bhi bahoot gehre jasbaato ko sabdo k roop mea ubaara hai... Bahoot Bahoot Khoob!

Logged
mistufer
Guest
«Reply #17 on: September 05, 2009, 05:58:31 PM »
Waah Nira ji.. Hamesha ki tarah ak Ankahe Ehhsaaso ko aapne bakoobi sabdomea ujaagar kiya hai.. Aapki iss kavita ne mere man mea bhi ak ajab se ehsaaso ko utpan kiya hai... Bahoot hi saraniyaa hai aapki yea kavita.. Bahoot Khoob!

sophi sis
aapne itne sneh aor maan diya meri rachna ko
usse ehsaas aaptak paunche mera likhna safal hua.
thanks a lot, god bless u
Logged
smardia
Guest
«Reply #18 on: September 05, 2009, 06:38:38 PM »
Niraji bahut he marmik shabdo mai aapne kisi kaaran vash maa nahi ban sakne wali naari k dil k dard ka sahi chitran kiya hai.... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Aur sabne ne bakoobi saath diya hai...sabhi dhanyawaad k patra hain.. Applause Applause Applause

Naari jeevan ki tou yahi kahani hai
Mamta usko jaan se jyada pyari hai

Haadsa hota hai kisi-kisi k jivan mai
Par Kisi ki tou mati he gyee maari hai

Aadhunik naari ne kai baar khud
Apne paav par maari kulhaadi hai

Tan ki Sunderta ya carrier k chakkar mai
Apne ajanme khoon ki chadhai usne bali hai

mera bacha
Is kavita ke madhayam se maine ek maa ke ehsaaso bandha hai, jo kam umr maa nahi ban,na chati ya haalat usse apne bache ko janam lene se pahle hi maar (abortion)deti hai.
par vo dard kaise use umr bhar tiss ki tarha chubta rahta haih. please main kisi ka dil nahi dukha rahi hoon phir bhi kisi ko bura laga
Logged
smardia
Guest
«Reply #19 on: September 05, 2009, 06:51:51 PM »
Poojaji badi teekhee pratikriya hai aapki....Bache aur maa dono k liye....
Ajanme bache ka dard aur naari ko samaaj mai sahi darja n milne ka khof saaf jhalak raha hai aap k shabdo mai....Aap k vicharo ka main tahe-dil se aadar karta hu....... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Sachi khushi mil nahi sakti insaan ko
Koi bhi samaaj khush haal ho nahi sakta
Jab talak naari ka nahi hoga sammaan vahan
Aur milega nahi barabari ka darja use yahan.


Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley bahoot khoob.. ek maa ke dil ke dard ko apne bakhubi shabo main utara hai...

Kuch lines jo man mai aa rahi hai Likhne ja rahi hu..

Ajj hote sung to yah umar ho gai hoti tumari
ladka tha ya ladki, iss soch main rahti hai umarbhar naari

kuch waqat ka tha sath, jo tha bas sirf humara
na chala pata kisi ko, janam se pahle he kaise gaya koi maara

khoon tha apne he khoon ka, samjh sakega na jise sansar
bin dekhein jise maar diya, uska chehra banaye dil main baar baar



Kuch lines man mai sirf un betio ke liye aa rahi hai.. jinhe sirf is liye maar diya jaata hai kyun ki logo ko Beta chahiye hota hai... aor unka kasoor sirf itna hota hai ki wo beti hoti hai..

Kash beta ban kar mere zisam mai aai hoti
na is tarah qatal-aam teri karai hoti

Na dekha chehra tera, na hi teri masoomiyat samne aai
bas itani si galati teri, beti ban kar, garbh mai aai



likhne ke baad aise lag raha hai ki wo nahi likha gaya jo man mai kahin ander daba hua hai... Wapis aa kar ek baar phir se likhne ki koshish hogi!!

Logged
mistufer
Guest
«Reply #20 on: September 09, 2009, 12:57:15 PM »
Niraji bahut he marmik shabdo mai aapne kisi kaaran vash maa nahi ban sakne wali naari k dil k dard ka sahi chitran kiya hai.... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Aur sabne ne bakoobi saath diya hai...sabhi dhanyawaad k patra hain.. Applause Applause Applause

Naari jeevan ki tou yahi kahani hai
Mamta usko jaan se jyada pyari hai

Haadsa hota hai kisi-kisi k jivan mai
Par Kisi ki tou mati he gyee maari hai

Aadhunik naari ne kai baar khud
Apne paav par maari kulhaadi hai

Tan ki Sunderta ya carrier k chakkar mai
Apne ajanme khoon ki chadhai usne bali hai

mera bacha
Is kavita ke madhayam se maine ek maa ke ehsaaso bandha hai, jo kam umr maa nahi ban,na chati ya haalat usse apne bache ko janam lene se pahle hi maar (abortion)deti hai.
par vo dard kaise use umr bhar tiss ki tarha chubta rahta haih. please main kisi ka dil nahi dukha rahi hoon phir bhi kisi ko bura laga


smardia ji
aapki saharna ka bahut bahut shukriya,

aapki yeh panktiya bahut achi lagi
yumhi saath deti rahiyega
nira
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 02:04:44 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer